Halaal Rozi Ki Talaash Mein,.

by Jaanasheen on April 21, 2009, 04:53:50 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4228 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Doston Mera Ek Dost Hai, Jo Pani Poori {Golgappe} Bechta Hai, Us Se Dosti Meri Golgappe Khaate Khate Bani, Wo UP Ka Hai, Rozi Ki Talaash Mien Bangalore Aaya Hai, Aur Wo Foot Path Pe Apna Dukaan Daalta Hai, Aur Is Par Bhi Log Pabandiyaan Lagaaye Hain,.
Main Ye Shayari Mere Us Dost, Aur Kuch Aise Log Jo Is Haalat Se Guzar Rahe Hain Unke Liye Dedicate Karna Chahta Hoon,.



Halaal Rozi Ki Hum Jab Talaash Karte Hain,.
Phir Bhi Log Jaane Kyun Humse Mukarte Hain,.

Kehta Hai Koi, Ke Yahaan Dukaan Daalna Manaa Hai,.
Koi Kehta Hai, Ke Yahaan Police Waale Phirte Hain,.

Maa Baap Bhai Behan, Ghar Apna Chord Aaye Hain,.
Dekhkar Hamaari Haalat, Log Humse Jhagardte Hain,.

Hum Mehnat Jab Karte Hain, Sab Log Ungli Karte Hain,.
Koi Chori Jab Kare, To Kyun Nahi Use Pakarte Hain,.

Hume Kehte Hain Ke Hum Mahaul Kharaab Karte Hain,.
Hum Yaaron Yahaan, Halaal Rozi Talaash Karte Hain,.

5 10 Rupay Karke, Paise Jamaate Hain, Badi Mushkil Se Hum Kamaate Hain,.
Aate Hain Wohi Paise Maange, Jo Janta Ki Sewa Karte Hain,.

Ameeron Ki Dukaano Me sab Chup Chup Khaa Nikalte Hain,.
Hum Gareebon Ke Thelon Par Jaane Masti Kyun Karte Hain,.

Kuch Log Aise Bhi Aate Hain, Khaakar Paise Diye Bagair Jaate Hain,.
Kyun Hum Kamzoron Par Apni Taakhat Ka Numaina Karte Hain,.

Hum Gareeb Jab Khud Ki Rozi Ke Liye Itna Marte Hain,.
Kyun Hum Par Hi Log Is Taraah Ke Zulm Karte Hain,.

_____________________________-Jaanasheen-





Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri talaash mein nikle... by sanya310 in Shayri-E-Dard
Mujhe Khud Mein Talaash Kar,. by Azeem Azaad in Miscellaneous Shayri
Kiski talaash mein firta hai... by daljeet_faqeer in Shairi - E - Zindagi
saahil ki talaash mein by saahill in Shayri-E-Dard
SACHH KI TALAASH MEIN by surindarn in Shairi - E - Zindagi
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: April 21, 2009, 05:45:42 PM »
Reply with quote
Bohat Khoob Azeem....

Gareeb hu mazdoor hu mujhko satate q ho

Sukh chuke hai aasoo aur tum rulate q ho.....

-SG-
Logged
pandit
Guest
«Reply #2 on: April 22, 2009, 01:51:51 AM »
Reply with quote
VERY NICE JAANSHEEN.....
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #3 on: April 22, 2009, 02:10:59 AM »
Reply with quote
Nicely conceived.  Very good Jaanasheen
SARVESH RASTOGI
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #4 on: April 22, 2009, 04:53:08 AM »
Reply with quote
WAH WAH BHAYEE KAMAAL KAR DIYA, ACHAA LIKHA HAI DOST

NETRA...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: April 22, 2009, 04:54:59 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Lil bro
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: April 22, 2009, 05:06:20 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Azeem..Bahut ache.. Applause Applause Applause
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #7 on: April 22, 2009, 05:24:58 AM »
Reply with quote

       BAHAUT ACHCHI PESHKASH HAI ..JN
       
        SAMBHALNEY KEY LIYE EK ISHAARAA KAAFI HAI,
        WARNAA GUZAR JAATI HAIN SADIAN SUDHARTEY SUDHARTEY...,

           MAASHREY KO BADLNEY KI ZIMMADARI HUM SAB PER HAI..!

    KAL KI HEADLINE THI... DEMOCRACY HAS BECOME THE TOY OF RICH PEOPLE ONLY..

  AAAAM AADMI AUR BEROZGAAR AUR GHARIB TABQAA WAQAI SYSTEM SEY PARESHAAN HAI


  REASON, AN EXISTENCE OF CRUPTION IN OUR COUNTRY REACHED OF ITS HEIGHT
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #8 on: April 22, 2009, 08:00:10 AM »
Reply with quote
Bohat bohat umda, bohat khoobsoorat azeem ji..... Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: April 22, 2009, 08:07:30 AM »
Reply with quote
Bahaut khoob Azeem bhaijan, Sajid saheb aur Khamosh jee... Applause
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #10 on: April 22, 2009, 09:05:29 AM »
Reply with quote
Doston Mera Ek Dost Hai, Jo Pani Poori {Golgappe} Bechta Hai, Us Se Dosti Meri Golgappe Khaate Khate Bani, Wo UP Ka Hai, Rozi Ki Talaash Mien Bangalore Aaya Hai, Aur Wo Foot Path Pe Apna Dukaan Daalta Hai, Aur Is Par Bhi Log Pabandiyaan Lagaaye Hain,.
Main Ye Shayari Mere Us Dost, Aur Kuch Aise Log Jo Is Haalat Se Guzar Rahe Hain Unke Liye Dedicate Karna Chahta Hoon,.



Halaal Rozi Ki Hum Jab Talaash Karte Hain,.
Phir Bhi Log Jaane Kyun Humse Mukarte Hain,.

Kehta Hai Koi, Ke Yahaan Dukaan Daalna Manaa Hai,.
Koi Kehta Hai, Ke Yahaan Police Waale Phirte Hain,.

Maa Baap Bhai Behan, Ghar Apna Chord Aaye Hain,.
Dekhkar Hamaari Haalat, Log Humse Jhagardte Hain,.

Hum Mehnat Jab Karte Hain, Sab Log Ungli Karte Hain,.
Koi Chori Jab Kare, To Kyun Nahi Use Pakarte Hain,.

Hume Kehte Hain Ke Hum Mahaul Kharaab Karte Hain,.
Hum Yaaron Yahaan, Halaal Rozi Talaash Karte Hain,.

5 10 Rupay Karke, Paise Jamaate Hain, Badi Mushkil Se Hum Kamaate Hain,.
Aate Hain Wohi Paise Maange, Jo Janta Ki Sewa Karte Hain,.

Ameeron Ki Dukaano Me sab Chup Chup Khaa Nikalte Hain,.
Hum Gareebon Ke Thelon Par Jaane Masti Kyun Karte Hain,.

Kuch Log Aise Bhi Aate Hain, Khaakar Paise Diye Bagair Jaate Hain,.
Kyun Hum Kamzoron Par Apni Taakhat Ka Numaina Karte Hain,.

Hum Gareeb Jab Khud Ki Rozi Ke Liye Itna Marte Hain,.
Kyun Hum Par Hi Log Is Taraah Ke Zulm Karte Hain,.

_____________________________-Jaanasheen-






Waah.......Azeem Gud Work Yaar Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Bilkul Sachi tasveer pesh kari hai aapne
Padhte padhte meri aankhein nam ho gayee.....
Tumha soch aur tumhari likhawat ko..... icon_salut
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: April 22, 2009, 12:55:03 PM »
Reply with quote
Shukriya Sab Doston Ka,.

Sahi Kaha Hai Aapne Khamosh Awaaz Ji, Ke Democracy Sirv Ameron Ke Liye Hai,.
And Nice Lines Sajid Bhai,.

Thank U, Pandit Bhai, Pooja Didi, Sarvesh Bhai, Khwaish Bhai, Saurabh Bhai, Raheem Bhai, Netra Bhai,.
And Thank U Shweta,.
Logged
diya786
Guest
«Reply #12 on: April 22, 2009, 12:57:27 PM »
Reply with quote
Bahut bahut bahut klhoob Azeem Sahab
bahut hi umda peshkash hai aapki
hamesha ki tarah...
Applause Applause Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: April 22, 2009, 01:02:14 PM »
Reply with quote
Bahut bahut bahut klhoob Azeem Sahab
bahut hi umda peshkash hai aapki
hamesha ki tarah...
Applause Applause Applause

Thyank U Kashish saheba, Bas ye Aapki Kashish Ka Kamaal hai,.
Thank U,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: April 22, 2009, 01:17:58 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Azeem.....Khuda sab ki Halal Rozi Roti main barkat farmaaye !
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 04:17:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer