Haqeeqat Hai, Koi Fasaana Nahi,.

by Jaanasheen on January 26, 2009, 10:48:50 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2227 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
As Salaa Walaikum,.
Satsriyakaal,.

Ye Meri Kahaani Hai,.
Jise Main Shayari Ke Rang Mein Dhal Raha Hoon,.


Bade Armaano Se, Maa Baap Ne Paala Mujhe,.
Ek Nanhi Jaan Se Pahelwaan Bana Daala Mujhe,.

Bachpan Guzra Mera, Badi Mushkilon Se Kya Kahoon,.
Kisi Sahaare Ne Nahi, Thokaron Ne Hi Sambhaala Mujhe,.

Gareebi Kuch Is Kadar Sawaar Thi Humpar, Jiski Hadd Nahi,.
Bhooki Thi Maa Meri, Khalaaya Apne Mooh Ka Niwaala Mujhe,.

Aise Taise, Badaa Hua Main, Kadmo Pe Apne Khada Hua Main,.
Jab Pardhne Gaya, To Fees Na Bharne Ki Wajaah Se Nikaala Mujhe,.

Mushkilon Se Pardhaai Khatam Ki Maine, School Ke Daur Ki,.
College Pahooncha, To Mere Ustaadon Ne Badmaash Bana Daala Mujhe,.

Ab Adhoore Safar Mein Hoon Zindagi Ke, Manzil Ka Koi Pataa Nahi,.
Jo Meri Tangdasti Ke Andhere Door Kare, Dikhta Nahi Aisa Ujaala Mujhe,.

_____________________________________________-Jaanasheen,.

Ye Meri Kahaani Hai,.
Pehli Baar Khudpar Likhne Ka Socha Hai Maine,.
Bas Mere Liye Duaa Karna,.
Waah Wahi Nahi,.










Logged
harishsharmapilot
Guest
«Reply #1 on: January 26, 2009, 11:24:18 PM »
Reply with quote
Dear Jaansheen
You created a touching poem in this thread and we all will pray to God that u will find a joy and happiness in your colorful life.
Logged
Asghr
Guest
«Reply #2 on: January 26, 2009, 11:30:10 PM »
Reply with quote
main tou farzi prem kahaniyan likhta hoon magar aap ne haqeeqat baat kehi its very toucing meri duaain aap k saath hain .asghr
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: January 26, 2009, 11:32:34 PM »
Reply with quote
Aameen,.
Shukriya,.
Persant Bhai,.
Ashgr Bhai,.
Logged
harishsharmapilot
Guest
«Reply #4 on: January 26, 2009, 11:54:45 PM »
Reply with quote
"Haqeeqat yeh ki tumhe bahut Aagee janna hai
Aur is duniya mai kamyabi ka percham laharana hai
Badhte rahoo ruko nahi aadhi aur toofano mai
Bas chalte Raho sahi rastoo per"
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: January 27, 2009, 04:45:56 AM »
Reply with quote
Mere bhai main dua bhi karta hoon aur wah wahi bhi...bahaut acha likha hai lekin sabse badi baat himat wala likha hai...bahaut kam log aaj khud ki zindagi ko itna saaf bayan kar sakte hai...main har shaer apni zindagi se related likta hoon...ek dum sach likta hoon lekin itna saaf nahin...mere bhai Allah sab theek karega...AMEEN!!!



zindagi se yunhi ladte jana,
maut se phele har na manna,
ladte hue bitai hai tumne zindagi isiliye ek guzarish hai Azeem,
Rahim ko marne se pehle zindagi jeena sikha jana...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: January 27, 2009, 07:44:22 AM »
Reply with quote
As Salaa Walaikum,.
Satsriyakaal,.

Ye Meri Kahaani Hai,.
Jise Main Shayari Ke Rang Mein Dhal Raha Hoon,.


Bade Armaano Se, Maa Baap Ne Paala Mujhe,.
Ek Nanhi Jaan Se Pahelwaan Bana Daala Mujhe,.

Bachpan Guzra Mera, Badi Mushkilon Se Kya Kahoon,.
Kisi Sahaare Ne Nahi, Thokaron Ne Hi Sambhaala Mujhe,.

Gareebi Kuch Is Kadar Sawaar Thi Humpar, Jiski Hadd Nahi,.
Bhooki Thi Maa Meri, Khalaaya Apne Mooh Ka Niwaala Mujhe,.

Aise Taise, Badaa Hua Main, Kadmo Pe Apne Khada Hua Main,.
Jab Pardhne Gaya, To Fees Na Bharne Ki Wajaah Se Nikaala Mujhe,.

Mushkilon Se Pardhaai Khatam Ki Maine, School Ke Daur Ki,.
College Pahooncha, To Mere Ustaadon Ne Badmaash Bana Daala Mujhe,.

Ab Adhoore Safar Mein Hoon Zindagi Ke, Manzil Ka Koi Pataa Nahi,.
Jo Meri Tangdasti Ke Andhere Door Kare, Dikhta Nahi Aisa Ujaala Mujhe,.

_____________________________________________-Jaanasheen,.

Ye Meri Kahaani Hai,.
Pehli Baar Khudpar Likhne Ka Socha Hai Maine,.
Bas Mere Liye Duaa Karna,.
Waah Wahi Nahi,.













Bohat dard hai Bhaijaan aapki shayari mein
aansu aagaye meri aankhon se bhai jaan
aap ke saath meri dua hai hamesha ..
aap fikar na karo ...i love you bro dear

zindagi mein aapko har khushi mile my
blessing to you always dear....




Logged
cara
Guest
«Reply #7 on: January 27, 2009, 08:32:09 AM »
Reply with quote
dookh ,dard, dake, sadhmon ki raha se tu seekha hai gujarna,
sukh, chan ,khushiyan,tarakii ki raha, ab tuje hi hai milna.

zindagi ki har mushkilen,paar kar chuka hai tu,
ab bulandi intezaar kar rahi hai tera,jaa paale tu.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #8 on: January 27, 2009, 08:45:29 AM »
Reply with quote
Bohat Khoob Azeem..... Clapping Smiley

Haqiqat ko apni, duniya ko na sunana
GHAYEL hona kamzori hain, zakhm apne na dikhana
Reham ho ya dua ho lagti hain ek si
Ek daata ke siwa haal apna, kisi ko na batana

                   -SG-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 27, 2009, 10:31:21 AM »
Reply with quote
Shukriya Rahim Bhai,.
Jaya Didi, Cara Ji,.
Sajid Bhaiya,.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #10 on: January 28, 2009, 08:49:34 AM »
Reply with quote
Khuda kare Azeem aapko har khushi mile,
jiss bhi cheez ki kami ho khuda use poori kar de,
himmat mat harna zindagime bahut kuch milega,

Hamari duayein tumhare saath hai...

Shally.
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: January 28, 2009, 09:13:32 AM »
Reply with quote
As Salaa Walaikum,.
Satsriyakaal,.

Ye Meri Kahaani Hai,.
Jise Main Shayari Ke Rang Mein Dhal Raha Hoon,.


Bade Armaano Se, Maa Baap Ne Paala Mujhe,.
Ek Nanhi Jaan Se Pahelwaan Bana Daala Mujhe,.

Bachpan Guzra Mera, Badi Mushkilon Se Kya Kahoon,.
Kisi Sahaare Ne Nahi, Thokaron Ne Hi Sambhaala Mujhe,.

Gareebi Kuch Is Kadar Sawaar Thi Humpar, Jiski Hadd Nahi,.
Bhooki Thi Maa Meri, Khalaaya Apne Mooh Ka Niwaala Mujhe,.

Aise Taise, Badaa Hua Main, Kadmo Pe Apne Khada Hua Main,.
Jab Pardhne Gaya, To Fees Na Bharne Ki Wajaah Se Nikaala Mujhe,.

Mushkilon Se Pardhaai Khatam Ki Maine, School Ke Daur Ki,.
College Pahooncha, To Mere Ustaadon Ne Badmaash Bana Daala Mujhe,.

Ab Adhoore Safar Mein Hoon Zindagi Ke, Manzil Ka Koi Pataa Nahi,.
Jo Meri Tangdasti Ke Andhere Door Kare, Dikhta Nahi Aisa Ujaala Mujhe,.

_____________________________________________-Jaanasheen,.

Ye Meri Kahaani Hai,.
Pehli Baar Khudpar Likhne Ka Socha Hai Maine,.
Bas Mere Liye Duaa Karna,.
Waah Wahi Nahi,.



Bahut acche.... very touching lines brother.. God Bless u dear
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: January 28, 2009, 02:42:49 PM »
Reply with quote
Aameen,.

Shukriya,.
Sahlly Behna,.
Majid Bhai,.
Raja Didi,.
Logged
HumTum
Guest
«Reply #13 on: January 28, 2009, 03:02:22 PM »
Reply with quote
Very Nice Azeem.

Allah aap ki har dua kabol kare.

Ameen.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: January 28, 2009, 03:08:13 PM »
Reply with quote
Aameen,.
Shukriya HumTum Bhai,.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:22:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer