Har Ghazal Meri Kahani Hai.....

by khwaish on March 09, 2009, 05:05:04 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2347 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Har Ghazal Meri Kahani Hai,
Zindagi Jiski Nishaani Hai...

Hisaab Nahi Rakhta Main Kabhi Guzre Hue Pal Ka!!!!
Par Har Pal Mein Chupi Ek Zindegaani Hai...
Har Ghazal Meri Kahaani Hai.....

Aaj Mujhse Hi Suunlo Meri Dastaan!!!
Varna Kal Duniya Ne Isse Apni Zubaani Sunaani Hai...
Har Ghazal Meri Kahaani Hai.....

Kaanton Se Bhari Thi Zindagi Ki Har Raah,Par Main Chalta Gaya
Sirf Chehre Ke Muskaan Par Na Jaa!!!
Zara Dekh,Inn Aankhon Mein bhi Paani Hai...
Har Ghazal Meri Kahaani Hai.....

Nayi Mushkile,Nayi Soch Aur Nayi Raahon Ka Musafir Hoon Main!!
Par Meri Kalam To Wahi Puraani Hai...
Har Ghazal Meri Kahaani Hai....

Salika Na Tha Mujhe Bolne Ka Isliye Chup Raha,
Varna Kayi Baatein thi,Jo Mujhe Samjhaani hai.....
Har Ghazal Meri Kahaani Hai.....

Taqdeer Ko Badalna Jab Apne Bas Mein Nahi "KHWAISH"
To Rona Kis Baat Ka,
Jee Kuch Iss Tarah Ke Maut Bhi Tujhe Salaam Kare,
Saanson Ka Kya Hai!!!!!
Woh To Aani-Jaani Hai....
Har Ghazal Meri Kahaani Hai...

                  ~~~~Khwaish~~~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Meri Kahani.. Meri Zubani by Aashique in Shayri-E-Dard
meri life mai .. kisi ko meri ye ghazal bahot pasand hai by clicksahil in Shayri-E-Dard
Meri Kahani... by CoolGirl in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 10 11 »
MERI KAHANI MERI JUBAANI by amarhellboy in Shayeri for Dard -e- Bewafai
**MERI KAHANI** by SairaKhan in Shayri for Dard -e- Judai
Talat
Guest
«Reply #1 on: March 09, 2009, 05:21:49 PM »
Reply with quote
Bohot bohot khoob Khwaish, humesha ki tarah dil ko andar tak chhu lene waali baat kahi hai aapne is shayari main. Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: March 09, 2009, 05:25:20 PM »
Reply with quote
Bohot bohot khoob Khwaish, humesha ki tarah dil ko andar tak chhu lene waali baat kahi hai aapne is shayari main. Applause Applause Applause

Bahut Bahut Shukriya Dost!!! Aapne Hamesha se Mera Hausla Badhaya Hai.. notworthy

Teh Dil Se Shukarguzaar Hoon... icon_salut
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: March 09, 2009, 05:46:23 PM »
Reply with quote
Har Ghazal Meri Kahani Hai,
Zindagi Jiski Nishaani Hai...

Hisaab Nahi Rakhta Main Kabhi Guzre Hue Pal Ka!!!!
Par Har Pal Mein Chupi Ek Zindegaani Hai...
Har Ghazal Meri Kahaani Hai.....

Aaj Mujhse Hi Suunlo Meri Dastaan!!!
Varna Kal Duniya Ne Isse Apni Zubaani Sunaani Hai...
Har Ghazal Meri Kahaani Hai.....

Kaanton Se Bhari Thi Zindagi Ki Har Raah,Par Main Chalta Gaya
Sirf Chehre Ke Muskaan Par Na Jaa!!!
Zara Dekh,Inn Aankhon Mein bhi Paani Hai...
Har Ghazal Meri Kahaani Hai.....

Nayi Mushkile,Nayi Soch Aur Nayi Raahon Ka Musafir Hoon Main!!
Par Meri Kalam To Wahi Puraani Hai...
Har Ghazal Meri Kahaani Hai....

Salika Na Tha Mujhe Bolne Ka Isliye Chup Raha,
Varna Kayi Baatein thi,Jo Mujhe Samjhaani hai.....
Har Ghazal Meri Kahaani Hai.....

Taqdeer Ko Badalna Jab Apne Bas Mein Nahi "KHWAISH"
To Rona Kis Baat Ka,
Jee Kuch Iss Tarah Ke Maut Bhi Tujhe Salaam Kare,
Saanson Ka Kya Hai!!!!!
Woh To Aani-Jaani Hai....
Har Ghazal Meri Kahaani Hai...

                  ~~~~Khwaish~~~~

Applause Applause Wah Wah Khwahish bhaijan...kamal ka likha hai yaar...apki shayri padkar sacha ke aine main saaf saaf dekh sakte hai...likte rehna dost...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: March 09, 2009, 09:58:33 PM »
Reply with quote
Bohat Bohat Achche Khwaish Bhai, Aapka Likha Hua Kuch Bhi Pardhna, Achcha Lagta Hai, Kyun Ki Aapke Likhne Ka Andaaz Hi Judaa Hai, Mote Lafzon Mein Hi Aap gehri Baatein Keh Dete Ho,.

Ye Ghazal Meri Bhi Kahaani Si Lagti Hai,.
Achcha Hua Khwaish Jo Tune Ise Sunaa Diya,.



Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: March 10, 2009, 08:38:43 AM »
Reply with quote
Bohat khoob khwaish kitne halke phulke andaaz me tumne apni baat rakhi...very good  Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #6 on: March 10, 2009, 08:58:10 AM »
Reply with quote
 notworthy

Wah wah Kya baat hai khwaish ji. sach mea bahoot khoobsurati se byan kiya hai. bahoot khoob.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: March 10, 2009, 04:44:30 PM »
Reply with quote
Applause Applause Wah Wah Khwahish bhaijan...kamal ka likha hai yaar...apki shayri padkar sacha ke aine main saaf saaf  dekh sakte hai...likte rehna dost...
                                   

 Bahut Bahut Shukriya rahim bhai..aapko yeh nazm pasand aayi,
yeh jaankar behad khushi hui...Saath Dene ka Shukriya Dost!!!
               
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: March 10, 2009, 04:49:28 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Khwaish Ji...

Touching as always..  Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #9 on: March 10, 2009, 04:50:08 PM »
Reply with quote
Very Nice Khwaish Sahab Applause Applause Applause
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #10 on: March 10, 2009, 07:18:08 PM »
Reply with quote
Bahut hi umda peshkash aapki khwaish bhai,badhai.
aapki kalam se  seekh kar kuch tukbandi jo bun gayi woh haazir hai aapki nazar:



har ghazal meri kahaani hai
kuch aag hai jo gunguna kar bujhaani hai
kabhi lamhe, kabhi tanhai
kabhi dard,kabhi ruswai
kabhi seedhi,kabhi gehrai
kabhi shokhi, kabhi angdai
kabhi bhalai,kabhi burai
zindgi ne dikhaaye sub rung
kaise keh du ki bemani hai.....
hur ghazal meri kahaani hai
kuch aag hai jo gunguna ke bujhaani hai.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: March 11, 2009, 03:28:52 AM »
Reply with quote
Bohat Bohat Achche Khwaish Bhai, Aapka Likha Hua Kuch Bhi Pardhna, Achcha Lagta Hai, Kyun Ki Aapke Likhne Ka Andaaz Hi Judaa Hai, Mote Lafzon Mein Hi Aap gehri Baatein Keh Dete Ho,.

Ye Ghazal Meri Bhi Kahaani Si Lagti Hai,.
Achcha Hua Khwaish Jo Tune Ise Sunaa Diya,.





Aap Ka Teh Dil Se Shkuriya Azeem Bhai Jo aapne iss Nazm ko apna waqt diya aur Saraha..Azeem bhai jabhi Hum Zindagi,Halaat Se Juudkar  kuch likhne ki koshish karte hai,woh Nazm apne aap gehre ho jaate hai..kyonki iss topic par bahut gehrai aur sachai chupi hoti hai...jis cheez ka saamna hum roz-aana zindagi mein karte hai,wahi Alfaazo ke zariye kaagaz par utaarte chale jaate hai..

Azeem Bhai Bahut Bahut shukriya jo aapne itni izzat bakhsi hai..


Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: March 11, 2009, 03:30:39 AM »
Reply with quote
Bohat khoob khwaish kitne halke phulke andaaz me tumne apni baat rakhi...very good  Clapping Smiley Clapping Smiley

Hausle-Afsaai ke liye Bahut Bahut Shukriya SajidSaheb..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: March 11, 2009, 03:33:14 AM »
Reply with quote
notworthy

Wah wah Kya baat hai khwaish ji. sach mea bahoot khoobsurati se byan kiya hai. bahoot khoob.

Thankyou So Much Sophi For Appreciating!! it's always nice to hear from you...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: March 11, 2009, 03:57:02 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Khwaish Ji...

Touching as always..  Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley

Thankyou So Much Angel...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:36:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer