tu ne jis waqt ye inssan banaya ya rab
us ghadi mujhko to ek aankh na bhaya ya rab
is liyn maine sar apna na jhukhya ya rab
lakin ab palti hai kuch aisi hi kaaya ya rab
aqalmandi hai isimai ke mai touba kar lu.n
sochta hun ki ab insaan ko sajdah kar lun
ibteda thi bhut narm tabiyat uski
qalb wa jaan paak thay, shffaaf thi niyat uski
phir batadreej badalne lagi khuslat uski
ab to khud mujh pe musallat hai shararat uski
isse phele ke mai apna hi tamasha kar lun
sochta hun ke ab insaan ko sajda kar lun
ab to ye khoon ke rishton se bhi akad jata hai
baap se, bhai se, baite se bhi lad jata hai
jab kabhi taish mai hattay se ukhad jata hai
khud mere shr ka tawazun bhi bigad jata hai
ab to lazim hi ke mai khud ko hi seedha kar lun
sochta hun ke ab insaan ko sajda kar lun
kuch jijhkta hai na darta hia na sharmata hai
nit nayi fitna gari roz hi dikhlata hai
ab ye zalim mere behkaawe mai kab aata hai
mai bura sochta rehta hun ye kar jaata hai
kya abhi is ki mureedi ka iraada kar lun
sochta hun ke ab insaan ko sajda kar lun
isteqaamt thi kabhi is ki museebat mujhko
apne dhub par ise lana tha, qayamat mujhko
karni padti thi bhut is pe mushqqat mujhko
ab ye aalam hai ke din raat hai fursat mujhko
ab kahin gosha naseeni mai guzara kar lun
sochta hun ke ab insaan ko sajda kar lun
mast tha mai tere aadam ki hiqarat karke
khud pe naazaan tha bhut tujhse baghawat karke
kya mila mujhko magr aisi himqat karke
kya ye mumkin hai ke phir teri ataa'at karke
apne khoye huwe rutbe ki tamanna kar lun
sochta hun ki ke ab insaan ko sajda kar lun
(poetry by talib khundmeeri)
Aslam Ji,
Very very nice sharing !!!! Aaj ke insaan ko aaeena dikhati hai ye ghazal.....Aaj kuch insaanon main itni shaitaniyat aa gayi hai, ki shayad Iblees agar kuch aisa hi soche, to hairat ki baat na hogi !!
Thanks so much for sharing this wonderful ghazal with us !!