Doston jaisa ki humne dekha suna Yashwant Sonavane jaise imaandaar officer ko kal Malegaon me kale dhandhe me lipt logon ne jala dala,isi par ye rachna prastut hai
Ye kaisa Loktantra,kaise Gantantra ki baat karte hain hum
jahan imaandaari saza ek khaufnaak maut hi dekhte hain hum
aaj Gantantrata diwas par hum kuch jay jaykaar karnge phir bhool jayenge
phir aisi ghatnaayen hongi sunenge afsos jatayenge bhool jayenge
zyada se zyada kisi ke poochne par itni kayarta hum aur dikhayange
ki bhai hum nahi neta kuch kar sakte hain vohi to desh chalayenge
lekin sharm aani chahiye hume apne par apni soch par
imaandaari ki izzat bhi nahi kar sakte lanat hai hum par
kya hum ye nahi sochte jaante ki ek ek karke hi samaaj banta hai
kya hum ye nahi maante ki hamare badlne se hi samaaj badalta hai
kyun nahi hum ye kayarta ka chola utaar phenkte
kyun nahi hum apne jee ki awaaz ko bulandi hai dete
kya maza aata hai hume aise hi bejaan jeene me
kya maza aata hai hume apne aaspaas gandagi dekhne me
are jaanwar bhi kahin baithta hai to jagah saaf karta hai
aaj samaaj ke moolya girte ja rahen par samaaj ko fark nahi padta hai
apne ghar me dakaiti chori hatya hoti hai to shor machate hai
apni behen beti ki izzat jati hai to kohraam machate hain
apne saaamne kisi vyakti ka accident bhi ho jaye kuch nahi karte
kar sakte to itna hi karte hi chupchaap vahan se khisak jaate
ye hume sochna chahiye ki kaise apraadh apraadhi vratti ghate
lekin aaj to hamari mediawale bhi Don shabd ko ek maanneeya upadhi samajhte
hamare saath saath hamari media ka bhi dosh bahut hai
lekin in sabse hamara dost hargiz bhi kum nahi hota hai
are hamare chunne se hi neta kursi par baithte hain
phir hamare hisaab se neta kyun nahi neetiyan chalate hain
samaaj ke moolyon uske uthhaan ke lie kyun nahi neta aisa karte hain
kyunki kahin na kahin hum aaj bhi chhetra jaati ke naam par bate hue hain
aaj bhi hum apne swaarth ko pradhaanta dete hain
aaj bhi lalach me aake hi hum apne neta chunte hain
aaj bhi hum dharm mazhab adhtyaatmikta ka ek lafz nahi samajh paaye
varna azaad bharat me kyun aaj tak itne saare dange fasaad ho aaye
yun chullu bhar pani me doobne se bhi samaaj ka hit nahi hoga
hume jagna hoga swayam amal karna hoga tabhi desh ka hit hoga
hamara desh jiski abaadi 120 crore se zyada hai
hamara desh jisme aaj bhi har tabka sangharsh kar raha hai
har koi apne me laga hai kuch log hi imaandaari rakh rahe hain
parantu dukh hota hai ki Gantantra diwas par hum aise samachaar sun rahe hain
hamare aajkalke shaheed aise hi Yashwant Sonawane jaise shakhs hain
Naman karte hain hum aise deshbhaton par jinhone kartavya path par praan lutaye hain
http://www.thehindu.com/news/states/other-states/article1127002.ece