INSAA.N HUN MAIN

by deepika_divya on May 21, 2009, 02:31:45 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1117 times)
deepika_divya
Guest
Reply with quote
21st Century mea Bhi jab saath hasne bolne walo Ko aapas mea Daram k Naam Par Ladti hui Dekti hun tho Dil paseej Udta hai.. Tab lagta hai ki kaas kaas Maine Iss Duniyan mea Janam hi nahi liya hota.......Na jaane Hum Apne aane wale Kal ko kya seekh denge.....


Insaan Hun Main, Insaan Hun Main
   Darmo Mea Na Bathon Mujhe
Insaan Hun Main, Insaan Hun Main


HIndu Maa Ne Paala Mujhe
 Muslim Pita ki Santaan Hun main
Sikh Daada Daadi Ne Diya Pyar
 Isai Nana Nani Ka Dulara hun Main
Ya Khuda! Tum Hi bataon Mujhe
 Kis Daram Ki santaan Hun main


Isaan Hun Main, Insaan Hun Main
  Darmo mea na Bathon Mujhe
Insaan Hun Main, Insaan Hum Main


Ak Masoon Pucha Gaya Jab Uska Daram
 Kaha Usne apni Maa ka laal Hun Main
Jab Nahi karti Maa Apne bachcho mea fark
 kisiko Uska Daram batane wala Kaun hun main
Yea Daram Tho Hum Insaan Ne banaya hai
 Fir Kyun Iss Daram Ki Aag mea Jalta hun main


Insaan Hun Main, Insaan Hun Main
  Darmo mea Na bathon mujhe
Insaan Hun Main, Insaan Hun Main


Khuda ne Nahi Seekaya Hume Daram ka paath
  Fir kyun Khuda k Naam ko Ladta Hun Main
Agar Daram, Jaat Paath Badati Hain sirf Dusmani
  Tho Nahi Manta Iss Daram K Jhoot Ko Main
Mere Liye Sab Mere Bhai Bandu K samaan hai
  Bas Sab Sang Gul Mil kar Rehna Chahata Hun Main


Insaan Hun Main, Insaan Hun Main
 Daramo Mea Na Bathon Mujhe
Insaan Hun Main , Insaan Hun Main




Logged
Roja
Guest
«Reply #1 on: May 21, 2009, 02:39:17 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause

Quote
HIndu Maa Ne Paala Mujhe
 Muslim Pita ki Santaan Hun main
Sikh Daada Daadi Ne Diya Pyar
 Isai Nana Nani Ka Dulara hun Main
Ya Khuda! Tum Hi bataon Mujhe
 Kis Daram Ki santaan Hun main

Kya khoob likha hai divya... I really enjoyed reading this. Yeh tera likha padkar mujhe wo famous geet yaad aagaya dear
.

Na Hindu banega Na Musalman Banega
Insaan ki aulaad hai insaan banega....


Bahut khoob bahut bhoob
Logged
vitasta
Guest
«Reply #2 on: May 21, 2009, 02:56:26 PM »
Reply with quote
kya baat hai sophi, kamaal likha hai! Usual Smile
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: May 22, 2009, 01:55:59 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause

Kya khoob likha hai divya... I really enjoyed reading this. Yeh tera likha padkar mujhe wo famous geet yaad aagaya dear
.

Na Hindu banega Na Musalman Banega
Insaan ki aulaad hai insaan banega....


Bahut khoob bahut bhoob


Thank u So much Roja.....

Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #4 on: May 22, 2009, 01:57:00 PM »
Reply with quote
kya baat hai sophi, kamaal likha hai! Usual Smile

Thanks Vitasta
Logged
khurrams
Guest
«Reply #5 on: May 22, 2009, 02:02:39 PM »
Reply with quote
kia khoob likha hai apne sophi i lkie it shahbaz uae
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #6 on: May 22, 2009, 02:23:17 PM »
Reply with quote
kia khoob likha hai apne sophi i lkie it shahbaz uae

Thank U Khurrams Ji!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: May 24, 2009, 05:53:28 AM »
Reply with quote
 Applause :clap:sophi ji very very nice,kiya khoob likhi aapne,too good.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #8 on: May 24, 2009, 07:26:30 AM »
Reply with quote
Thank u so Much Madhuwesh Ji...
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #9 on: May 25, 2009, 04:21:18 AM »
Reply with quote
bahoot khoob sophi jee bahoot ache topic pe bahoot umdaa likha hai aapne....

kya insaan insaan rah gayaa hai
are chaah kar bhee ban na saa insaan
ek dharm ban kar rah gayaa hai insaan
bas hindu hai musalmaan hai seikh isaayee hai
nahi hai to insaan hee nahi hai insaan...

Netra...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: May 26, 2009, 03:55:24 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob Sophi... dil khush ho gaya apki kavita parr kar, ek ek shabd, ek ek line.... kamal@dhamal.wonderful/.....
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #11 on: May 26, 2009, 02:22:39 PM »
Reply with quote
bahoot khoob sophi jee bahoot ache topic pe bahoot umdaa likha hai aapne....

kya insaan insaan rah gayaa hai
are chaah kar bhee ban na saa insaan
ek dharm ban kar rah gayaa hai insaan
bas hindu hai musalmaan hai seikh isaayee hai
nahi hai to insaan hee nahi hai insaan...

Netra...

Shukriyaa Netrapla Ji..

Aapne bhi ak dum sachi baat kahi hai.. Insaan Sirf Insaan hi nahi baaki sab kuch ban gaya hai aaj k daur mea..

Bahoot Khoob!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #12 on: May 26, 2009, 02:23:44 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob Sophi... dil khush ho gaya apki kavita parr kar, ek ek shabd, ek ek line.... kamal@dhamal.wonderful/.....

Bahoot Bahoot Shukriyaa Pooja Di.. Usual Smile
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #13 on: May 28, 2009, 06:25:57 AM »
Reply with quote
21st Century mea Bhi jab saath hasne bolne walo Ko aapas mea Daram k Naam Par Ladti hui Dekti hun tho Dil paseej Udta hai.. Tab lagta hai ki kaas kaas Maine Iss Duniyan mea Janam hi nahi liya hota.......Na jaane Hum Apne aane wale Kal ko kya seekh denge.....


Insaan Hun Main, Insaan Hun Main
   Darmo Mea Na Bathon Mujhe
Insaan Hun Main, Insaan Hun Main


HIndu Maa Ne Paala Mujhe
 Muslim Pita ki Santaan Hun main
Sikh Daada Daadi Ne Diya Pyar
 Isai Nana Nani Ka Dulara hun Main
Ya Khuda! Tum Hi bataon Mujhe
 Kis Daram Ki santaan Hun main


Isaan Hun Main, Insaan Hun Main
  Darmo mea na Bathon Mujhe
Insaan Hun Main, Insaan Hum Main


Ak Masoon Pucha Gaya Jab Uska Daram
 Kaha Usne apni Maa ka laal Hun Main
Jab Nahi karti Maa Apne bachcho mea fark
 kisiko Uska Daram batane wala Kaun hun main
Yea Daram Tho Hum Insaan Ne banaya hai
 Fir Kyun Iss Daram Ki Aag mea Jalta hun main


Insaan Hun Main, Insaan Hun Main
  Darmo mea Na bathon mujhe
Insaan Hun Main, Insaan Hun Main


Khuda ne Nahi Seekaya Hume Daram ka paath
  Fir kyun Khuda k Naam ko Ladta Hun Main
Agar Daram, Jaat Paath Badati Hain sirf Dusmani
  Tho Nahi Manta Iss Daram K Jhoot Ko Main
Mere Liye Sab Mere Bhai Bandu K samaan hai
  Bas Sab Sang Gul Mil kar Rehna Chahata Hun Main


Insaan Hun Main, Insaan Hun Main
 Daramo Mea Na Bathon Mujhe
Insaan Hun Main , Insaan Hun Main






Wah Kya Baat hai Sophi...

HIndu Maa Ne Paala Mujhe
 Muslim Pita ki Santaan Hun main
Sikh Daada Daadi Ne Diya Pyar
 Isai Nana Nani Ka Dulara hun Main
Ya Khuda! Tum Hi bataon Mujhe
 Kis Daram Ki santaan Hun main


Yeh Lines Waqai Dil Ko Chhoo Gain.. Behad Unchi soch ke sath likh hai Dear.. Jazzbaaton Ko Aur is Such Ko aapne Behad Khubsoorati se Lafzon Ki Zubaan Di Hai.. Meri Taraf se Daad Kubool karen is Lajawab Poem ke Liye..!! Bahut khooooooooooooooob...


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:29:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer