~~"KAASH MERI KALAM UNKE DARD KAM KAR PAATI"~~

by k.shael on June 30, 2009, 06:45:46 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2726 times)
k.shael
Guest
Reply with quote
Mein khud bhi amir nahi hoo.n par phir bhi jab bhi kisi gareeb aur masoom ko tanha akele, garibi me jhoolte dekhti hoo.n to mann taar-taar ho jaata hai, darr lagta hai unki halat se, unke hi kayi sawal apni jubaan pe paati ho ki aakhir kyun ye sab unhe jhelna padta hai, kyun ham itne matlabi hai ki dusro ki musibat dekhkar bhi haath nahi bhadate..yahi sab dil ke lafz likhe hai umeed hai aap sab pasandh karenge..


Mujhe darr nahi lagta kisi ameer aadmi se!!

Mein darti hoon sirf uss insaan ki halat se
jiski aankhon me gamm hai, jo garib hai lachaar
hai,jiski aankhon me anginat gehre sawal hai..

Mujhe darr nahi lagta unche-aache pakwano se!!

Mein darti hoon sirf unn tarasti nigahon ki chah
se jo logo ki khatam ho chuki khane ki plate me se
bhi kuch khud ke liye doond.ti hai..

Mujhe darr nahi lagta mehloo.n me rehne se!!

Mein darti hoon sirf unn bachon se jo sadko
pe khile, khele, jhagde, roothe, maane, aur
ek din u hi sadak ki chor par se hi bida ho gaye..

Mujhe darr nahi lagta pad likh kar nek insan banne se!!

Mein darti hoo.n sirf unn hathon ki kismat se
Jinme kalam ka saath likha hi nahi, uss kismat se
jisme majdoori hi majboori hai aur wahi khushi bhi..

Mujhe darr nahi lagta hasne muskurane se!!

Mein darti hoo.n sirf unn hothon ki maar dene wali
udaasi se, jo ta-umar bachpan se lekar mout tak
saji rehti hai..

Mujhe darr nahi lagta dua maangne se!!

Mein darti hoo.n uss saja se jo inko mili, uss
garibi se jo sirf aur sirf inki hi hai kisi aur ki nahi,


kaash ki mein jee paati inke hisse ke gamm, kaash
meri kalam inke dard kuch kamm kar de..

Shally.


Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: June 30, 2009, 07:12:53 AM »
Reply with quote
 Both Thumbs Up   Hats off to you!
 bahooooooooooooooot khoooooob shaily

aur behtreen Kaash ji
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #2 on: June 30, 2009, 07:53:33 AM »
Reply with quote
Wow Shally Dear... Lajawab Soch ke sath Lajawab Alfaazon Ko pesh kiya hai..!! Ek Such ko aapne Apni Rachna me Pesh kiya hai.. aapki yeh Rachna waqai Avval Darze ki hai..!! Applause Applause

Aapki Rachna ko Padh kar dil such me kuch sochne ko majboor ho gaya.. Dil ko chhoo gaye apke yeh Sucche Alfaaz.. Bahut Bahut Khooooooooob...!!  icon_salut icon_salut


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: June 30, 2009, 08:05:23 AM »
Reply with quote
Bahaut bahaut achi rachna hai Shally jee...Sachai ko bayan kia hai apne.. Applause Applause Applause Applause
Logged
superspawn10
Guest
«Reply #4 on: June 30, 2009, 10:20:07 AM »
Reply with quote
MashaAllah MashaAllah...
Kya baat hai Shally ji... Clapping Smiley
Bilkul yahi soch humari bhi hai...
Aur bohot hi behtareen andaaz me aapne ise pesh kiya hai..
Aise hi likhte rahiyega...
Allah aapko Jaza-E-Khair de...
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: June 30, 2009, 10:24:58 AM »
Reply with quote
Shally ji aur Kaash ji,tareef-e-kaabil hai,kamaal ka likha aap dono ne,
very sad and touhing,excellent. Usual Smile Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
  
Logged
Sager4u
Guest
«Reply #6 on: June 30, 2009, 11:20:57 AM »
Reply with quote
Bahut khoob lakha hai,
shally
main samajhta hun ki garibi kya hoti hai,qki main wo garibi jiya hai.
Or aapki feeling ko dekh sun kar main b aapke sath sabhi request karta hun ki jab b koi garib mile to uski her sambhav madad karo.wo kuch or to de nahi  sakta lekin jo dua wo dega wo her cheez se badi hogi.

very good shally
heart touching
or kaash ji aapki jitni tareef ki jaxe,kam hai
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: June 30, 2009, 11:23:27 AM »
Reply with quote
Nice one Shally Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: June 30, 2009, 11:29:20 AM »
Reply with quote
Bohot khoob Shally  Applause Applause Applause


Kaash Ji
Very nice  Applause Applause Applause
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #9 on: June 30, 2009, 12:34:43 PM »
Reply with quote
Nawab Ji

Bahut he sachai se likha hai aap ne ! Applause
Very very good !

@kaash
Good going Thumbs UP
Logged
mistufer
Guest
«Reply #10 on: June 30, 2009, 01:11:29 PM »
Reply with quote
shally ji
ankh num ho gayi aapki nazm padhkar
sach kaha hai aapne hum itne khudgarz ho gayein hain ki aage piche kya hai dekhte hi nahi
aor dekhein bhi toh ankh bandh kar lete hain
aapne iss kadvi sachai ko awaaz de kar ek jagruta jagayi hai
god bless u
Logged
pandit
Guest
«Reply #11 on: June 30, 2009, 03:30:47 PM »
Reply with quote
Mein khud bhi amir nahi hoo.n par phir bhi jab bhi kisi gareeb aur masoom ko tanha akele, garibi me jhoolte dekhti hoo.n to mann taar-taar ho jaata hai, darr lagta hai unki halat se, unke hi kayi sawal apni jubaan pe paati ho ki aakhir kyun ye sab unhe jhelna padta hai, kyun ham itne matlabi hai ki dusro ki musibat dekhkar bhi haath nahi bhadate..yahi sab dil ke lafz likhe hai umeed hai aap sab pasandh karenge..


Mujhe darr nahi lagta kisi ameer aadmi se!!

Mein darti hoon sirf uss insaan ki halat se
jiski aankhon me gamm hai, jo garib hai lachaar
hai,jiski aankhon me anginat gehre sawal hai..

Mujhe darr nahi lagta unche-aache pakwano se!!

Mein darti hoon sirf unn tarasti nigahon ki chah
se jo logo ki khatam ho chuki khane ki plate me se
bhi kuch khud ke liye doond.ti hai..

Mujhe darr nahi lagta mehloo.n me rehne se!!

Mein darti hoon sirf unn bachon se jo sadko
pe khile, khele, jhagde, roothe, maane, aur
ek din u hi sadak ki chor par se hi bida ho gaye..

Mujhe darr nahi lagta pad likh kar nek insan banne se!!

Mein darti hoo.n sirf unn hathon ki kismat se
Jinme kalam ka saath likha hi nahi, uss kismat se
jisme majdoori hi majboori hai aur wahi khushi bhi..

Mujhe darr nahi lagta hasne muskurane se!!

Mein darti hoo.n sirf unn hothon ki maar dene wali
udaasi se, jo ta-umar bachpan se lekar mout tak
saji rehti hai..

Mujhe darr nahi lagta dua maangne se!!

Mein darti hoo.n uss saja se jo inko mili, uss
garibi se jo sirf aur sirf inki hi hai kisi aur ki nahi,


kaash ki mein jee paati inke hisse ke gamm, kaash
meri kalam inke dard kuch kamm kar de..

Shally.




bahut dard bhara hai ye shally
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #12 on: June 30, 2009, 05:01:19 PM »
Reply with quote
Bahoot bahoot Khoob Shally.. Bahoot khoob tanz kasa hai.. Good work dear..

Bahoot khoob likha hai kaash ji aapne..
Logged
shayara
Guest
«Reply #13 on: June 30, 2009, 05:02:03 PM »
Reply with quote
Shally Ji,

Bohot Khoob

Shayara
Logged
shayara
Guest
«Reply #14 on: June 30, 2009, 05:02:46 PM »
Reply with quote
Kaash Ji,

Bohot Khoob

Shayara
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 06:14:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer