Jhoot Mat Bolo

by Riyaz Ashna on February 01, 2012, 11:49:40 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 6750 times)
Riyaz Ashna
Guest
Reply with quote
Nafa ho ya mile nuqsaan hargiz jhoot mat bolo
Bana lo apni ik pehchaan hargiz jhoot mat bolo

Ye jhooti shan-o-shuqat ek din barbad kar degi
Karo khud par zara ahsaan hargiz jhoot mat bolo

Pata chal jayega marne pe kya paya hai kya khoya
Yahan chand roz ke mehmaan,hargiz jhoot mat bolo

Kamaai kam bhi achhi hai agar eemandaari ho
Kharido becho jab samaan hargiz jhoot mat bolo

Riyaz 'Ashna'
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
---------------JHOOT----------------- by sshama in Shayri-E-Dard
JHOOT..(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri
jhoot bol gaye(CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shayari Jhoot Ka Palanda He........... by mazHur in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Jhoot bolo ge tu pakre jaO ge ik din ..(mazHur) by mazHur in Ghazals
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: February 01, 2012, 12:20:26 PM »
Reply with quote
Riyaz sahab aadaab!

waah janab waah kia khoobsurat aur nek khayaalon
bhari kalaam se nawaaza hai...

sabhi ashaar masha Allaah behad khoob aur umda rahe...
behad khoob janab behad asardaar kalaam kahi hai, is umda
aur murrasa gazal par hazaaron dili daad o mubarakbad kabul kijiye...

likhate rahiye... aate rahiye... Usual Smile
shaad o aabaad rahiye..
khuda hafez Usual Smile


Nafa ho ya mile nuqsaan hargiz jhoot mat bolo
Bana lo apni ik pehchaan hargiz jhoot mat bolo

Ye jhooti shan-o-shuqat ek din barbad kar degi
Karo khud par zara ahsaan hargiz jhoot mat bolo

Pata chal jayega marne pe kya paya hai kya khoya
Yahan chand roz ke mehmaan,hargiz jhoot mat bolo

Kamaai kam bhi achhi hai agar eemandaari ho
Kharido becho jab samaan hargiz jhoot mat bolo

Riyaz 'Ashna'
Logged
khujli
Guest
«Reply #2 on: February 01, 2012, 12:29:54 PM »
Reply with quote
Nafa ho ya mile nuqsaan hargiz jhoot mat bolo
Bana lo apni ik pehchaan hargiz jhoot mat bolo

Ye jhooti shan-o-shuqat ek din barbad kar degi
Karo khud par zara ahsaan hargiz jhoot mat bolo

Pata chal jayega marne pe kya paya hai kya khoya
Yahan chand roz ke mehmaan,hargiz jhoot mat bolo

Kamaai kam bhi achhi hai agar eemandaari ho
Kharido becho jab samaan hargiz jhoot mat bolo


Riyaz 'Ashna'

 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: February 01, 2012, 01:01:52 PM »
Reply with quote
Bahut khubsurat aur sahi nasihat se bharpur peshkash hai.Bahut mubarak ho. Hasan
Logged
usha rajesh
Guest
«Reply #4 on: February 01, 2012, 02:01:06 PM »
Reply with quote
Bahut nek salaah hai, Riyaz ji. Applause Applause Applause Applause
Logged
sarfira
Guest
«Reply #5 on: February 01, 2012, 03:42:23 PM »
Reply with quote
waaah Riyaz sahab waah
behad khoob aur umda kalaam se nawaaza hai bazm ko aapne.

Sahab aapki nek salaah kabil e tareef hai hi--
aur saath me
aasharon ki jo pakad hai vo aur bhi kamaal hai--
ek alg prakaar ka anad aaya parh kar ye post--

khus rahen
muskuraten rahen

janaab likhte rahen yun hi
god bless you
Usual Smile
Logged
mkv
Guest
«Reply #6 on: February 01, 2012, 06:19:14 PM »
Reply with quote
Riyaz sahab Aadaab
Bahut Bhut khoob likha hai aapne .Applause

Kamaai kam bhi achhi hai agar eemandaari ho
Kharido becho jab samaan hargiz jhoot mat bolo .. Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: February 02, 2012, 04:52:54 AM »
Reply with quote
Riyaz saheb waah waah waah bahut hee inspiring peshkash dil se dheron daad qubool kare
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #8 on: February 02, 2012, 05:36:35 AM »
Reply with quote
Riyaz sahab aadaab!

waah janab waah kia khoobsurat aur nek khayaalon
bhari kalaam se nawaaza hai...

sabhi ashaar masha Allaah behad khoob aur umda rahe...
behad khoob janab behad asardaar kalaam kahi hai, is umda
aur murrasa gazal par hazaaron dili daad o mubarakbad kabul kijiye...

likhate rahiye... aate rahiye... Usual Smile
shaad o aabaad rahiye..
khuda hafez Usual Smile

Parwaaz sahab main tah-e-dil se aapka mamnoon hun ke aapne meri is koshish ko pasand kiya aur muhabbat ka izhar kiya. Aainda bhi aapse hausla afzaai ki ummeed rahegi.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #9 on: February 02, 2012, 06:12:36 AM »
Reply with quote
Apka shukriya qalb ji.
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #10 on: February 02, 2012, 07:45:07 AM »
Reply with quote
Nafa ho ya mile nuqsaan hargiz jhoot mat bolo
Bana lo apni ik pehchaan hargiz jhoot mat bolo

Ye jhooti shan-o-shuqat ek din barbad kar degi
Karo khud par zara ahsaan hargiz jhoot mat bolo

Pata chal jayega marne pe kya paya hai kya khoya
Yahan chand roz ke mehmaan,hargiz jhoot mat bolo

Kamaai kam bhi achhi hai agar eemandaari ho
Kharido becho jab samaan hargiz jhoot mat bolo

Riyaz 'Ashna'

  good Applause Applause Applause

                
                    
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #11 on: February 02, 2012, 11:54:43 AM »
Reply with quote
Bahut khubsurat aur sahi nasihat se bharpur peshkash hai.Bahut mubarak ho. Hasan
Hasan sahab aapka bahot bahot shukriya ke aapne mere ashaar ko pasand farmaya.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #12 on: February 02, 2012, 12:17:52 PM »
Reply with quote
Bahut nek salaah hai, Riyaz ji. Applause Applause Applause Applause
Usha ji, mere ashaar aapko pasand aaye, main tah-e-dil se aapka shukrguzaar hun.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #13 on: February 02, 2012, 12:54:57 PM »
Reply with quote
waaah Riyaz sahab waah
behad khoob aur umda kalaam se nawaaza hai bazm ko aapne.

Sahab aapki nek salaah kabil e tareef hai hi--
aur saath me
aasharon ki jo pakad hai vo aur bhi kamaal hai--
ek alg prakaar ka anad aaya parh kar ye post--

khus rahen
muskuraten rahen

janaab likhte rahen yun hi
god bless you
Usual Smile
Sarfira ji aapka behad shukriya adaa karta hun ke aapne mere ashaar ko parha, pasand farmaya aur bahut khubsurat tabsira bhi kiya.
Logged
sarfira
Guest
«Reply #14 on: February 02, 2012, 01:33:25 PM »
Reply with quote
Sarfira ji aapka behad shukriya adaa karta hun ke aapne mere ashaar ko parha, pasand farmaya aur bahut khubsurat tabsira bhi kiya.
Riyaz sahab--
qki mai jhooth se bht nfrat krta hoon to aapki post achi lgni hi thi
lekin aapke post ne mujhe vo gaana yaad dila di
!
sajan re jhooth mat bolo
khuda ke paas jaana hai
na haathi hai na ghoda hai
wahan paidal hi jaana hai
sajan re---
!
sukriya
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 05:19:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer