Insaaniyat Kya Hai ???

by khwaish on May 20, 2009, 10:20:37 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 12274 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Yeh Kavita Ek maqsad Ko Zehan Mein rakh Kar Likhi Gayi Hai!!!
Umeed Karta Hoon Aap sab Isse Padhe Aur Samjhe..Shukriya..

Eh Dil Kabhi Rote Nahi,
Log Paas Hokar bhi Kabhi Paas Hote nahi...

Aansuu Sookh Hi Jaate Hai Aankhon Mein,
Aansuo Ko Aankhon Mein Sambhaalkar, Koi Sote Nahi....

Insaaniyat Zinda Ho Insaano Mein To Koi Baat Banne!!
Varna Yahan Insaan Hokar Bhi Log insaan Hote Nahi...

Har Dharm,Har Mazhab Seekhata Hai ke Pehle Hum Insaan hai,
Aur Insaaniyat Hi Apni Pehchaan Hai!!!
Duniya Ke Iss Bheed Mein Hum Apni Pehchaan Ko,
To Yuh Khote Nahi....

Eh Khuda Tu Hi Sab Kuch Hai!!!!
Aur Tere Barabar Koi Nahi,
Teri Ishaara Naa Ho To Ek Kadam Bhi Na Chal Sakoon,
Teri Raza Ke bin Apne Pairon Par Bhi Khade Hum Hote Nahi....

Koi Mujhse Puche Insaaniyat Kya Hai??
To Main Kahoon Unse,

"Insaaniyat Woh Ehsaas Hai Jo Humein Duniya Mein Jeena Sikhati Hai!!
 Neki Aur Imaanadari Ho paas To khuda Tak Le Jaati hai!!
 Kisi Gareeb Ka Sahara Ban jaao To Labon Par Muskurati Hai!!
 Kisi Aur Ke Dard Mein Apne Aankhon Se Aansuu Bahati hai!!

 Insaaniyat Zinda Ho Dilon Mein To Vair-Virodh,Jaat-Paat,
 Ameer-Gareeb, Yeh Sab Mitaati hai,
 Insaaniyat Hi Sote Hue Zameer Ko Jagaati hai..

"Khwaish" Insaaniyat Jagaane Ke Liye,

           Hum Insaaniyat Ko Kisi Aur Baaton Se Yuh Jodte Nahi,
           Yaa Yuh kehlo, Ke Hum Kisi Ka Bhi Dil, Yuh Todte Nahi...

                     ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
insaaniyat by pakizaakhayal in Shairi - E - Zindagi
Insaaniyat by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
insaaniyat (NM) by vb in Miscellaneous Shayri
Insaaniyat by piyushappy in Shairi - E - Zindagi
BINAA INSAANIYAT KE INSAAN by surindarn in Shairi - E - Zindagi
Talat
Guest
«Reply #1 on: May 20, 2009, 10:23:21 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Jitni taareef karen kam hai...... Bohot bohot bohot Khoob !!

Eh Khuda Tu Hi Sab Kuch Hai!!!!
Aur Tere Barabar Koi Nahi,
Teri Ishaara Naa Ho To Ek Kadam Bhi Na Chal Sakoon,
Teri Raza Ke bin Apne Pairon Par Bhi Khade Hum Hote Nahi


Bohot bada sach !!!

"Insaaniyat Woh Ehsaas Hai Jo Humein Duniya Mein Jeena Sikhati Hai!!
 Neki Aur Imaanadari Ho paas To khuda Tak Le Jaati hai!!
 Kisi Gareeb Ka Sahara Ban jaao To Labon Par Muskurati Hai!!
 Kisi Aur Ke Dard Mein Apne Aankhon Se Aansuu Bahati hai!!


Bohot Khoob !



"Khwaish" Insaaniyat Jagaane Ke Liye,
           Hum Insaaniyat Ko Kisi Aur Baaton Se Yuh Jodte Nahi,
           Yaa Yuh kehlo, Ke Hum Kisi Ka Bhi Dil Yuh Todte Nahi...


Waah....Bohot hi gehri baat kahi hai Dost



Yahan zaroor iska jawab likhenge !!

Bohot hi achchi peshkash hai Khwaish
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: May 20, 2009, 10:35:42 AM »
Reply with quote
Jaisa dear Talat sis ne kaha is shayri ka jitni tarif karu kam hai. Each line marvellous.   Applause Applause Bhaiya...... daad hazir hai.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #3 on: May 20, 2009, 10:41:13 AM »
Reply with quote
Khwaish bro,

Excellent ! Applause Applause Applause

Kaash har insaan insaaniyat ko samajh paata sad5
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #4 on: May 20, 2009, 11:31:03 AM »
Reply with quote
khwaish ji aapki is post ki jitni bhi taarif ki jaaye kam hi hogi sach mei lajawaab likha hai aapne ....................... Applause
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: May 20, 2009, 12:10:07 PM »
Reply with quote
Jis tarah chun chun ke aashar ki tareef meri Behan Talat ne ki hain bas mera bhi kuch yahi irada hain.......Bohat khoob Khwaish  Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: May 20, 2009, 12:25:36 PM »
Reply with quote

Khwaish, aap jaisa to nahin likh paayi, magar ek koshish zaroor ki hai...Ye nazm pesh-e-qidmat hai !


Insaaniyat Kya Hai ?

Kisi Masoom Bache Ko,
Jo Ghareeb Maa Ki God Main,
Ro Raha Hai Bilak Raja Hai,
Bhook Se Tadap Raha Hai,
Apne Do Niwaalon Main Se,
Ek Niwala De Dena,
Meri Nazar Main Insaaniyat Hai !!

Shakhs Kamzor Beemar Koi,
Takleef Se Tadap Raha Hai,
Baitha Jo Sadak Kinaare,
Tapti Dhoop Main Baanh Pasaare,
Illaj Ko Uske Liye,
Kuch Madad Kar Dena,
Meri Nazar Main Insaaniyat Hai !!

Jawan Ladki Ke Bojh Se,
Ek Boodha Baap Daba Hua,
Ladki Ki Jawani Ko,
Phata Aanchal Dhaka Hua,
Apni Beti Samajh Ke Dil Se,
Usko Rukhsat Kar Dena,
Meri Nazar Main Insaaniyat Hai !!

Mazhab Ke Naam Par,
Kab Tak Hum Likhte Rahen,
Kya Sahi Hai Kya Galat,
Kyun Ye Faisla Karte Rahen,
Mazhab Se Bhi Hat Kar,
Zindagi Ko Ek Ayaam Dena,
Meri Nazar Main Insaaniyat Hai !!

Kuch Aisa Kar Jaayen,
Zakhm Kisi Ke Bhar Jaayen,
Honto Ko Muskaan Mile,
Jeene Ka Saaman Mile,
Andhere Dilon Ko,
Ek Nayi Roshni Dena,
Meri Nazar Main Insaaniyat Hai !!
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: May 20, 2009, 12:38:22 PM »
Reply with quote
Insaniyat pe khawaish bhaiya and dear Talat dono ne bahut accha likha... aur Talat sis aapka shurwat ka line se hi mujhe bahut bahut accha laga...

Quote
Kisi Masoom Bache Ko,
Jo Ghareeb Maa Ki God Main,
Ro Raha Hai Bilak Raja Hai,
Bhook Se Tadap Raha Hai,
Apne Do Niwaalon Main Se,
Ek Niwala De Dena,
Meri Nazar Main Insaaniyat Hai !!

Wah kya kahu mai aage?  Clapping Smiley
Logged
vitasta
Guest
«Reply #8 on: May 20, 2009, 12:41:36 PM »
Reply with quote
khwaish aur talat, kya khoob kaam kiya hai aap donon ne!  wah, good work! Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: May 20, 2009, 12:51:51 PM »
Reply with quote
Mashallah Mashallah, Kya Khoob Kaha Hai Bhai, Insaaniyat Ki Har Jaankari De Di Aapne,.

Great Job,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: May 21, 2009, 02:48:57 AM »
Reply with quote
Bahut hi khoobsurat likha hia khwaish ji.
Insaaniyat aajkal ke zamane mein pata nahi kahan kho gayi hai. Aapki ye kavita padhke bahut achha laga.

And

Talat as usual bahut hi khoobsurat alfazon mein bataya hai aapne insaaniyat ka maayna. jitni tarif ki jaaye bas kam hi padti hia.

Applause

too good...
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #11 on: May 21, 2009, 06:42:25 PM »
Reply with quote
wah ji wah....kya khub likha h aapne khwaish ji...kya khae aapki tarif me
 Applause Applauseicon_salut

Aapne bhi kya khub darshaya h insaniyat ko Celmira ji... Applause
bahut behtrin.   

                     
                Aaj k daur me jis insaan me insaniyat h
                Smjho us par khud , khuda ki mehrbani h

                Insaniyat bakshane wala b wahi h mere dost
                jiske share sda chalti apni jindgani h

               
               


Logged
diya786
Guest
«Reply #12 on: May 22, 2009, 10:42:04 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob likha haiKhwaish ji
aur Talat ji aapne bhi khaaob likha hai

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: May 22, 2009, 05:14:59 PM »
Reply with quote

Insaaniyat hai kaya, yeh na koi samjhaye mujhe
Khaye dil per zakham samne wale ki tarah, phir apni baat bataye mujhe

Mana hai Niyam bahoot, unko man.na bhi jaroori hai her ek ke liye
Per kaha ki hai insaaniyat, masoom dil torr torr niyam samjhaye use

Rote bache ko karana chup hai insaaniyat yaha sabki
Bin ma-baap ki beti ko satana hai kaha ki insaaniyat, koi samjhaaye mujhe

Bahoot asaan hai man bana kar kisi ka baar baar dil dukhana, niyam ke naam per
Ajj sab se pahle wo he log apni yeh INSAANIYAT samjhaye mujhe

Her dharm, mehjab ayya hai HAZARO SAALO KE baad INSAAN ke
Insaaniyat se bad kar kaise hai Khuda, yah koi samjhaaye mujhe

Insaaniyat hai kaya, Insaan ban kar he samjhaye to acha lagta hai
Warna Insaaniyat ka DHONG na koi is kadar dikhaye mujhe

Dil main hai jo Ugal deti hai Pooja ek agg ki tarah Mehfil main
Yeh dharm, Khuda, Bhagwaan ke naam per na Koi chup karaye mujhe!!!


Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #14 on: May 22, 2009, 06:42:12 PM »
Reply with quote


Khwaish Ji,
waisey main bahut dinoh baad yaha YO par aaya hu, maksad pata nahi chal pa raha hai... par itna jaanta hu ....


INSANIYAT NAHI SIKHATA AAPAS MEH BAIR KARNA
MAAFI MAANGLEY KOI, USSEY BHI NAFRAT KARNA

KHUDA NEY BANAYE INSAAN AUR
INSAAN, INSANIYAT BANA BAITHA
JAHA MILEY USEY KOI SAHULIYAT
WOH USI KOH INSANIYAT SAMAJ BAITHA

MERI NAZAR MEH INSANIYAT KUCH AUR
AAP KI NAZAR MEH KUCH AUR HAI
KAMI NAHI HAMARI INSANIYAT MEH
WAJEH AAP KI BHI BADI JOR HAI


(i just mean to say, insaniyat is not restricted to just few things, in every expect, kahi na kahi, insaniyat hoti hai)



jasbir singh

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:32:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer