KASH.... MAI SATEE HOTEE

by NETRAPAL on November 05, 2008, 11:26:09 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 5753 times)
Sonia01
Guest
«Reply #15 on: November 07, 2008, 04:02:56 AM »
Reply with quote
aap sab kaa bahut bahut dhanywaad reply ke liye, ye sahee hai kee satee pratha ka virodh hona chahiye parantoo ek vidhwaa kee kya dasha hotee hai samaaj me agar use gor se dekha jaaye to yahee ahasaas hotaa hai kee agar wo satee ho jatee to theek thee
aaj bhee vidhwaa aurte abshakun samjhee jatee hai, pahanne ke liye safed kapde, bina shrangaar kaa jeewan, rundee kee galeee,
aur n janee kya kya....maine vidhwaa kar dard mahsoos kiya kai baar is liye kuch likhne kee khoshish kee hai.....

netra...

aaaww kitna sahi kaha hai aapne netra ji. bilkul sahi hai.
samaj mein aaj b vidwaah ko samman nahi. Unhe aaj bi
apshakun mana jata hai.

Bahut kareeb se dekha hoga aapne, jo bawanawon ko samajkar
likha hai yeh poem. Aaj bi UP/MP etc.. places main vidwaah
auraton ka dil mein satee hona behtar maanlete hai. itna
jillat utane padte hai.
Good work Natra ji..

Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #16 on: November 07, 2008, 05:40:25 AM »
Reply with quote
aaaww kitna sahi kaha hai aapne netra ji. bilkul sahi hai.
samaj mein aaj b vidwaah ko samman nahi. Unhe aaj bi
apshakun mana jata hai.

Bahut kareeb se dekha hoga aapne, jo bawanawon ko samajkar
likha hai yeh poem. Aaj bi UP/MP etc.. places main vidwaah
auraton ka dil mein satee hona behtar maanlete hai. itna
jillat utane padte hai.
Good work Natra ji..

sahee kaha aapne sonia ji, maine samaaj ko bahoot kareeb se dekha hai or uskee peeda ko bhee or kabhee kabhee aisaa lagtaa hai ham kyo jee rahe hai........hamne kitnee bhee progress kee ho aaj bhee kai mamloo me ham wahee ke wahee hai......satee pratha ek aisee pratha thee jo hamare bade bujurgo ne bahut pahale shuroo kee thee jo abhee shaap ek vidhvaa ko bhugtanaa padtaa hai wo n bhugte is liye striyaan khud satee hojatee thee
lekin baad me uskaa virodh hooa or ise smaapt kar diyaa gayaa parantoo us vidhvaa ka kyaa jo ek abheeshaap ko tamaam umar bhugatatee hai uskee bare me samaaj ke pandito ne kuch nahe sochaa...aaj bhee vidhyaa kee ya to dusree shadee ho jatee hai yaa samaaj yaa uske apnee hiteshee bhee kin najaro se dekhte hai ye kisee se chpaa nahi hai.....

netra..
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #17 on: November 07, 2008, 05:46:00 AM »

Netra, mujhe taklif ho rahi hai yeh sacchayi ko padkar. Cheerup dear
 tearyeyed
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #18 on: November 07, 2008, 09:07:31 AM »
Reply with quote
kise parvah hai aye jamaane
badlaa too yaa badlaa koi
yahaa to aaj bhee luttee hai
insaaniyat aye jmaane....

wo koi rat n thee jab
sotaa tha bhukhaa koi
sab khate hai bhar pet
budhaapa aaj bhee bhooka hai
aye jmaane.......

kaisaa badlaa hai too
kyo itraataa hai too
soorat badal gayee hai bas
seerat wahee hai aaj bhee
aye jamaane.......

ansoo bhee the gam bhee the
gam hai ansoo nhee aye jamaane
anchal me dhoodh tha ankho me panee
n raha doodh n panee hee raha
sab mit gayaa maykhaane mai aaj
aye jamaane.................

netra...

Logged
govindspeed
Guest
«Reply #19 on: November 07, 2008, 10:19:40 AM »
Reply with quote
Very Nice its really Heart Touching one
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: November 07, 2008, 07:27:41 PM »
Reply with quote
Again, a very good creation Netra Ji
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #21 on: November 07, 2008, 08:22:00 PM »
Reply with quote
I STILL COULD NOT UNDERSTAND WHAT THIS POETRY IS TRYING TO SAY JUST FOR THE SAKE OF DISCUSSION PLZ DONT MIND IS THIS POETRY SAYING THAT LOOKING AT THE PRESENT SITUATION OF THE WIDOWS IN OUR COUNTRY BEING SATEE IS THE BETTER OPTION WAH WAH KARNA EVEN MY 8 YEAR DAUGHTER CAN DO THAT BUT DO ANYBOODY REALIZE THAT A TROUBLED WIDOWED CAN SUICIDE AFTER READING THIS POEM.
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #22 on: November 08, 2008, 03:44:38 AM »
Reply with quote
thanks govind ji and clemira ji for reply

netra....
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #23 on: November 08, 2008, 03:49:09 AM »
Reply with quote
kise parvah hai aye jamaane
badlaa too na badlaa koi
yahaa to wahee luttee hai
insaaniyat aye jmaane....

wo koi rat n thee jab
sotaa tha bhukhaa koi
sab khate hai bhar pet
budhaapa aaj ka bhooka hai
aye jmaane.......

kaisaa badlaa hai too
kyo itraataa hai too
soorat badal gayee hai bas
seerat wahee hai aaj bhee
aye jamaane.......

ansoo bhee the gam bhee the
gam hai ansoo nhee aye jamaane
anchal me dhoodh tha ankho me panee
n raha doodh n panee hee raha
sab mit gayaa maykhaane mai aaj
aye jamaane.................

netra...

You deserve clap Netra ji... Very good creation again..
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #24 on: November 08, 2008, 03:50:15 AM »
Reply with quote
sajid ji,

aap kya kahanaa chahte hai mai abhee tak nahi samjh sakaa......har cheej ke do pahloo hote hai ye sahee kee vidhwaa kaa aaj ke bharat me kafee sudhaar hooa hai parantoo kitnaa bharat aaj bhee gaon ka desh kahlaataa hai or aaj bhee vdhwaa utnee surakshit nahee hai jitnaa samjhaa jaa rahaa hai.........
aap kya samjh rahe hai ham tarakee kar gayee mansik roop se ham aaj bhee wahee hai jaha kal the aur bhaayee sahab apne apne vichar hai.......maine jo dekha or mahasoos kiya use likh diya....

netra....
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #25 on: November 08, 2008, 03:52:31 AM »
Reply with quote
thanks sonia ji.....

netra...
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #26 on: November 08, 2008, 03:55:26 AM »
Reply with quote
I STILL COULD NOT UNDERSTAND WHAT THIS POETRY IS TRYING TO SAY JUST FOR THE SAKE OF DISCUSSION PLZ DONT MIND IS THIS POETRY SAYING THAT LOOKING AT THE PRESENT SITUATION OF THE WIDOWS IN OUR COUNTRY BEING SATEE IS THE BETTER OPTION WAH WAH KARNA EVEN MY 8 YEAR DAUGHTER CAN DO THAT BUT DO ANYBOODY REALIZE THAT A TROUBLED WIDOWED CAN SUICIDE AFTER READING THIS POEM.

Lagta hai India ke kuch aise jagah ka aapko pata nahi jahan
widows ki kya halat hoti hai.. Unka jeena dekha toh khoon
ke aansoo nikal aata hai ji.. NGO's b aisi jagah mein
widows pe hote hatyachar ko rok nahi paye... kuch 1 ya 2
national news banta hai. baki toh jeete jee mere ke baraber
hoti hai halat in vidwawon ki..
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #27 on: November 08, 2008, 07:22:27 AM »
Reply with quote
kaise jeeoo ye jeewan
kho gaya mera piryatam
mai alhad anpad choree
hoo gano kee mai goree
dikhtaa nahi koi apnaa
maykaa bhee hooa sapnaa
taano se jaltaa hai man
kaise jeeoo ye jeewan...

mil gaya ghar ka kona
hoaa jeewan mera soona
bhooke pet kataa hai din
andhkaarmay ye jeewan
soolag raha  meraa yowan
kaysee jeeoo ye jeewan

har koi chahtaa mujhko..
ankiyo se lalchaataa mujhko
lagtaa bhaaree ab ye yowan
kaise jeeo ye jeewan.....

netra...

Logged
Sonia01
Guest
«Reply #28 on: November 08, 2008, 06:14:37 PM »
Reply with quote
kaise jeeoo ye jeewan
kho gaya mera piryatam
mai alhad anpad choree
hoo gano kee mai goree
dikhtaa nahi koi apnaa
maykaa bhee hooa sapnaa
taano se jaltaa hai man
kaise jeeoo ye jeewan...

mil gaya ghar ka kona
hoaa jeewan mera soona
bhooke pet kataa hai din
andhkaarmay ye jeewan
soolag raha  meraa yowan
kaysee jeeoo ye jeewan

har koi chahtaa mujhko..
ankiyo se lalchaataa mujhko
lagtaa bhaaree ab ye yowan
kaise jeeo ye jeewan.....

netra...

Bahut khoob.. superb..... touching lines...  Applause  Applause
Netra ji... alfaz nahi kuch kehne ko  tearyeyed
Logged
Talat
Guest
«Reply #29 on: November 08, 2008, 06:20:49 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Netra Ji...har line main ek kahani, ek kadwa sach...
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:36:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer