ParwaaZ
Guest
|
MaiN to apne Uduu ki himmat e majaal dekhta huN Kisi se kia laduN maiN khud apna haal dekhta huN
Ujad jaate haiN sare aam aashiyaane gareeboN key Khud ko hua hai kitna maiN malaal dekhta huN
Soch ker baras jaati hai aankheN khauf e khudaa se Roz e qayaamat ka maiN jo zawaal dekhta huN
Ulajh na jauN khud hi kahiN maiN kisi paheli meiN Tahe gehrai meiN jaa ke pahele sawaal dekhta huN
Hai hazaaroN shanakhateN hazaaroN cheharoN kii Aye khuda maiN to tera bus yeh kamaal dekhta huN
Mujhe kis bahas se kya lena hai maiN janta huN Mera shagaf hai sikhana maiN misaal dekhta huN
Husn baher ka naaz hota hoNga auroN ko "ParwaaZ" MaiN to likhane wale ke ahsaas O khayaal dekhta huN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Anshumali
Guest
|
|
«Reply #1 on: September 04, 2010, 03:48:29 AM » |

Sameer Ji .. Aadaab ! aapne bahut kamaal ki ghazal likhi hai iss baar.....matle se maqte tak har sher ko bahut unche khayal se niibhaaya hai... rawaangi..adaayegi aur saaf bayaani ... peshkash ko aur bhi khaas banaati hai... har ashaar ki fikR gehraai liye hai... jo ghazal ko padhne ka apna hi luft deti hai... main kahunga....aapki best ghazal me se ek rahi yeh peshkash bhi... superB Creation... tahe dil se daad hazir hai... qubuul farmaayeN... Amazing ... Awesome ... !!!!!!!!!!! aise hi umdaa khayaloN ke saath humeshaa aate rahe ... likhte rahen ... aage bhi....khush rahen... duaaoN ke saath.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|
ParwaaZ
Guest
|
|
«Reply #4 on: September 05, 2010, 09:14:02 PM » |
|
kalsakar Jee Aadaab!
humari koshish ko sarahne ka bahut bahut shukriyaa janab..... Yeh to aap logoN ki muhobbat hai jo humari uljalool baatoN ko aap log apna lete haiN.... Aapka kalaam ko pasand karne ke liye tahe dil se shukriyaa......
Aage bhi apna sath dete rahiye.. Khush rahiye......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nazar.ghouri
Guest
|
|
«Reply #5 on: September 05, 2010, 10:31:42 PM » |
|
parwaaz saheb ek umda kalaam pe daad,isi tarah bazm ko roshan karte rahiye ...aapki iss taqleeq pe aur ek baar daad...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ParwaaZ
Guest
|
|
«Reply #6 on: September 11, 2010, 08:40:57 PM » |
|
parwaaz saheb ek umda kalaam pe daad,isi tarah bazm ko roshan karte rahiye ...aapki iss taqleeq pe aur ek baar daad...
Nazar Sahab Aadaab!
Zarra nawaazi ka bahut bahut shukriyaa.... Hum tahe dil se mashkoor o mamnoon hai.....
Aage bhi apna saath banaye rakhiye..... Khush rahiye..... Khuda Hafez.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Shihab
Yoindian Shayar
Rau: 27
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:29 days, 3 hours and 46 minutes.
Maut To Ek Shuruaat Hai...
Posts: 2082 Member Since: Dec 2006
|
|
«Reply #7 on: September 16, 2010, 02:10:00 AM » |
|
Bohat Khoob Janaab Parwaaz Sahab
Dad Dad Aur Bas Dad.
Khush Rahe.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ParwaaZ
Guest
|
|
«Reply #8 on: September 16, 2010, 03:06:57 PM » |
|
Janaab Parwaaz Saheb Aadab Umeed Karta Hun Aap Khairiyat Se Honge Aur Janaab Kya Hi Khoob Kalaam Bazm Ko Ata Kiya Hai Badi Khoobsurati Aur Sadgi Se Lafzon Ko Piroya Hai Aapne Aagaz Se Lekar Anjaam Tak Behatreen Ashaar Rahe Par Sabse Jyada Dilko Chhune Wali Yeh Wali Lines Hain Bahut Hi Khoobsurat Peshkash Hai Janaab. Mubarq Ho.
Hazaaron Dad Kabul Karen...!
Khush Rahiye...
~Shihab~
Shihab Sahab Aadaab......
yeH to aapka badapan hai janab... jo aapne is adna se koshish ko saraha... hum teh dil se mashkoor o mamnoon hai.... Aage bhi aise hi saath banye rakhiye... Khush o aabaad rahiye.... Khuda Hafez.......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Yaash
Guest
|
|
«Reply #9 on: September 25, 2010, 03:19:29 AM » |
|
Behad Khoobsurat Peshkash Janaab
Dad Hi Da...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
shiba
Guest
|
|
«Reply #10 on: January 29, 2011, 12:21:24 PM » |
|
Main Bata Nahi Sakti Parwaaz Ji Ki Mujhe Aapki Yeh Peshkash Kitni Pasand Aayi No Words Ji Tareef Karna Suraj Ko Diya Dikhane Waali Baat Hogi.Behad Hi Khoobsurat
|
|
|
Logged
|
|
|
|
adil bechain
Umda Shayar
Rau: 161
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:31 days, 18 hours and 24 minutes.
Posts: 6552 Member Since: Mar 2009
|
|
«Reply #11 on: March 10, 2011, 08:42:06 PM » |
|
MaiN to apne Uduu ki himmat e majaal dekhta huN Kisi se kia laduN maiN khud apna haal dekhta huN
Ujad jaate haiN sare aam aashiyaane gareeboN key Khud ko hua hai kitna maiN malaal dekhta huN
Soch ker baras jaati hai aankheN khauf e khudaa se Roz e qayaamat ka maiN jo zawaal dekhta huN
Ulajh na jauN khud hi kahiN maiN kisi paheli meiN Tahe gehrai meiN jaa ke pahele sawaal dekhta huN
Hai hazaaroN shanakhateN hazaaroN cheharoN kii Aye khuda maiN to tera bus yeh kamaal dekhta huN
Mujhe kis bahas se kya lena hai maiN janta huN Mera shagaf hai sikhana maiN misaal dekhta huN
Husn baher ka naaz hota hoNga auroN ko "ParwaaZ" MaiN to likhane wale ke ahsaas O khayaal dekhta huN
parwaaz sahab shayad driyaa bhi itna gahra na hoga janab main aap ko iss ghazal pe daad de kar iski azmat ko chota nahin kar sakta aap ke khayalaat aur husn-e-ekhlaaq aur ekhlaas ka mozahera kar rahaa hai ye ghazal. janaab ye gharib aapki iss ghazal ka murid ho gaya. ALLAH AAP KI NEK KHAWAHISH POORI KARE AMIN..!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Niha Khan
Guest
|
|
«Reply #12 on: April 22, 2011, 04:54:37 PM » |
|
Bohat Pyara Likha Hai Aapne Parwaaz Sahab
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
vipul kumar
Guest
|
|
«Reply #14 on: July 17, 2011, 03:15:48 AM » |
|
bahut khoob Parwaaz sahab:)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|