Jism ke Dalaal -Vastuvadita aur Vaasna ko pramukh maanne se samaaj me Kale Dhandhe badhte hain

by khumaar on February 14, 2011, 01:05:37 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4448 times)
khumaar
Guest
Reply with quote


Hamesha se tha par aaj samaaj sabse zyada vaasna ke daldal se ghira hua hai

aaj agar hum dekhen to desh hi nahi samast samaaj vaasna me dooba hua hai

naitik moolyun ko darkinaar kar aam aadmi bhi vastuvadita ka daas hua hai

Bharat ke saath samast vishwa ko isse ootprot dekh sakte hain

vastuvadita aur vaasna me ghire bhramit samaaj ko dekh sakte hain

paise aur samarthya ke lie aadmi aaj koi bhi had paar kar sakta hai

apne jhoothe abhimaan ki santushti ke lie kisi bhi had tak neeche gir sakta hai

aaj paise kamane ke lie na koi usool soche jate na mane jate hain

paisa yahin choot jana hai phir bhi hum andhe bane ja rahe hain

koi sirf hatyaen karke paise bana raha hai

to koi hatyaon ki dalaali karke pauise bana raha hai

koi police se meljol kar bank aadi loot raha hai

koi mantri se avaidh kaarkhano ki registry jkarwa raha hai

aaj jism ke dalaalon aur dalaali ne laghbhag har tabke me jagah pahunch bana rakhi hai

samaaj me male aur female prostitutes ki sankhya dinodin badhti ja rahi hai

kai kai tarah se vaishyavrati ka karobaar anjaam pata raha pa raha hai

kahin masaage parlour to kahin ye gharon se operate ho raha hai
kitne log friends club ke maadhyam se ye granit racket chalate hain

kitne to pornsites pa khuleaam iske vigyaapan dikhaate hain

koi global sanstha nahi jo aise manak naitik moolya nirdharit kare
kitni countries me to ise vaidh karobaar karaar dia ja chuka hai

aur jinme legal nahi unme bhi ise chori chhupe chalaya ja raha hai

hamare samaaj ka istar itna itna neecha ho gaya hai

aaj shahar shahar jism ke dalaalon ne apna jaal bichhaya hua hai

kabhi kisi neta ko khush karne ke lie,kabhi kisi adhikaari se apna kaam karane hetu

prostitutes pahuchayi jati hai unki ayyaashi aur unhe khush karne hetu

jagah ye dalaal bhookhi aakhon se jism khojte hain

bebas bekas ladkiyun ko paise ke naam pe bahlate fuslate hain

phir is tarah unhe jism ki mandiyun me utaar dia jata hai

3star five star hotelon me ye ayaash logon ki raaten haseen karti

thode se paise ke lie dalaalon ke saath khud bhi paap ki bhaagi banti

aur phir unhe apbni tarah prostitutes banane ko kaha jata hai

kuch to jism ka sauda kar hi jism khareed lete hain

kuch to sirf jism ka hi international karobaar karte hain

hi fi tabke se leke malin bastiyun tak ki ladkiyaan inke racket me hoti

is tarah se ye jism ka karobaar anjaam pata hai

is daldal me fansa hua jaldi nikal nahi pata hai

ye jism ke dalaal khud bhi ayaashiaur nashe me doobe rahte

apna dhandha badhane ke lie naye ladke ladkiyuin ki talaash me rahte

inke lie yehi zindagi aur iske ilawa sab bekaar hai bakwaas hai

inke saamne samaaj kalyaan ki baat karna matlab udana uphaas hai

aaj kabhi koi saadhu hi vaishyavrati ka dhandha chalaya paya jata

to koi coordinator ban isse producers ki khidmat karta rahta

aaj kahin badi badi companies apne officers ko aisi jagahon par chhutti ke lie bhejti

kyunki unhe lagta hai jamkar ayaayashi karwane ke baad unki groth rate hai badhti

kai kai tarah se jism ki dalaali ka ye dhandha falta foolta hai

jisne bhi inke khilaaf awaaz uthaayi vo hi sabse bada jhootha hai

kahin koi bhi jaldi jism ki dalaali aur dalaalon ke khilaaf awaaz nahi utha pata

kabhi paise kabhi vaasna kabhi dhamki kabhi hatya se usma munh band kar dia jata

dhikkaar hai aise paap se apne pet ki bhookh mitane valon par

lanat hai aisi soch par ki zameer nahi jagta laakh jagane par

zarurat hai hum ye samjhe ki sachhe aur naitik moolya samaaj ke saath hamare lie bhi hitkar hain

chale jana hai ekdin sabko hi jahan se islie ye sochen ki jo hum sochte karte kya samaaj ke lie behtar hai

zarurat hai kum se kum aisi soch ko kum kia jaye aur menat aur imaandaari ki roti me santosh rakha jaye

zarurat hai hum sachhayi ko samjhe maane anusaran kare aur is tarah samajik aur aatmik hit kiya jaye







Logged
nirala
Guest
«Reply #1 on: February 14, 2011, 01:18:43 PM »
Reply with quote
Aakash bro--
bilkul haqeeqat bayan ki aapne.
aapka sukriya aap hame Jhakjhorte rahte hain .
jo chijen hum jaan kar bhi anjaan bante hain aap wo baate likhte hain
thanx
Logged
nirala
Guest
«Reply #2 on: February 14, 2011, 02:00:29 PM »
Reply with quote
hmm Bro aap ka likha hua har baat hum zarur padhte hain.
bas sachhaiyon se rubaru hona achha lagta hai.
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #3 on: June 02, 2013, 05:19:36 PM »
Reply with quote
Thanks dear for your words. Usual Smile


I request admin to add posts of my old ids(@kaash & khumaar) to my this new id,if possible.

Thanks!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:40:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer