Iss Mehfil Mein Aisi Baaton Ka Koi Riwaaz Naa Tha.....

by khwaish on March 28, 2009, 03:46:00 PM
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 3034 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #15 on: March 29, 2009, 01:11:45 PM »
Reply with quote
Ana ka naag jab bhi phan phailaata hai,
Zehar uska har taraf bikhar jaata hai

Aankhon pe phaila ho jo shak ka saaya to,
Har ek sach phir jhoot nazar aata hai

Sahi aur galat ka farq hi mit jaaye,
Insaan phir kahan 'Insaan' reh jaata hai

Nafrat ki chingari bhadke jo kisi dil main,
Apne hi nasheman main wo khud aag lagata hai

Hui khata anjaane main, kehte hain use saazish,
Kis zubaan main ye bhala insaaf kehlata hai

Badle ka junoon jab bhi dil pe chhaa jaaye,
Aadmi, insaaniyat ki had se guzar jaata hai

Shayad nahin pata use jo deta hai ab gaali,
Wo khud apni duniya ko pehchaan batata hai

Jhoot aur saazish ki nahin lambi bohot umr,
Paani bhala kab mutthi main thehar paata hai

Hai waqt ye mushkil par aisa bhi nahin hai,
Toofaan gar aaye bhi to aa ke guzar jaata hai

Thokar main na gir paayengi is ki deewarain,
Kehdo us shakhs se jo iss ghar ko aazmaata hai !!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Bahut Bahut Khoob Talat!!! Har ek Alfaaz Dil Se Nikle Ho jaise..
Talat,Sach to yehi hai ke Iss Mehfil Mein Humne To Wahi Kiya,Jo humein aata hai..Agar apne dil mein koi shikayat,kuch dard bhi ho to humne bas usse alfaazo mein utaara, aur likh diya..
Great work By You,My Friend!!.. Applause Applause Applause
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Iss terha ki baaton mein by muneeb in Shayri-E-Dard
BAATON HI BAATON MEIN...... by nice_off_me in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 ... 42 43 »
baaton baaton mein by Mayur4love in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kuch tumne kaha jo baaton baaton main, by anandjaiswal in Share:Love Poetry
KAH GAYE AAJ BAATON BAATON MEIN .................HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
aaina
Guest
«Reply #16 on: March 29, 2009, 03:31:35 PM »
Reply with quote
Ana ka naag jab bhi phan phailaata hai,
Zehar uska har taraf bikhar jaata hai

Aankhon pe phaila ho jo shak ka saaya to,
Har ek sach phir jhoot nazar aata hai

Sahi aur galat ka farq hi mit jaaye,
Insaan phir kahan 'Insaan' reh jaata hai

Nafrat ki chingari bhadke jo kisi dil main,
Apne hi nasheman main wo khud aag lagata hai

Hui khata anjaane main, kehte hain use saazish,
Kis zubaan main ye bhala insaaf kehlata hai

Badle ka junoon jab bhi dil pe chhaa jaaye,
Aadmi, insaaniyat ki had se guzar jaata hai

Shayad nahin pata use jo deta hai ab gaali,
Wo khud apni duniya ko pehchaan batata hai

Jhoot aur saazish ki nahin lambi bohot umr,
Paani bhala kab mutthi main thehar paata hai

Hai waqt ye mushkil par aisa bhi nahin hai,
Toofaan gar aaye bhi to aa ke guzar jaata hai

Thokar main na gir paayengi is ki deewarain,
Kehdo us shakhs se jo iss ghar ko aazmaata hai !!

kia baat hai celmira ji.....bhut hi achay....haqeeqat pe mamni ek bhut khoobsurat ghazal...

paani bhala kab mutthi mein thar jata hai....bhut hi suchcha khyaal....kitni aasani se kitni badi baat keh di aapne kya baat bhut khoob............aise hi likhte rhiye....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: March 30, 2009, 10:09:49 AM »
Reply with quote
Bahut acche  Applause Ati sundar shabdon ka istemal hua hai Khwaish ji.. daad kabul kijiyega zarur. Thumbs UP
                                     Bahut Bahut Shukriya Roja..
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #18 on: March 30, 2009, 10:43:26 AM »
Reply with quote
Mindblowing Khwaish ji... Kya baat hai bahoot khoob likha hai
Logged
natural
Guest
«Reply #19 on: March 30, 2009, 12:05:15 PM »
Reply with quote
Aapki Nazron Ko Fursat Na Mili Sachai Ki,
Varna Yeh Marz Laa-Ilaaj Naa Tha....

Yakeenan Har Sawaal Ka Jawaab Hota hai,
Par Kuch Betuuke Sawaalo Ka Mere Paas Koi Jawaab Naa Tha....

Main Yeh Nahi kehta Ke Humse Koi Khata Naa Hui!!!!
Par Dekh,Teri Galtiyon Ka Bhi Koi Hisaab Naa Tha....

Aaj Dekha Hai Humne,Iss Mehfil Mein Ek Dusre Par Tohmato Ka Silsila,
Iss Mehfil Ke Liye, Inn Aankhon Mein Aisa Koi Khwaab Naa Tha....

Har Shaks Anjaane Mein Hi Sahi,Kabhi To Kisi Ka Dil Dhuka Jaata Hai,
Yaad Rakh,Insaan Hi Hai Woh,Koi Aaftaab Naa Tha.....

Afsos Hai Mujhe,Iss Khoobsurat Mehfil Mein Befizul Hi,
Kuch Logon Par Ungliyan Uthai Gayi!!!
Iss Mehfil Mein Aisi Baton Ka Kabhi Koi Riwaaz Naa Tha....

Keh Diya "Khwaish" Ne Seedhe Alfaazo Mein Jo Usse Kehna Tha!!!
Kya Karta,Ghuma-Phira Kar Apni Baat Ko Kehna,
Kabhi Uska Aisa Andaaz Naa Tha....

        ~~~~~KHWAISH~~~~~

That was really nice Khwaish..

Iss mehfil ne hi aisi baaton ka riwaz chalaya hai,
kuchh logon ka iss mehfil ne mazaak uraya hai,
Saza bhi de to kise dein, yehi sochkar ruk jata hu,
inhi logo ke sath kabhi achha samay bitaya hai....
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: March 30, 2009, 02:05:35 PM »
Reply with quote
Bahut hi khoobsurati se likha hai aapne dear Talat ...

Jhoot aur saazish ki nahin lambi bohot umr,
Paani bhala kab mutthi main thehar paata hai...

Well said dear  Thumbs UP

Thanks so much dear Roja
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: March 30, 2009, 02:06:30 PM »
Reply with quote
Dear celmira ji har ek line sidhe dil me utarti si mehsus hoti hai its really very very nice creation........superb

Bohot bohot shukriya aap ki taareef aur hausla afzaai ka Jannat Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #22 on: March 30, 2009, 02:07:00 PM »
Reply with quote
Wow amazing.
pain in every line, feelings in every word..
truly amazing...



Thanks a ton Angel
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: March 30, 2009, 02:08:38 PM »
Reply with quote
Ek taraf Khwaish ki masoom khwaish dekhi
To kahi kisi ki tanziyaa shikayat dekhi
Kya kahe ab kuch samaj me nahi aata
Yu to kehne ko GHAYEL ne hain duniya dekhi

-SG-

Nice lines Sajid Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #24 on: March 30, 2009, 02:09:52 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Bahut Bahut Khoob Talat!!! Har ek Alfaaz Dil Se Nikle Ho jaise..
Talat,Sach to yehi hai ke Iss Mehfil Mein Humne To Wahi Kiya,Jo humein aata hai..Agar apne dil mein koi shikayat,kuch dard bhi ho to humne bas usse alfaazo mein utaara, aur likh diya..
Great work By You,My Friend!!.. Applause Applause Applause


Aapne padha aur saraha...samjha aur mehsoos kiya...Tah e dil se shukriya Dost ... Shayari hi humari pehchaan hai, yunhi likhte rahenge Inshallah...
Logged
Talat
Guest
«Reply #25 on: March 30, 2009, 02:11:08 PM »
Reply with quote
kia baat hai celmira ji.....bhut hi achay....haqeeqat pe mamni ek bhut khoobsurat ghazal...

paani bhala kab mutthi mein thar jata hai....bhut hi suchcha khyaal....kitni aasani se kitni badi baat keh di aapne kya baat bhut khoob............aise hi likhte rhiye....


Bohot bohot shukriya Aslam Ji... hausla afzaai ke liye aapki shukrguzaar hoon...!
Logged
Roja
Guest
«Reply #26 on: March 30, 2009, 02:12:32 PM »
Reply with quote
That was really nice Khwaish..

Iss mehfil ne hi aisi baaton ka riwaz chalaya hai,
kuchh logon ka iss mehfil ne mazaak uraya hai,
Saza bhi de to kise dein, yehi sochkar ruk jata hu,
inhi logo ke sath kabhi achha samay bitaya hai....


Is mehfil mein kayi din humne bi bitaya hai
Kahin koyi aisi baat nazar nahi aaya hai
Kehte hai hamara dost hai yahan
Un doston pe hi nafrat ubalte dekha hai
Logged
angel4u
Guest
«Reply #27 on: March 30, 2009, 02:47:08 PM »
Reply with quote
Iss mehfil mein kuch aisi khushgawar fiza paayi thi,
har taraf muskurahatein aur khwahishein khilkhilayi thi,

jaane lagi hia kiski nazar ke ilzaam aise lag gaye,
usine jalaya is gulshan ko jisne yahan panah paayi thi...
Logged
natural
Guest
«Reply #28 on: March 30, 2009, 03:15:16 PM »
Reply with quote
Is mehfil mein kayi din humne bi bitaya hai
Kahin koyi aisi baat nazar nahi aaya hai
Kehte hai hamara dost hai yahan
Un doston pe hi nafrat ubalte dekha hai
Yahi mehfil kabhi humne bhi sajayi thhi,
ki thi sabse dosti, duniya bhulayi thhi,
dost ki surat me sab dushman miley yahan,
1-1 kar sabne apni nafrat jatayi thhi....
 
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #29 on: March 30, 2009, 03:27:10 PM »
Reply with quote
Wah bahut khub Khwaish ji Applause Applause Applause


Bahut Bahut Shukriya Jannatjahan Ji...
Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:38:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer