Doston ye ek tanz kah sakte hain ya janmanas ki bhawna bhi, aaj desh menhgai,bukhmari, illiteracy se jahan jhoonjh raha hai,halanki ye samasyayen pehle bhi thi par inflation rate badhta hi gaya,Bharat aaj bhi jaativaad,chhetriyawaad aur dharm ki raajneeti ka shikaar hai,pakhandhi saadhuon dwara bhi janmanas ki aashta ko chhalala jata hai,aaj hum desh ko pranton ke hisaab se dekhne lagen jabki cheen jaise desh anya rajyon par Pradhanmantri ke bhraman par bhi aapatti karne lage
Prastut hai ye kavita jo bhale thodi lambi lage parantu isme kavi ne faqat tanz tak seemit na hokar apne udgaar vyakt kie hain
Aaj hamare desh ko kya ho raha hai kahna aasaan hai
Desh ki halat ko pehle se hi aisa kahke palla jhaadna asaan hai
Parantu sachhe arthon me desh ko samajhna hoga
Bharat raashtra ko vishwa ka mukut banana hoga
Aaj desh ko azaad hue 62 saal ho chuke
Kya kabhi humne socha ki kitni pragati hum kar chuke
Kya kabhi humne socha hum khud iske kitne kaam aa chuke
Pane ki chaah hamesha rakhi kya desh ke lie kar sake
Aakhir kab tak desh ke neta janta ko satate rahenge
Aakhir kab tak janta se upar vo khud ko samajhte rahenge
rishwatkhori se kamaai karke bhi nigaah me nahi sharm rakh rahe
Yun to ek din ye mulk khatm ho jaega
Mangayi ka estar to upar aur paisa hawala me kaam aayega
Janta ko jagna hoga,khud apne neta banna hoga
Kahin kuch neta aise jo satta ke lie rashtra ko hi baant rahe hain
Apni satta ko bachane ke lie aam janmanas ki bhawna ko bhadka rahe hain
Vo ye nahi samajh rahe ki vo jis daal pe baithe use hi kaat rahe hain
Maharashtra ke naam par Baalthakre,Raajthakre janta ko hi baant rahe hain
Ye kaisa raajdharm ye kaise seva vo desh ki janta ki kar rahe hain
Chhetriyavaad hamare desh me hamesha se hi raha hai
Voton ki raajneeti me inka aham kirdaar jo raha hai
Is tarah se har rajya batega to desh hi na rahega
Desh se hi hum sab hain,tab hamara naam-o-nishaa na rahega
har rajya ka naam Bharat hai,hume sabse pehle ye samajhna hoga
Janta ko jagna hoga khud apna neta banna hoga
Aaj Nityanand,Bheemanand jaise dhongi baba sant bane hue hain
Sadguru banke ye janta ki bholi bhawna ko chhale hue hain
Police wale inhe giraftaar karke bhi inki khatirdaari me lage hue hain
Inke kaarname aajkal television ki shobha bane hue hain
Janta ki aastha aur bhawna ko ye paise,power aur hawas ke lie chhalte rahe
Khud adharmi hokar dharm ka updesh ye janta janardan ko dete rahe
Aise paakhandiyun ke saamne sir nahi jhukana hoga
Sadguru to granth hain use hi sabse aage rakhna hoga
Janta ko jagna hoga,khud apna neta banna hoga
Ek taraf mengayi badhti ja rahi hai
Ek taraf ghotalon ki varsha ho rahi hai
Ek taraf gareebi,bukhmari aam insaan ko khaye ja rahi hai
Ek taraf hawal se rakam karono me ja rahi hai
Ek taraf rahne ko zameen hi nahi hai
Ek taraf netaon ki pratima ke lie zameene khali ho rahi hain
Ek taraf desh ke udhyog band ho rahe hain
Ek taraf sarkaar ke darwaze bahurashtriya companies ke lie khule hain
Ek taraf laghu udhyog bhi khatm ho rahe hain
Ek taraf har taraf cheen ke samaan bik rahe hain
Ek taraf log do vaqt ki roti ko taras rahe hain
Ek taraf aaj bhi lifafon me paise vote ke lie pahunch rahe hain
Ek taraf kisaan netaon k evade par bharosa kar rahe hain
Ek taraf tahseel me aaye unke paise netaonmke bank bhar rahe hain
Ek taraf durghatna se log chotil ho rahe hain
Ek taraf traffic vale wasooli me hi lage hain
Ek taraf hum desh ko baatne ke lie lad rahe hain
Ek taraf cheen ke pair Arunachal Pradesh me jam rahe hain
Ek taraf hum dangon ki aag me jal rahe hain
Ek taraf aatankwadi dahshat se koi na koi shahar rang rahe hain
Ek taraf hum dharm aur jaati par bant rahe hain
Ek taraf humse vote pake neta humhi par hans rahe hain
Koi yadav,koi kayasth,koi Brahman ki pairawi kar raha
Koi harijan koi musalmaan ke saath hone ka dum bhar raha
Har koi dharm ki aad me satta chah raha hai
Har mazhab ek hai ye koi neta nahi bata raha hai
Kitni deen heen bechaar-o-bebas hai janta
Voton ke lie chakkar kat.te neta,chunaav dekh nahi pa rahi hai janta
In sabka hal in sabka samadhaan bhi hai
Janta ko uski ahmiyat malum ho,uska swabhimaan bhi hai
Use loktantra ko naya aayaam dena hoga
Padhe likhe netaon ka hi chunaav karna hoga
Har shakhs samaan hai,samaanta ko pradhan rakhna hoga
Khud ko aadambari babaon se bachana hoga
Insaniyat hi sab dharm ka saar hai ise samajhna hoga
Janta ko jagna hoga,khud apna neta banna hoga
Aaj sawatantrata ki abhivyakti ke adhikaar ko bhi jaise hum bhool chuke hain
Azaad Bharat me dekhiye kaise ghulaami se bhare hamare usool hue hain
Har koi zulm sah raha kuch kah nahi pata hai
Jin netaon ko jitaya unse hisaab mangne se ghabrata hai
Ye neta janta ki vote bina neta nahi
Jo janta ke sawaalon ka jawaab na de vo neta nahi
Aaj ke neta janta ko samajhne se zyada krodh ke ghar ho rahe hain
Janta ko trast rakhkar apne ghamand ko swabhimaan samajh rahe hain
Ek taraf Mayawati ne khud ko hitlari jama pahna rakha hai
200 crore rupaye ki raili ko kumbh ka dawa bana rakha hai
ek taraf Sonia Manmohan ko pradhanmantri bana kar adhikaar na de payi
ek taraf Manmohan ne har baat par pehle chuppi lagayi
ek taraf Chidambaram do number ki kamaai par lagaam lagane me fail hue hain
ek taraf Mulayam musalmano ke naam ko karndhaar hue hain
ek taraf Lalu ne hamesha apne man ki chalayi
ek taraf Amar singh kha pee ke baith gaye hain
ek taraf aadwani khud par kabu na rakh sake
ek taraf Jaswant ji vyarth ke lekh me hi ulajh pade
ek taraf Raajnaath Bhajpa me hi raajneeti karne lage
ek taraf Yashwant ji bus sunte aur samajhte rah
ek taraf Pawaar sahab apne dimaagh ko hi tolte rahe
janta ke hit me uske ahit ki hi baat saamne rakhte rahe
ek taraf Rahul ji ko daure karne se hi fursat nahi
raajneeti ke aur bhi aayaam hai,jaane ki hi shayad hasrat nahi
har neta ek kaam me hi laga hai
kuch nahi bus vo be-kaam me hi laga hai
swasth samaaj ki disha uski paribhasha kaun gadhe
Paise ki andhi daud me kaun iska anusaran,anupalan kare
Hume pardarshikta chahiye,hume vaastavik loktantra chahiye
Loksabha,Rajyasabha me nahi vyarth ke jhagde chahiye
Har deshwasi ko desh ke rajaswa-kosh ka hisaab chahiye
Kitni yojnayen laagu hui,kitni kriyanvit unka byora chahiye
Grameen aur shahari neetiyun ka naveenikaran chahiye
Kitne pratishat kaamyab rahi yojna uska vyakhyaan chahiye
Hume vipaksh tarksangat chahiye
Bina charcha ke parit ho nahi aisa vidheyak chahiye
Hume vishwa ka netratva karna hai
Hume sabse aage rahna hai
Iske lie zaruri ek kaam karna hoga
Hum sab ek hain,ise samajhna ise maan.na hoga
Janta ko jagna hoga, khud apne neta banna hoga
Desh ke netaon utha sakte ho to uthao murda pade kaarkhano ko
Kitni karoge kali kamayi,do kuch jaan bejaan sarkari karkhaano ko
Desh ke udhyogpatiyon company ko bahurashtriya company bahut bana liya
Bana sakte ho to banao kuch samaaj sevi sangathan ki inka vaqt ab aa liya
Hum metro city me rahte hain to bhi kyun bhool jayen kasbon aur gaon ko
Kyun na dekhen hum vahan jahan bijli ke khambe taraste hain laplapane ko
Uchh kul me janm lia humne to kyun bhoolen hum daliton ko
Uchh vichaar ye hai ki mita den varn-vyavastha ki lakeeron ko
Mandir me vohi,masjid me vohi,gurdwaare aur girijaghar me bhi vohi
Satta par baithke kyun mukarte hain neta aisa sandesh dene ko
Hamare paas jo ye dhandaulat hai ye saath hamare kahan jaane vali
Doosre ko bhookha dekhke ye kaisi santushti hume bhojan se mil jati
Hum padhe lilkhe hain to kya aur kis baat ka abhimaan kare
Aaj bhi jab desh ke kai bachhe Baalshram ko hi bachpan maan rahe
Hum sadhan sampann hain to bhi kyun dil se heen rahen
Kyun na hum apne apne estar se jankalyaan kuch karte rahen
Hume sirf itna hi karna hai ki dil se in baton ko samajhna hai
Bharat vaastvik sampann tabhi hoga jab har desh wasi padha likha hoga
Bharat sampradayikta ki misaal tab banega jab neta hume nishpaksh chunna hoga
Aisa karne ke lie raajneeti ke estar se upar uthna hoga
Aisa karne ke lie raajneeti ka estar hume uthana hoga
Janta ko jagna hoga khud apna neta banna hoga
Janta ko jagna hoga khud apna neta banna hoga