Haathon Ki Lakeeron Se Aakhir Shikayat kab Tak!!! "Khwaish"

by khwaish on April 22, 2011, 11:00:45 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4424 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
Reply with quote
Yeh Topic Kuch AIsi Hai jispar Kuch kehna Hi Bahut Mushkil Hai..Mera Koi Apna Hai Jo iss Daur se Guzar raha Hai,Kuch majbooriyan, kuch Aise Halaat Aaye Ke Aaj Woh shaks Bilkul Akele hai, Naa Hi koi Humsafar, Naa Hi koi Humraaz..Log kehte Hai ke badhti umar mein Insaan Ko Sambhaalne Wala, Sahaara Banne Wala Koi hona Chahiye..Varna Zindagi Yuhi tanha Nahi guzar Jaati..Main Umar Mein Bahut chota Hoon isliye Unse Yeh baat nahi keh Paata Par Aapni Iss Baat Ko Lafzon mein Utaarne Ki koshish Kar Raha Hoon..

Puraane Zakhmo Ko Khured Kar Kuch nahi Milta
Bure Halaat Ke Palon Ko Samet Kar Kuch Nahi Milta

Jahan Jaao Wahi Apni Muskaan Bikhero!!!
Shikayaten,Gile Shikwo Se Yahan Kuch Nahi Milta

Tum Hasoge To Duniya Bhi Saath Hasegi!!
Yahan Apne Gham Par Rone Se Kuch Nahi Milta

Ab Ke, Gham Ka Tufaan Aaya To Isme Beh Naa Jaaye Hum!!!!
Haath Thaam Lo Kisi Ka Akele Chalte Rehne Se Kuch Nahi Milta

Tanhai Bhi Ab Kisi Ke saath Ki Duhaai Deti Hai!!
Berang Zindagi Mein Andhere Ke siwa Kuch Kuch Nahi Milta

Haathon ki Lakeeron Se Aakhir Shikayat Kab Tak!!!
Kismat Par Afsos karne  Se Insaan Ko Kabhi Kuch Nahi Milta

  Zindagi Ek Safar Hai Aur Hum Sab Iske Musafir!!!!
veeran Raahon par Khud Ko Baar-Baar Aazmakar Kuch Nahi Milta

Milta Hai Sukoon Iss Jahan mein jab Koi Aankhon Ke Aansu Ponchne Wala Ho
"Khwaish" Guzre Hue Daur Par Yuh Aansuu Bahaakar Kuch Nahi Milta

                     ~~~~~Khwaish~~~~~

Logged
manjum
Guest
«Reply #1 on: April 22, 2011, 11:12:39 AM »
Reply with quote
wah khwaishji bahut achi baat kahi hai aapne....khub

hausla bharne wali baat....... kammal
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #2 on: April 22, 2011, 12:19:12 PM »
Reply with quote
khwaish ji...........

sach kahu to post asusal he.... .mean bahot hi aachi he ehsaso se bharpur har baar ki tarah.....but jo chij muje sabse aachi lagi wo ye ki jo apne socha he unke liye.........itna deep kisi ke liye sochna har insan nahi kar pata.........i salute to ur good feelings in which u feel the pain of any person.........sach to ye he ki aaj koi kisi ke liye nahi sochta.bas ek hi baat "MUJE KYA".......aur yahi sab bikhar jata he.....

ek baat aur kahna chahta hu ki wo jo bhi he aur jitna bhi age difference ho aap dono me aap unse ye baat kah de........yakin maniye unhe bura nahi lagega........kai baar hum kah nahi pate bus sochte rah jatey he ....himaat kijiye wahe guru ka naam lekar gal kar lo tussi........apki itni aachi bhawna he ki wo bura nahi manege.........go the way u chose........do it dear.....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #3 on: April 22, 2011, 01:56:43 PM »
Reply with quote
wah khwaishji bahut achi baat kahi hai aapne....khub

hausla bharne wali baat....... kammal

Anju Ji, mere Liye Iss Baat Se bhadkar Koi Comment Nahi Ke Yeh Kalaam Kisi Ko Hausla De..Sach Kahoon To yeh Likhi Bhi iske Liye Gayi ke Kabhi koi Insaan Jo kabhi Iss daur se Guzar raha Hai isse padhe Aur Hausla karke Kuch Faisla Le..Aapka Bahut bahut Shukriya Anjuji icon_flower

Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #4 on: April 22, 2011, 04:40:22 PM »
Reply with quote
Bohat Khoobsurat Jazbaat Hain Ji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: April 22, 2011, 10:17:49 PM »
Reply with quote
Wah Wah Wah aur Wah..
Dost, har baar kuch naya seekha jate ho aur acha likh jate ho..
Iss kalam kay liye tariff se zada yeh baat kay yeh hausla deti hai..
Apka woh sentence yaad ata hai kay 'Zindagi agey barrne ka naam hai..'
Bas yeh kalam yehi seekhati hai..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Khush rahiye..!
Logged
manjum
Guest
«Reply #6 on: April 23, 2011, 04:16:07 AM »
Reply with quote
khwaishji.... iswar kare aapne jo chaha hai pura ho... unhe hausla mile ye faisla karne ka... par matrix ji ki baat bhi sahi hai ki aap baat kar lijie... umra ke fasle aapsi pyar se bade kabhi nahin ho sakte... hausla kijie aur baat kijie..... hamari duaye aapke sath hain....
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #7 on: April 23, 2011, 06:28:58 AM »
Reply with quote
bht hi accha topic utahaya hai aapne khwaish ji....
Bht bht khoob.....
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #8 on: April 23, 2011, 11:28:48 AM »
Reply with quote
WAH JI WAH KHWAISHJI BAHUT KHOOB LIKHA HAI JI AAPNE
 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2

KAWAISH JI hamara to yahi kehna hai aapke jawaab mein

purane jakham kaun bhala khud kuredta hai.
halki si chhuan hi kafi hai dard uthane ke liye.

haan par itna zaroor hai ki dard mein muskurao.
apne liye nahin to khuda ke banaye zamaane ke liye.

Yeh Topic Kuch AIsi Hai jispar Kuch kehna Hi Bahut Mushkil Hai..Mera Koi Apna Hai Jo iss Daur se Guzar raha Hai,Kuch majbooriyan, kuch Aise Halaat Aaye Ke Aaj Woh shaks Bilkul Akele hai, Naa Hi koi Humsafar, Naa Hi koi Humraaz..Log kehte Hai ke badhti umar mein Insaan Ko Sambhaalne Wala, Sahaara Banne Wala Koi hona Chahiye..Varna Zindagi Yuhi tanha Nahi guzar Jaati..Main Umar Mein Bahut chota Hoon isliye Unse Yeh baat nahi keh Paata Par Aapni Iss Baat Ko Lafzon mein Utaarne Ki koshish Kar Raha Hoon..

Puraane Zakhmo Ko Khured Kar Kuch nahi Milta
Bure Halaat Ke Palon Ko Samet Kar Kuch Nahi Milta

Jahan Jaao Wahi Apni Muskaan Bikhero!!!
Shikayaten,Gile Shikwo Se Yahan Kuch Nahi Milta

Tum Hasoge To Duniya Bhi Saath Hasegi!!
Yahan Apne Gham Par Rone Se Kuch Nahi Milta

Ab Ke, Gham Ka Tufaan Aaya To Isme Beh Naa Jaaye Hum!!!!
Haath Thaam Lo Kisi Ka Akele Chalte Rehne Se Kuch Nahi Milta

Tanhai Bhi Ab Kisi Ke saath Ki Duhaai Deti Hai!!
Berang Zindagi Mein Andhere Ke siwa Kuch Kuch Nahi Milta

Haathon ki Lakeeron Se Aakhir Shikayat Kab Tak!!!
Kismat Par Afsos karne  Se Insaan Ko Kabhi Kuch Nahi Milta

"Khwaish" Zindagi Ek Safar Hai Aur Hum Sab Iske Musafir!!!!
veeran Raahon par Khud Ko Baar-Baar Aazmakar Kuch Nahi Milta

Milta Hai Sukoon Iss Jahan mein jab Koi Aankhon Ke Aansu Ponchne Wala Ho
"Khwaish" Guzre Hue Daur Par Yuh Aansuu Bahaakar Kuch Nahi Milta

                     ~~~~~Khwaish~~~~~

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #9 on: April 25, 2011, 12:21:27 PM »
Reply with quote
khwaish ji...........

sach kahu to post asusal he.... .mean bahot hi aachi he ehsaso se bharpur har baar ki tarah.....but jo chij muje sabse aachi lagi wo ye ki jo apne socha he unke liye.........itna deep kisi ke liye sochna har insan nahi kar pata.........i salute to ur good feelings in which u feel the pain of any person.........sach to ye he ki aaj koi kisi ke liye nahi sochta.bas ek hi baat "MUJE KYA".......aur yahi sab bikhar jata he.....

ek baat aur kahna chahta hu ki wo jo bhi he aur jitna bhi age difference ho aap dono me aap unse ye baat kah de........yakin maniye unhe bura nahi lagega........kai baar hum kah nahi pate bus sochte rah jatey he ....himaat kijiye wahe guru ka naam lekar gal kar lo tussi........apki itni aachi bhawna he ki wo bura nahi manege.........go the way u chose........do it dear.....

Haule-Afzaai Ke Liye Bahut bahut Shukriya Uthkarshji..

Uthkarshji iss Topic Par main Aapse P.m ke zariye zaroor baat karunga..Par Haan Itna Zaroor kahunga Ke Insaan Jab Ek Certain Umar cross Kar leta Hai Woh Duniyadaari, Biraadri Ki Bahut Bataein Karta Hai, Aur kehta Hai Ke log Kya kahenge..chaliye aapse zaroor baat karunga iss baare mein..

Aapka bahut bahut shukriya Mere Dost!!! icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #10 on: April 25, 2011, 12:22:53 PM »
Reply with quote
Bohat Khoobsurat Jazbaat Hain Ji

Aapka bahut bahut Shukriya Niha Ji..

Yuhi Saath dete Rahiyega Humesha  icon_flower

Logged
shabbir143
Guest
«Reply #11 on: April 25, 2011, 12:30:11 PM »
Reply with quote
Bohat Khoobsurat Jazbaat Hain
Bohat Achha Likha Hai Aapne Khwaish Ji Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #12 on: April 25, 2011, 03:26:29 PM »
Reply with quote
Wah Wah Wah aur Wah..
Dost, har baar kuch naya seekha jate ho aur acha likh jate ho..
Iss kalam kay liye tariff se zada yeh baat kay yeh hausla deti hai..
Apka woh sentence yaad ata hai kay 'Zindagi agey barrne ka naam hai..'
Bas yeh kalam yehi seekhati hai..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!

bhai Rahim, Kin Lafzon Mein aakhir main aapka shukriya ada kiya karoon..aapne mujhe humesha se Hausla diya hai ke main Apne dil ka Likh Sakoon..mere dost yuhi humesha mera saath dete rehna..

Aapka Dil-o-jaan se shukriya.. icon_flower icon_flower icon_flower

Logged
sbechain
Guest
«Reply #13 on: April 27, 2011, 07:32:42 AM »
Reply with quote
Yeh Topic Kuch AIsi Hai jispar Kuch kehna Hi Bahut Mushkil Hai..Mera Koi Apna Hai Jo iss Daur se Guzar raha Hai,Kuch majbooriyan, kuch Aise Halaat Aaye Ke Aaj Woh shaks Bilkul Akele hai, Naa Hi koi Humsafar, Naa Hi koi Humraaz..Log kehte Hai ke badhti umar mein Insaan Ko Sambhaalne Wala, Sahaara Banne Wala Koi hona Chahiye..Varna Zindagi Yuhi tanha Nahi guzar Jaati..Main Umar Mein Bahut chota Hoon isliye Unse Yeh baat nahi keh Paata Par Aapni Iss Baat Ko Lafzon mein Utaarne Ki koshish Kar Raha Hoon..

Puraane Zakhmo Ko Khured Kar Kuch nahi Milta
Bure Halaat Ke Palon Ko Samet Kar Kuch Nahi Milta

Jahan Jaao Wahi Apni Muskaan Bikhero!!!
Shikayaten,Gile Shikwo Se Yahan Kuch Nahi Milta

Tum Hasoge To Duniya Bhi Saath Hasegi!!
Yahan Apne Gham Par Rone Se Kuch Nahi Milta

Ab Ke, Gham Ka Tufaan Aaya To Isme Beh Naa Jaaye Hum!!!!
Haath Thaam Lo Kisi Ka Akele Chalte Rehne Se Kuch Nahi Milta

Tanhai Bhi Ab Kisi Ke saath Ki Duhaai Deti Hai!!
Berang Zindagi Mein Andhere Ke siwa Kuch Kuch Nahi Milta

Haathon ki Lakeeron Se Aakhir Shikayat Kab Tak!!!
Kismat Par Afsos karne  Se Insaan Ko Kabhi Kuch Nahi Milta

"Khwaish" Zindagi Ek Safar Hai Aur Hum Sab Iske Musafir!!!!
veeran Raahon par Khud Ko Baar-Baar Aazmakar Kuch Nahi Milta

Milta Hai Sukoon Iss Jahan mein jab Koi Aankhon Ke Aansu Ponchne Wala Ho
"Khwaish" Guzre Hue Daur Par Yuh Aansuu Bahaakar Kuch Nahi Milta

                     ~~~~~Khwaish~~~~~

mmmmmmmmmmmmmmmmmmmind         blooooooooooooooooooowing.

 veeeeeeeeeeeeeeeeeeeery veeeeeeeeeeeeeeeery nice. i have no word to appreciate.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #14 on: April 28, 2011, 12:40:25 PM »
Reply with quote
Bohat Khoobsurat Jazbaat Hain Ji

Apka Bahut bahut shukriya niha ji
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:53:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer