Khat e aflaas (Ghareebi Rekha) ke neeche rahta hoon....(Qais)

by Qais on October 12, 2011, 11:13:48 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1233 times)
Qais
Guest
Reply with quote
Khat e aflaas ke neeche rahta hoon
Ummed ke sapne seenche rahta hoon

kaisa chhoolha kaise bartan
kaisi chhat kaisa aangan
Kaisa jaada kaisi garmi
kaisa sookha kaisa saawan

Khule aakash ke neeche rahta hoon
Khat e aflaas ke neeche rahta hoon

Footpath pe jaakar sota hoon
Jo mil jaaye khaa kar sota hoon
Rangeen sapne sanjo kar sota hoon
Ummeed ki faslein bo kar sota hoon
Inn faslon ko phir ...
Ashkon se seenche rahta hoon

Khat e aflaas ke neeche rahta hoon

Duniya ke liye hain khushyaan saari
Holi , Dassehra , Eid , Diwaali
Pal bhar ke liye apne bhi bachchay
Nangay,Bhookay,sahmay,simtay
Dekh tamaash duniya ka
Khush ho kar apni
Saansein kheenchay rahtay hain
Main buss apni...
Aankhein meeche rahta hoon

Khat e aflaas ke neeche rahta ho

Mere liye sab aadaad o shumaar
Mer liye sab mansoobay
Aate hain mujh se milne
Sab AC , Caaron waale
Mere gaaon shaher ,mere soobay
De jaate hain sundar sapnay
Inn sapnon ko sanjonay phir main
Apni aankhen meche rahta hoon

Khat e aflaas ke neeche rahta hoon

Khush hoon meri fikr hai har jaa
Meri taareef ,mera zikr hai har jaa
Oonche aiwaanon mein bola jaata hoon
Roti, kapde,kharchon mein tola jaata hoon
Woh sonay mein tolay jaate hain
Main sapnon mein tola jaata hoon
Tai karte hain woh
Meri zaroorat mere huqooq
Mere sapnay
Meri seemaayen tai hoti hain

Lakshman Rekha woh tai karte hain
Main bus aage peechay rahta hoon

Khat e aflaas ke neeche rahta hoon

Logged
usha rajesh
Guest
«Reply #1 on: October 12, 2011, 01:41:50 PM »
Reply with quote
Khat e aflaas ke neeche rahta hoon
Ummed ke sapne seenche rahta hoon

kaisa chhoolha kaise bartan
kaisi chhat kaisa aangan
Kaisa jaada kaisi garmi
kaisa sookha kaisa saawan

Khule aakash ke neeche rahta hoon
Khat e aflaas ke neeche rahta hoon

Footpath pe jaakar sota hoon
Jo mil jaaye khaa kar sota hoon
Rangeen sapne sanjo kar sota hoon
Ummeed ki faslein bo kar sota hoon
Inn faslon ko phir ...
Ashkon se seenche rahta hoon

Khat e aflaas ke neeche rahta hoon

Duniya ke liye hain khushyaan saari
Holi , Dassehra , Eid , Diwaali
Pal bhar ke liye apne bhi bachchay
Nangay,Bhookay,sahmay,simtay
Dekh tamaash duniya ka
Khush ho kar apni
Saansein kheenchay rahtay hain
Main buss apni...
Aankhein meeche rahta hoon

Khat e aflaas ke neeche rahta ho

Mere liye sab aadaad o shumaar
Mer liye sab mansoobay
Aate hain mujh se milne
Sab AC , Caaron waale
Mere gaaon shaher ,mere soobay
De jaate hain sundar sapnay
Inn sapnon ko sanjonay phir main
Apni aankhen meche rahta hoon

Khat e aflaas ke neeche rahta hoon

Khush hoon meri fikr hai har jaa
Meri taareef ,mera zikr hai har jaa
Oonche aiwaanon mein bola jaata hoon
Roti, kapde,kharchon mein tola jaata hoon
Woh sonay mein tolay jaate hain
Main sapnon mein tola jaata hoon
Tai karte hain woh
Meri zaroorat mere huqooq
Mere sapnay
Meri seemaayen tai hoti hain

Lakshman Rekha woh tai karte hain
Main bus aage peechay rahta hoon

Khat e aflaas ke neeche rahta hoon



Qais Ji,
Bhai Wah! Kya baat hai! Kya kahne. Itne sada lafzon mein kitni gahri baat kah di hai aapne. Bahut khoob. Apni kalam ko chalte rahne dijiyega.
Hamari dili daad kubul kijiye.
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: October 12, 2011, 02:29:41 PM »
Reply with quote
Khat e aflaas ke neeche rahta hoon
Ummed ke sapne seenche rahta hoon

kaisa chhoolha kaise bartan
kaisi chhat kaisa aangan
Kaisa jaada kaisi garmi
kaisa sookha kaisa saawan

Khule aakash ke neeche rahta hoon
Khat e aflaas ke neeche rahta hoon

Footpath pe jaakar sota hoon
Jo mil jaaye khaa kar sota hoon
Rangeen sapne sanjo kar sota hoon
Ummeed ki faslein bo kar sota hoon
Inn faslon ko phir ...
Ashkon se seenche rahta hoon

Khat e aflaas ke neeche rahta hoon

Duniya ke liye hain khushyaan saari
Holi , Dassehra , Eid , Diwaali
Pal bhar ke liye apne bhi bachchay
Nangay,Bhookay,sahmay,simtay
Dekh tamaash duniya ka
Khush ho kar apni
Saansein kheenchay rahtay hain
Main buss apni...
Aankhein meeche rahta hoon

Khat e aflaas ke neeche rahta ho

Mere liye sab aadaad o shumaar
Mer liye sab mansoobay
Aate hain mujh se milne
Sab AC , Caaron waale
Mere gaaon shaher ,mere soobay
De jaate hain sundar sapnay
Inn sapnon ko sanjonay phir main
Apni aankhen meche rahta hoon

Khat e aflaas ke neeche rahta hoon

Khush hoon meri fikr hai har jaa
Meri taareef ,mera zikr hai har jaa
Oonche aiwaanon mein bola jaata hoon
Roti, kapde,kharchon mein tola jaata hoon
Woh sonay mein tolay jaate hain
Main sapnon mein tola jaata hoon
Tai karte hain woh
Meri zaroorat mere huqooq
Mere sapnay
Meri seemaayen tai hoti hain

Lakshman Rekha woh tai karte hain
Main bus aage peechay rahta hoon

Khat e aflaas ke neeche rahta hoon



Sachaiyon Se Bharpoor nazm kahi hai Aapne..

bahut bahut khoob Qaisji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #3 on: October 13, 2011, 06:43:21 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley,,,,,,,,ahsason ko bade pechida dhang se bayan kiya hai ....sabhi ahsaas ,,,,khubsurat hain ,,,,,lafzzon ko juwan si de di hai,,,,daad hajir hai ....qais sahab 
Logged
Qais
Guest
«Reply #4 on: October 16, 2011, 01:52:50 PM »
Reply with quote
usha Rajeshji.hausla afzai k liye shukrya.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: October 16, 2011, 02:03:30 PM »
Reply with quote
Qais Sahaab Aadaab!

Behad gehrai se aapne jo khat e iflas ko bayaaN kiya hai
dil se guzar kar gaya....

Behad khub O umdaa kalaam kahi hai aapne...
Aapka massage baqoobi pahuNcha ho har padhne wale tak..

Is khub kalaam par dili daad O mubarakbad

Allaah aapke aur humaare tamaam masaailoN ko aasaaN farmaye..
Khush O aabaad rahiye... Aate rahiye..

Khuda Hafez... Usual Smile 

Logged
Qais
Guest
«Reply #6 on: October 16, 2011, 06:19:29 PM »
Reply with quote
khwaish ji,mujh naacheez ki himmat afzai k lye bht bht shukrya.
Logged
Qais
Guest
«Reply #7 on: October 17, 2011, 05:27:11 AM »
Reply with quote
sunildehgawani ji,Shukriya aap ne nazm ko detail mein padha aur himmat barhaai.
Logged
mkv
Guest
«Reply #8 on: October 17, 2011, 06:03:36 AM »
Reply with quote
Qais ji
bahut khoob likha hai apne.
DAAD kubool kare
Logged
Qais
Guest
«Reply #9 on: October 17, 2011, 08:57:36 AM »
Reply with quote
parwaz sahab,aap ko nazm pasand aayee.Hausla badhaaya.Main bahut mashkoor hoon.
Logged
Qais
Guest
«Reply #10 on: October 17, 2011, 08:58:52 AM »
Reply with quote
mkv saheb,Bahut bahut shukrya.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:20:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer