KASH.... MAI SATEE HOTEE

by NETRAPAL on November 05, 2008, 11:26:09 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 5752 times)
Prateek Mardia
Guest
«Reply #30 on: November 08, 2008, 08:22:32 PM »
Reply with quote
netra ji,

Kamaal likha hein aapne...aapki yeh rachna sada ki tarah ek sashakt kataaksh hein tathakathit samaaj ke thekedaaron pur!mun bheega gayi aapki kavita....behtareen..behtareen!
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #31 on: November 08, 2008, 09:20:29 PM »
Reply with quote
bohat behtareen likha aapne Netra Ji......... Applause Applause
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #32 on: November 10, 2008, 03:46:19 AM »
Reply with quote
thanks sonia ji, clemira ji and prateek ji

netra.....
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #33 on: November 10, 2008, 03:47:33 AM »
Reply with quote
thanks tanha (sourabh) ji....

netra....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #34 on: November 10, 2008, 08:53:54 PM »
Reply with quote
kaise jeeoo ye jeewan
kho gaya mera piryatam
mai alhad anpad choree
hoo gano kee mai goree
dikhtaa nahi koi apnaa
maykaa bhee hooa sapnaa
taano se jaltaa hai man
kaise jeeoo ye jeewan...

mil gaya ghar ka kona
hoaa jeewan mera soona
bhooke pet kataa hai din
andhkaarmay ye jeewan
soolag raha  meraa yowan
kaysee jeeoo ye jeewan

har koi chahtaa mujhko..
ankiyo se lalchaataa mujhko
lagtaa bhaaree ab ye yowan
kaise jeeo ye jeewan.....

netra...




 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Bahoot khoob Netra ji, jitani bhi tareef ki jaaye wo kam hai. bahoot he ache vishaye per apne yah thread shuru kiya hai

hue main vidhwa kaya yahi mera kasoor hai
mere liye nahi koi khushi, yahi dunia ka dastoor hai
man mera bhi chahe jeena, kitna man yah majboor hai
ma-baap ne bhi phair li ankhia, apno ka bhi sath kitna door hai

isse acha to ho jaati sati, tumhare he sung
roj roj ka yah marna, kitna karoor (cruel) hai
mera saya bhi jaise suhagin ke liye abhishap hai
jee rahi hu aise, jaise mera jeena hua ek paap hai

Logged
Talat
Guest
«Reply #35 on: November 10, 2008, 08:55:55 PM »
Reply with quote
Pooja...aapne bohot achcha contribution diya hai is topic par...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: November 10, 2008, 09:00:04 PM »
Reply with quote
Thanks Celmira!!
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #37 on: November 11, 2008, 03:54:13 AM »
Reply with quote
bahoot bahoot dhanyad pooja ji is sahyog ke liye aapne likha mujhe achaa laga.....kai log samjhte hai ham tarakkee kar gaye
naaree aajmaan ma pahunch gayee haa ye sahee bhee hai par kitnaa
jaraa gaon me aa kar dekhiye  aaj bhee khaprel ke makaan bijlee or siksha ka aabhaav, sadke tak nahi saharo se meelo door.....
ghummakd jateeya, kaash unkee peeda ko kisee ne dekh hotaa yaha tak kee aaj bhee burkaa, kyaa burkee me chepe dard ko koi dekh saktaa hai.....

netra..
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #38 on: November 11, 2008, 09:40:41 AM »
Reply with quote
aaj kuch members ko lagaa kee mai satee pratha ko badhavaa de raha hoo parantoo ye to ek saadharan vidhwaa kee baat hai.  hamare watan pe saheed hote hai jo unhe kafee sammaan miltaa hai kafee paisaa unkee vidhwaa ko miltaa hai par kabhee kisee ne vastviktaa ko jaanee kee kosish kee? Maine ek saheed kee vidhwaa kee peedaa ko darshanee kee koshish bhee kee hai agar kuch samajh ayee to reply jaroor dijiye gaa....

joshe-umang dikha rahee hai wo
dard apnaa chipaa rahee hai wo
priytam uskaa aaj ayaa hai
watan pee saheed ho ayaa hai

badee umang se karaa tha vida
atee hai yaad ho gayaa jo juda
dekhtee hai ab apnee hatheli ko
rotee hai dekh lagee mahandee ko

wo kolahal bhee shant ho gayaa
apno ka saath bhee juda ho gayaa
akelee ab baitee hai soonee see wo
kayaa karegee ab sochtee hai wo

rahnoomaa bhee waapas chle gayee
saheed kee keemat  sikko me chuka gaye
manga tha kuch unse vidhwaa-saheed ne
aaswaasn koree bato ka wo de gaye

us wakt bhayee bhee  bangaye the kayee
bure wakt pe yaad unkee use agyee
bhayee bhee uske wo begane ho gaye
apnee us bahan  we kabkaa bhool gaye

duniyaa me hogayee akelee se wo
kaise kategee jindgee bas sochtee hai wo...



netra...

Logged
taheer_khaja
Guest
«Reply #39 on: November 11, 2008, 05:37:45 PM »
Reply with quote
bhoot koob Applause
Logged
sarthika
Guest
«Reply #40 on: November 12, 2008, 03:03:59 AM »
Reply with quote
 sad7

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley bahoot khoob Netra ji

Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #41 on: November 12, 2008, 04:01:53 AM »
Reply with quote
shukriya taheer_khaja and sarthika aapne padha or reply kiya bahoot bahoot dhanyad aapka...

netra...
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #42 on: November 12, 2008, 03:01:25 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Bahoot khoob Netra ji, jitani bhi tareef ki jaaye wo kam hai. bahoot he ache vishaye per apne yah thread shuru kiya hai

hue main vidhwa kaya yahi mera kasoor hai
mere liye nahi koi khushi, yahi dunia ka dastoor hai
man mera bhi chahe jeena, kitna man yah majboor hai
ma-baap ne bhi phair li ankhia, apno ka bhi sath kitna door hai

isse acha to ho jaati sati, tumhare he sung
roj roj ka yah marna, kitna karoor (cruel) hai
mera saya bhi jaise suhagin ke liye abhishap hai
jee rahi hu aise, jaise mera jeena hua ek paap hai



didi bahut accha likha hai... padte padte aankhein nam si
ho gayi ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #43 on: November 12, 2008, 11:28:57 PM »
Reply with quote
bahoot bahoot dhanyad pooja ji is sahyog ke liye aapne likha mujhe achaa laga.....kai log samjhte hai ham tarakkee kar gaye
naaree aajmaan ma pahunch gayee haa ye sahee bhee hai par kitnaa
jaraa gaon me aa kar dekhiye  aaj bhee khaprel ke makaan bijlee or siksha ka aabhaav, sadke tak nahi saharo se meelo door.....
ghummakd jateeya, kaash unkee peeda ko kisee ne dekh hotaa yaha tak kee aaj bhee burkaa, kyaa burkee me chepe dard ko koi dekh saktaa hai.....

netra..

Shukaria to apka hume ada karna chahiye, bahoot he acha thread khola hai apne.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #44 on: November 12, 2008, 11:29:56 PM »
Reply with quote
didi bahut accha likha hai... padte padte aankhein nam si
ho gayi ...

hum yah peera soch kar hi ankhein num kar jaate hai
jinki ankhein is peera se roj num hoti hai
unke liye to peera ka her shabd bearth ho jaata hai.

Thanks Sonia!!
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:32:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer