Iss Mehfil Mein Aisi Baaton Ka Koi Riwaaz Naa Tha.....

by khwaish on March 28, 2009, 03:46:00 PM
Pages: 1 2 3 [4]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3046 times)
shab
Guest
«Reply #45 on: June 12, 2009, 07:35:53 PM »
Reply with quote
           


                       ACHCHE LIKHTE HAI AAP
     
          KEEP IT UP,KHWAISH JI
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Iss terha ki baaton mein by muneeb in Shayri-E-Dard
BAATON HI BAATON MEIN...... by nice_off_me in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 ... 42 43 »
baaton baaton mein by Mayur4love in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kuch tumne kaha jo baaton baaton main, by anandjaiswal in Share:Love Poetry
KAH GAYE AAJ BAATON BAATON MEIN .................HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
poppoetry
Guest
«Reply #46 on: June 13, 2009, 10:16:19 AM »
Reply with quote
Aapki Nazron Ko Fursat Na Mili Sachai Ki,
Varna Yeh Marz Laa-Ilaaj Naa Tha....

Yakeenan Har Sawaal Ka Jawaab Hota hai,
Par Kuch Betuuke Sawaalo Ka Mere Paas Koi Jawaab Naa Tha....

Main Yeh Nahi kehta Ke Humse Koi Khata Naa Hui!!!!
Par Dekh,Teri Galtiyon Ka Bhi Koi Hisaab Naa Tha....

Aaj Dekha Hai Humne,Iss Mehfil Mein Ek Dusre Par Tohmato Ka Silsila,
Iss Mehfil Ke Liye, Inn Aankhon Mein Aisa Koi Khwaab Naa Tha....

Har Shaks Anjaane Mein Hi Sahi,Kabhi To Kisi Ka Dil Dhuka Jaata Hai,
Yaad Rakh,Insaan Hi Hai Woh,Koi Aaftaab Naa Tha.....

Afsos Hai Mujhe,Iss Khoobsurat Mehfil Mein Befizul Hi,
Kuch Logon Par Ungliyan Uthai Gayi!!!
Iss Mehfil Mein Aisi Baton Ka Kabhi Koi Riwaaz Naa Tha....

Keh Diya "Khwaish" Ne Seedhe Alfaazo Mein Jo Usse Kehna Tha!!!
Kya Karta,Ghuma-Phira Kar Apni Baat Ko Kehna,
Kabhi Uska Aisa Andaaz Naa Tha....

        ~~~~~KHWAISH~~~~~

bahuuuuuuuut umda Khwaish ji.....saral shabdon me jis tarah se aapne apni baat ko kha h.......kabbil-e-taarif h
           Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #47 on: June 13, 2009, 10:31:39 AM »
Reply with quote

        
Ana ka naag jab bhi phan phailaata hai,
Zehar uska har taraf bikhar jaata hai

Aankhon pe phaila ho jo shak ka saaya to,
Har ek sach phir jhoot nazar aata hai

Sahi aur galat ka farq hi mit jaaye,
Insaan phir kahan 'Insaan' reh jaata hai

Nafrat ki chingari bhadke jo kisi dil main,
Apne hi nasheman main wo khud aag lagata hai

Hui khata anjaane main, kehte hain use saazish,
Kis zubaan main ye bhala insaaf kehlata hai

Badle ka junoon jab bhi dil pe chhaa jaaye,
Aadmi, insaaniyat ki had se guzar jaata hai

Shayad nahin pata use jo deta hai ab gaali,
Wo khud apni duniya ko pehchaan batata hai

Jhoot aur saazish ki nahin lambi bohot umr,
Paani bhala kab mutthi main thehar paata hai

Hai waqt ye mushkil par aisa bhi nahin hai,
Toofaan gar aaye bhi to aa ke guzar jaata hai

Thokar main na gir paayengi is ki deewarain,
Kehdo us shakhs se jo iss ghar ko aazmaata hai !!
bahut hi khuuuuuub Celmira ji......har lafj behtrin.....bahut behtrin likha h aapne Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: 1 2 3 [4]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:42:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer