Insaaniyat Kya Hai ???

by khwaish on May 20, 2009, 10:20:37 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 12245 times)
jasbirsingh
Guest
«Reply #15 on: May 22, 2009, 06:45:57 PM »
Reply with quote

Celmira Ji, koi shadb nahi hai joh kuch keh saku aap koh ...

ek ek baat itni sach likhi hai aap ney .....

padtey padtey ek ek manzar aakhoh key saamney aa raha tha ....

hmmmm





jasbir singh

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
insaaniyat by pakizaakhayal in Shairi - E - Zindagi
Insaaniyat by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
insaaniyat (NM) by vb in Miscellaneous Shayri
Insaaniyat by piyushappy in Shairi - E - Zindagi
BINAA INSAANIYAT KE INSAAN by surindarn in Shairi - E - Zindagi
jasbirsingh
Guest
«Reply #16 on: May 22, 2009, 08:01:50 PM »
Reply with quote

Insaaniyat hai kaya, yeh na koi samjhaye mujhe
Khaye dil per zakham samne wale ki tarah, phir apni baat bataye mujhe

Mana hai Niyam bahoot, unko man.na bhi jaroori hai her ek ke liye
Per kaha ki hai insaaniyat, masoom dil torr torr niyam samjhaye use

Rote bache ko karana chup hai insaaniyat yaha sabki
Bin ma-baap ki beti ko satana hai kaha ki insaaniyat, koi samjhaaye mujhe

Bahoot asaan hai man bana kar kisi ka baar baar dil dukhana, niyam ke naam per
Ajj sab se pahle wo he log apni yeh INSAANIYAT samjhaye mujhe

Her dharm, mehjab ayya hai HAZARO SAALO KE baad INSAAN ke
Insaaniyat se bad kar kaise hai Khuda, yah koi samjhaaye mujhe

Insaaniyat hai kaya, Insaan ban kar he samjhaye to acha lagta hai
Warna Insaaniyat ka DHONG na koi is kadar dikhaye mujhe

Dil main hai jo Ugal deti hai Pooja ek agg ki tarah Mehfil main
Yeh dharm, Khuda, Bhagwaan ke naam per na Koi chup karaye mujhe!!!






Pooja JI, aap ki batoh meh bhi bahut damm hai ...

DOOR BAITHA MAIN, SOCH RAHA HU
INSANIYAT KEY KITNEY PEHLU HAI
YEH DEKH RAHA HU

INSANIYAT KI KOI SEEMA NAHI
YEH TOH SAMAJ AA HI GAYA HAI
REHTEY HAI HAR EK MEH KHUDA
YEH TOH NAZAR AA HI GAYA HAI






Jasbir Singh


Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: May 26, 2009, 10:01:29 AM »
Reply with quote
Thanks a lot Dear Roja, Viti, Angel, Pops, Kashish and Jasbir Ji

Bohot shukriya aap ko ek choti si peshkash pasand aayi...warna meri kahan aukaat ki kisi ko kuch samjha sakun ya bata sakun....!

Thanks so much friends for your kind words and encouragement,
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #18 on: May 27, 2009, 06:30:35 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Jitni taareef karen kam hai...... Bohot bohot bohot Khoob !!

Eh Khuda Tu Hi Sab Kuch Hai!!!!
Aur Tere Barabar Koi Nahi,
Teri Ishaara Naa Ho To Ek Kadam Bhi Na Chal Sakoon,
Teri Raza Ke bin Apne Pairon Par Bhi Khade Hum Hote Nahi


Bohot bada sach !!!

"Insaaniyat Woh Ehsaas Hai Jo Humein Duniya Mein Jeena Sikhati Hai!!
 Neki Aur Imaanadari Ho paas To khuda Tak Le Jaati hai!!
 Kisi Gareeb Ka Sahara Ban jaao To Labon Par Muskurati Hai!!
 Kisi Aur Ke Dard Mein Apne Aankhon Se Aansuu Bahati hai!!


Bohot Khoob !



"Khwaish" Insaaniyat Jagaane Ke Liye,
           Hum Insaaniyat Ko Kisi Aur Baaton Se Yuh Jodte Nahi,
           Yaa Yuh kehlo, Ke Hum Kisi Ka Bhi Dil Yuh Todte Nahi...


Waah....Bohot hi gehri baat kahi hai Dost



Yahan zaroor iska jawab likhenge !!

Bohot hi achchi peshkash hai Khwaish

Talat,Aapne Meri Iss Koshish Ko samjha Aur Saraha,Mere Liye bahut Badi Baat Hai..Thankyou Sooo Much For The Appreciation!!

And Thanks For Always Being There For me.. icon_flower
Logged
Talat
Guest
«Reply #19 on: May 27, 2009, 01:22:57 PM »
Reply with quote
Yes, I will be always there for you my friend.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #20 on: May 27, 2009, 01:32:56 PM »
Reply with quote
khwahish bhai,pooja di and talat di...aap teeno ne bahut hi achcha likha hai....sach mein aap sabke batane ka tareeqa bahut saral hai .magar matlab bahut gehra tha.....padkar khushi bhi huyi  aur nahin bhi....par aap sabne bahut hi achcha likha hai


sach mein insaniyaat kucch nahin mohabbat ka ek zazba hai
jo har dil mein, chhup kar kaahin rehta hai
koshish karo jagane kii , ise duniya k saamne laane ki
kyunki jab tak yeh chhup kar rehta hai, insaniyat ka qatl hota rehta hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: July 09, 2009, 08:17:53 AM »
Reply with quote
Well said Kaash Ji.....and bohot khoob Salil....Shayad yahan kuch likhti magar.......shayad kuch baatain insaan kabhi nahin bhool sakta.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #22 on: July 09, 2009, 09:00:25 AM »
Reply with quote
Bahoot khoob aap dosto ne ye kavita likha.bahut sach kaha aap sabne.
sach mein dil ko chu gayee.excellent. icon_salut Applause Applause Applause
Khwaish ji,Celmira ji,Kaash ji,Sallil ji,Pop ji,Jasbir ji.Pooja ji.
too good. icon_thumleft
Logged
Arun Diwaker
Guest
«Reply #23 on: June 01, 2012, 06:38:47 PM »
Reply with quote

Khwaish, aap jaisa to nahin likh paayi, magar ek koshish zaroor ki hai...Ye nazm pesh-e-qidmat hai !


Insaaniyat Kya Hai ?

Kisi Masoom Bache Ko,
Jo Ghareeb Maa Ki God Main,
Ro Raha Hai Bilak Raja Hai,
Bhook Se Tadap Raha Hai,
Apne Do Niwaalon Main Se,
Ek Niwala De Dena,
Meri Nazar Main Insaaniyat Hai !!

Shakhs Kamzor Beemar Koi,
Takleef Se Tadap Raha Hai,
Baitha Jo Sadak Kinaare,
Tapti Dhoop Main Baanh Pasaare,
Illaj Ko Uske Liye,
Kuch Madad Kar Dena,
Meri Nazar Main Insaaniyat Hai !!

Jawan Ladki Ke Bojh Se,
Ek Boodha Baap Daba Hua,
Ladki Ki Jawani Ko,
Phata Aanchal Dhaka Hua,
Apni Beti Samajh Ke Dil Se,
Usko Rukhsat Kar Dena,
Meri Nazar Main Insaaniyat Hai !!

Mazhab Ke Naam Par,
Kab Tak Hum Likhte Rahen,
Kya Sahi Hai Kya Galat,
Kyun Ye Faisla Karte Rahen,
Mazhab Se Bhi Hat Kar,
Zindagi Ko Ek Ayaam Dena,
Meri Nazar Main Insaaniyat Hai !!

Kuch Aisa Kar Jaayen,
Zakhm Kisi Ke Bhar Jaayen,
Honto Ko Muskaan Mile,
Jeene Ka Saaman Mile,
Andhere Dilon Ko,
Ek Nayi Roshni Dena,
Meri Nazar Main Insaaniyat Hai !!


Insaaniyat hai kaya, yeh na koi samjhaye mujhe
Khaye dil per zakham samne wale ki tarah, phir apni baat bataye mujhe

Mana hai Niyam bahoot, unko man.na bhi jaroori hai her ek ke liye
Per kaha ki hai insaaniyat, masoom dil torr torr niyam samjhaye use

Rote bache ko karana chup hai insaaniyat yaha sabki
Bin ma-baap ki beti ko satana hai kaha ki insaaniyat, koi samjhaaye mujhe

Bahoot asaan hai man bana kar kisi ka baar baar dil dukhana, niyam ke naam per
Ajj sab se pahle wo he log apni yeh INSAANIYAT samjhaye mujhe

Her dharm, mehjab ayya hai HAZARO SAALO KE baad INSAAN ke
Insaaniyat se bad kar kaise hai Khuda, yah koi samjhaaye mujhe

Insaaniyat hai kaya, Insaan ban kar he samjhaye to acha lagta hai
Warna Insaaniyat ka DHONG na koi is kadar dikhaye mujhe

Dil main hai jo Ugal deti hai Pooja ek agg ki tarah Mehfil main
Yeh dharm, Khuda, Bhagwaan ke naam per na Koi chup karaye mujhe!!!




Khwaish, aap jaisa to nahin likh paayi, magar ek koshish zaroor ki hai...Ye nazm pesh-e-qidmat hai !


Insaaniyat Kya Hai ?

Kisi Masoom Bache Ko,
Jo Ghareeb Maa Ki God Main,
Ro Raha Hai Bilak Raja Hai,
Bhook Se Tadap Raha Hai,
Apne Do Niwaalon Main Se,
Ek Niwala De Dena,
Meri Nazar Main Insaaniyat Hai !!

Shakhs Kamzor Beemar Koi,
Takleef Se Tadap Raha Hai,
Baitha Jo Sadak Kinaare,
Tapti Dhoop Main Baanh Pasaare,
Illaj Ko Uske Liye,
Kuch Madad Kar Dena,
Meri Nazar Main Insaaniyat Hai !!

Jawan Ladki Ke Bojh Se,
Ek Boodha Baap Daba Hua,
Ladki Ki Jawani Ko,
Phata Aanchal Dhaka Hua,
Apni Beti Samajh Ke Dil Se,
Usko Rukhsat Kar Dena,
Meri Nazar Main Insaaniyat Hai !!

Mazhab Ke Naam Par,
Kab Tak Hum Likhte Rahen,
Kya Sahi Hai Kya Galat,
Kyun Ye Faisla Karte Rahen,
Mazhab Se Bhi Hat Kar,
Zindagi Ko Ek Ayaam Dena,
Meri Nazar Main Insaaniyat Hai !!

Kuch Aisa Kar Jaayen,
Zakhm Kisi Ke Bhar Jaayen,
Honto Ko Muskaan Mile,
Jeene Ka Saaman Mile,
Andhere Dilon Ko,
Ek Nayi Roshni Dena,
Meri Nazar Main Insaaniyat Hai !!

Logged
laaiba
Guest
«Reply #24 on: June 01, 2012, 06:45:46 PM »
Reply with quote
Yeh Kavita Ek maqsad Ko Zehan Mein rakh Kar Likhi Gayi Hai!!!
Umeed Karta Hoon Aap sab Isse Padhe Aur Samjhe..Shukriya..

Eh Dil Kabhi Rote Nahi,
Log Paas Hokar bhi Kabhi Paas Hote nahi...

Aansuu Sookh Hi Jaate Hai Aankhon Mein,
Aansuo Ko Aankhon Mein Sambhaalkar, Koi Sote Nahi....

Insaaniyat Zinda Ho Insaano Mein To Koi Baat Banne!!
Varna Yahan Insaan Hokar Bhi Log insaan Hote Nahi...

Har Dharm,Har Mazhab Seekhata Hai ke Pehle Hum Insaan hai,
Aur Insaaniyat Hi Apni Pehchaan Hai!!!
Duniya Ke Iss Bheed Mein Hum Apni Pehchaan Ko,
To Yuh Khote Nahi....

Eh Khuda Tu Hi Sab Kuch Hai!!!!
Aur Tere Barabar Koi Nahi,
Teri Ishaara Naa Ho To Ek Kadam Bhi Na Chal Sakoon,
Teri Raza Ke bin Apne Pairon Par Bhi Khade Hum Hote Nahi....

Koi Mujhse Puche Insaaniyat Kya Hai??
To Main Kahoon Unse,

"Insaaniyat Woh Ehsaas Hai Jo Humein Duniya Mein Jeena Sikhati Hai!!
 Neki Aur Imaanadari Ho paas To khuda Tak Le Jaati hai!!
 Kisi Gareeb Ka Sahara Ban jaao To Labon Par Muskurati Hai!!
 Kisi Aur Ke Dard Mein Apne Aankhon Se Aansuu Bahati hai!!

 Insaaniyat Zinda Ho Dilon Mein To Vair-Virodh,Jaat-Paat,
 Ameer-Gareeb, Yeh Sab Mitaati hai,
 Insaaniyat Hi Sote Hue Zameer Ko Jagaati hai..

"Khwaish" Insaaniyat Jagaane Ke Liye,

           Hum Insaaniyat Ko Kisi Aur Baaton Se Yuh Jodte Nahi,
           Yaa Yuh kehlo, Ke Hum Kisi Ka Bhi Dil, Yuh Todte Nahi...

                     ~~~~~Khwaish~~~~~

heart touching vry bitter bt its truth
nyc 1 .....
Logged
effendi
Guest
«Reply #25 on: December 17, 2013, 04:30:43 PM »
Reply with quote
 notworthy good
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:38:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer