Har shaks jo mirch masaala lagaa ke bolta hai

by ParwaaZ on August 26, 2010, 05:08:04 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2010 times)
ParwaaZ
Guest
Reply with quote
Ahel E Bazm ko Humara Salam O Aadaa
Humne yeh tanziyaa kalam paheli martaba kahi hai... Isse pahele humne koi bhi tanziyaa kalaam nahi kahi thi.....
Ummid hai aap logoN ko pasand aayeNgi ...
Apni araa se aur rai se zarur nawaziyeNga........ Usual Smile    




Woh jab bhi bolta hai kayiN dil jalaa ke bolta hai
Haq parast hai jo haq pe sar uthaa ke bolta hai

Us ka sikka chalta hai duniyaa ke bazaar meiN
Jo jhuth ko bhi danke pe thok bajaa ke bolta hai

Masoom se sach ko bhi fasaana bana deta hai
Har shaks jo mirch masaala lagaa ke bolta hai

Jaane Tameez O adaab kahaaN jaa rahe haiN
Kal ka bachcha bhi aankheN dikhaa ke bolta hai

Mujhe nind se jaagne ka koyiN dar nahi hai
Dil mera khawaab palkoN pe sajaa ke bolta hai

Muflisi ne use maNgne pe majboor kiya hai
Jo fakheer pet ki khateer gaa ke bolta hai

Jaa maiN tujhe ab bhool gaya huN " ParwaaZ"
Yaar mera aankheN mujhse milaa ke bolta hai

 

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
...Paisa bolta hai... by Devdas_online in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Sach Bolta Hoon by Devdas_online in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khuda Bolta Hai (By Songwriter_123) by songwriter_123 in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
mirch........ by manjum in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 5 »
K paisa bolta hai...Raaj by Sunil Malhotra in Shairi - E - Zindagi
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: August 26, 2010, 05:13:14 PM »
Reply with quote
waahhhhh parwaz ji......wakai bht hi pyare hain aapsare sher is kalam k...

aapki trah hi padhe ise aur har sher me kuch khas baat samne aai....

bht khub ji bht khub
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: August 26, 2010, 07:38:10 PM »
Reply with quote
Kasak Jee thanks for appriciate....
Aage bhi padhte rahiye....
Khush rahiye....
Khuda Hafez....         

Logged
Anshumali
Guest
«Reply #3 on: August 27, 2010, 01:08:13 PM »
Reply with quote
Us ka sikka chalta hai duniyaa ke bazaar mein
Jo jhuth ko bhi danke pe thok bajaa ke bolta hai

Jaane Tameez O adaab kahaan jaa rahe hai.n
Kal ka bachcha bhi aankhe dikhaa ke bolta hai

Muflisi ne use mangne pe majboor kiya hai
Jo fakheer pet ki khateer gaa ke bolta hai


Good One........ Parwaaz Sahab !

Very Impressive .... Awesome ! Amazing Creation ... dil se daad hazir hai...

yunhi likhte rahe aage bhi... khush rahen...

duaaon ke saath....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: August 27, 2010, 01:37:01 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Parwaaz Ji..

Bahut Hi Khoobsurat Peshkash!!!

Har Sher waise To lajawaab Hai Par yeh 2 Sher Bahut hi khoob hai..

uss ka Sika Chalta Hai Duniya Ke Bazaar mein
Jo Jhoot Ko Bhi Danke Pe Thok bajaa Ke bolta hai

Muflisi Ne usse Maangne Par Majboor Kiya Hai
Jo Fakeer pet ke khaatir ghaa ke Bolta Hai..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: August 28, 2010, 06:50:12 PM »
Reply with quote
bahut khoob Parwaaz ji...!!!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: August 29, 2010, 10:56:08 AM »
Reply with quote
Us ka sikka chalta hai duniyaa ke bazaar mein
Jo jhuth ko bhi danke pe thok bajaa ke bolta hai

Jaane Tameez O adaab kahaan jaa rahe hai.n
Kal ka bachcha bhi aankhe dikhaa ke bolta hai

Muflisi ne use mangne pe majboor kiya hai
Jo fakheer pet ki khateer gaa ke bolta hai


Good One........ Parwaaz Sahab !

Very Impressive .... Awesome ! Amazing Creation ... dil se daad hazir hai...

yunhi likhte rahe aage bhi... khush rahen...

duaaon ke saath....


Thank you Naresh Jee..

Thanks for appriciate my work.....
Ummid hai aage bhi aap aapna sahyog banaye rakhenge...
Thanks again....
Khush rahiye....
Khuda Hafez..         

Logged
kameeney
Guest
«Reply #7 on: August 29, 2010, 11:00:54 AM »
Reply with quote
AAJ KI HAQEEQAT PE TANZ HAI ,.....BAHUT KHOOB PARWAZ SAHAB
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #8 on: August 30, 2010, 09:17:48 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Parwaaz Ji..

Bahut Hi Khoobsurat Peshkash!!!

Har Sher waise To lajawaab Hai Par yeh 2 Sher Bahut hi khoob hai..

uss ka Sika Chalta Hai Duniya Ke Bazaar mein
Jo Jhoot Ko Bhi Danke Pe Thok bajaa Ke bolta hai

Muflisi Ne usse Maangne Par Majboor Kiya Hai
Jo Fakeer pet ke khaatir ghaa ke Bolta Hai..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Khawahsh jee aadaab....

Kalaam ko pasand karne aur housla afzai ka bahut bahut shukriyaa.... Aage bhi apna saath banaye rakhiye.....

Khush rahiye.......
Khuda Hafez.....           

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #9 on: August 31, 2010, 12:46:44 AM »
Reply with quote
Bahut hi achchhi peshkash hai aap ki Parwaaz Ji
Logged
Radhika_2
Guest
«Reply #10 on: September 02, 2010, 09:21:31 PM »
Reply with quote
Ji.. aapki ye peshkash aur sabhi ashaar bahut acche lage ... dil se daad ... Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #11 on: September 07, 2010, 11:06:34 PM »
Reply with quote
bahut khoob Parwaaz ji...!!!

Klaskar Jee kalaam ki tarif ke liye aapka tahe dil se shukriyaa.....

Aage bhi apna saath dete rahiye,
Khush rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile     

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #12 on: September 07, 2010, 11:49:55 PM »
Reply with quote
AAJ KI HAQEEQAT PE TANZ HAI ,.....BAHUT KHOOB PARWAZ SAHAB

K" Jee kalaam per aapki pazi rai jaankar khushi huyi.... hum tahe dil se mashkoor o mamnoon hai....

Aage bhi apna saath banaye rakhiye ....
Khush rahiye......
Khuda Hafez......Usual Smile     

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #13 on: September 07, 2010, 11:58:20 PM »
Reply with quote
Bahut hi achchhi peshkash hai aap ki Parwaaz Ji

Rajesh jee Aadaab!

Aapko apni kalaam per dekh kar masarrat huyi.... Kalaam ki taif ke liye mashkoor o mamnoon hai.....

Aage hi apna saath banaye rakhiye....
khush rahiye.....
Khuda hafez...... Usual Smile         

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #14 on: September 11, 2010, 08:46:15 PM »
Reply with quote
Ji.. aapki ye peshkash aur sabhi ashaar bahut acche lage ... dil se daad ... Applause

Thank you Radhika Jee .... Thanks for appriciate....... Aate rahiye... Khush rahiye..Khuda hafez         
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:11:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer