frnds,we all are aware abt internet frauds jo bahut had tak vyaapt hai aur jiski vajah se
kitne log cheat hote hain.internet ke bahut sare ache features hain to kuch kharaab bhi,jaise spamming,scamming,creating fake ids etc.aaj har kuch din me hum aisi khabren padhte aur sunte hain jinme chatting mailing ke dwara bhi logon ke saath chhal kia jata hai,it is a very serious concern aur ye kai roop me vidhymaan hai,kai baar fake ids se chat karke ya mail karke isme fasaya jata hai,kahin to ye individual estar par hota hai,kahin racket ke roop me aur inke iraade bhi alag alag parantu sabhi nakaratmak,kahin to isme bholi ladkiyun ko fasaya jata hai,kahin bhole bachhon aur ladkon ko,kahin isse terrorism phailaya jata hai,kahin prostitution,kahin isme ghalat tarah se paise bhi nikale jate hain jaise scamming,aaj hum dekhenge ki iska corruption estar badhta ja raha hai,isme logon ki id hack karke,website hack karke,bank details hack karke bhi unhe blackmail kia jata hai aur jane kya kya prakaar aur tareeke hain.ye actually ek bahut hi negative thinking ka parinaam hai jiske antargat achi vichardhara aur ache logon ko bhi nishana banaya jata hai,jaise aaj bhi pichhde ilaake ke neta vahan litteracy nahi chahte taki lok shikchhit hoke unke iraadon ko bhaap jayenge usi tarah ye vichardhara bhi kaam karti hai jisme sakaratmak soch aur vichardhara ko demotivate ya demoralise kia jata hai,use dabaya jata hai.maine isi negative thinking par tanz kia hai
http://www.crime-research.org/http://esciencenews.com/sources/physorg/2010/03/12/internet.fraud.losses.doubled.last.yearhttp://www.internetnews.com/xSP/article.php/3581601http://www.insurancejournal.com/news/national/2010/03/15/108127.htmhttp://runescape.salmoneus.net/security.htmlhttp://spam.abuse.net/overview/whatisspam.shtmlband karo apni andheri soch, apne andheron ka karobaar
band karo ye wahashi taandav,bano kuch to apne vafaadar
na karo sansaar ko insaaniyat se mahroom,daaghdaar
jagao apna imaan dekho har taraf ujaala aparampaar
band karo ye soch jisse maasoom logon ko chhalte ho
unhe bahla fusla kar tum apna ullu seedha karte ho
kisi ko emmotional blackmail,kisi ke jism se tum khelte ho
band karo ye nakaaratmak soch jisme achi baaton ko kharab kahte ho
mail id bank id hack karke bade bahadur khud ko bante ho
kisi ki bhi personal details churakar jane kyun khush hote ho
rah jayegi sab hekadi Rab ke saamne kyun uske bando me nafrat bharte ho
band karo ye jhoothi hansi jo doosron ko satakar tum apne chehre pe late ho
band kar do aise napaak soch jisme kaid hoke khud har pal tum ghut.te ho
daulat sab yahin chhoot jayegi iske lie kya kisi ko fasana
mar kar ya to danfnaye jaoge ya jalaye phir indriya sukh ke kami kyun banna
band karo indriya sukh ki ghalat chahat ye hawas aur ye sex ki laalsa
jiske karan barbaad hote ho tum aur seekhte ho bus barbaad karna
band karo achhe logon ko satana achhi baton se parhej rakhna
ya batao kise markar nahi fatiha ya Raam naam satya se hai guzarna