doston aaj Jammu Kashmir ka mudda aaj se pachaas saal pehle bhi tha aaj bhi hai,bharat pakistaan ke beech kashmir ek aisa mudda hai jiski vajah se na jane kitne log maare ja chuke aur kitne maare jayenge,kuch to ye masla pechida hai kuch dono desh ke sarparaston/netaon ne kia aur kuch janta ki bhi ghalti hai,aise mudde bahut kum uthaye jate hain aksar bus baatcheet hoke rah jayi ya phir tanatani hoke jabki ye aaj bhi dahshat ka khel jari hai,daily log mare jate hain.
hum ye nahi sochte ki kitni generations chali gayin aur kitni abhi is nafrat ka shikaar hongi kab hum ye samjhenge ki insaan aur insaniyat se badhkar kuch nahi,maine isi par likha hai
http://www.boloji.com/analysis2/0177.htmhttp://news.indiainfo.com/spotlight/jammuandkashmir/globalterrorism.htmlaakhir kab tak nafraton aur dahshaton ke saaye me jiyenge log
aakhir kab insaaniyat ko upar rakhke chain se jiyenge log
bharat aur pakistaan me ye dooriyan kab se hain
haan jab se azaad hue dono ye dooriyan tab se hain
inme nafrat kaise inke bachhon me darindagi kaisi
ye nafraten badon ne di.n unhe unke buzurgon se mili
aakhir kab tak ye zulm insaniyat par dhaya jaega
shayad tab tak jab jab tak kayamat ka din na aayega
http://www.kashmir-information.com/KoshSam/Genesis.htmlaaj aise sawaal jab aate hain to dil ko chhalni kar dete hain
hum insaan aage badh rahe ya peechhe chalte ja rahe hai
ye kitni nafraten hain dono mulkon ke beech
kaise ye door hongi kab jagenge khudaai ke zameer
kab hum samajh payenge ki lad mitke kuch na milega
kahin jo dafnaya gaya vo aur jalaya vo bhi insaan jalega
aaj hum kahne ko adhunik hote ja rahe hain
parantu asli muddon par baatcheet ko katra rahe hain
kya dono deshon ke beech aisa koi nahi jo inhe samjha sake
rok den nafrat ki aandhiyan khoon kharabe ko band karwa sake
aaj tv channel me hum ye to dekhte aa rahe hain ki log maare ja rahe
parantu ye baat bhoollte ja rahe ki log kyun maare ja rahe
aaj bhi bharat pakistan ke match par hum apne apne desh ke jeet ki dua karte hain
desh tournament se bahar ho jaaye ek duje se haarne par maaf nahi karte hain
ye kaisi soch ka kaisi nafraton ka shikaar hum ho rahe
jaake dekhen jo us dharti par to kitni roohon ke saaye ro rahe
aaj apas me hume dekhna bhi gawara nahi
zara si zameen ke peeche hatna bhi gawara nahi
dono desh ek doosre ko ek doosre ke logon ko maarne par utaaru hain
ek zameen ke tukde ke lie insaano ka khoon peene ko utaaru hain
ye apni aatma se bhi itne khudgarz hai ki inhe peeche hatna gawara nahi
marke chale gaye kitne kitne jaayenge ye sochna bhi gawara nahi
bilkul befizzol ki ladai hai besirpair ka mudda hai jammu kashmir
vahan ki zameen ki agar hum sun sakte to hume batata ye jammu kasmrir
ye zameen kaun laya kisne ise banaya jo hum ispe haq jata rahe
ye zameen leke kya milega jo khoon se apni pyaas bujha rahe hain
uparwale ko sab maante hain par uske kahne par koi chalna nahi chahta
har banda use pyara har banda uska phir bhi insaan insaan ko maar raha
aaj dono desh is masle ko apni aan baan shaan samajhte hain
dono ek doosre se ladke kabhi cheen kabhi america ke aage ghutne tekte hain
is mudden ko itna bada mudda bana lia hai
bhagwaan bhi suljhaye to mana karne ka man bana lia hai
apne apne bajat me rakhshha bajat ko pradhan mante hain
desh ki samasyaon pe kharch karne se pehle ye hathiyaar banate hain
andar se bhi khokhle aatma se bhi nirbal hum log hue ja rahe
world bank se paise leleke nuclear bomb banaye ja rahe
phir kya ye sandesh denge jagat ko kya aur insaaniyat badhayaenge
ek duje ko hi barbaad karenge to kaise baki mulkon me pyaar jagayenge
kyun nahi samajhte hum ki jo jane vali peedi ne kia kya hum bhi karenge
aane vali peedi ke dil-o-dimaagh me aatank bhay aur nafrat ki seekh denge
aakhir kab tak ye maut ka taandav hota rahega
aakhir kabtak aatankvadi shabd insaniyat ki kitaab me rahega
maren chahen kitne yudhh me par marta to insaan hi hai
bhagwaan ke paas deshwasi banke nahi jata insaan hi hai
ladai me ladna vala sirf bhaarteeya pakistani nahi hota
uske saath uske armaano uske sapno ko bhi hai marna padta
uske saath uske ma-baap ka bhi katl hota hai
uske saath uske bhai uski bahan ki aahon ka dard hota hai
uske saath uski beevi uske bachhon ke armaan bhi khatm hote hain
uske baad bhi uski yaadon ke nishaan unhe jeene nahi dete hain
uske saath magar khatm nahi hoti nafrat aur dahshat ki aandhi
uske saath magar jagti nahi logon me shuruaat ki tyaari
aakhir kab tak yun hi log marte rahenge
aakhir kab tak insaan insaaniyat ko taraste rahenge
aakhir kab tak beeviyun ki maang sooni hoti rahengi
aakhir kab tak bahne rakhi ke din bhai ko yaad karti rahengi
aakhir kab tab bachhe yateem hote rahenge masoomiyat khote rahenge
aakhir kab bhoode ma-baap apne kaandhon pe jawaan bete ki laash dhote rahenge
aur kitni aur kitne logon ki deewali eid shamshaan ka manzar banengi
aur kitni holiyan sirf insaano ke khoon se manengi
is katle aaam ko hum sabhi ko aage badhkar rokna hoga
kashmir ke bahane insaaniyat ko sharmsaar karne se bachna hoga
jitne log maare ja chuke unke vaaste hume ye karna hoga
jitne ghar tabaah hue unke saath kashmir me amal lana hoga
aisa sochen inhe karen vaastvik roop se un logon ko shradhanjali den
unki aatma ko shaanti mile dono desh pehel kar insaaniyat ko khushi den
ab nafraton se mahroom ek sansaar banayen hum
jahan bhay na ho aatank na ho insaan kahlayen hum
varna to vaqt beet raha hai beet.ta hi jayega
ladai me insaan mar rahe insaan marta hi jayega
jammu kashmir ka muuda ek din sab bhool jayenge
jab uparwale ke samne hum khud ko payenge
is tarah ki nafraton se uparwala dukhi hota hai
is tarah ke khoon kharabe se vo bhi matam manata hai
uske dar jana sabhi ko hai ye jaanne ke saath maan len hum
jitni ho sake mohabbat baant.en nafraton se nafrat thaan len hum