Khuda bechte hain log Eeshwar bechte hain...Kaash

by @Kaash on April 30, 2013, 04:52:21 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1232 times)
@Kaash
Guest
Reply with quote
kuch dino pehle ek train me yaatra kar raha tha,log aksar ye nahi samajhte ki zindagi bhi ek yaatra hai.
I found there a mess, a misunderstanding among people in context of religion. jahan logon me apas me trust deficit hota hai wahan har baat me sirf misunderstandings dikhai degi har baat me misunderstanding hi badhegi.

Ye insaan ko itna samvedanheen bana sakti hai ki wo insaaniyat bhool jaaye aur wohi cheez insaan ko itna samvedansheel bana sakti hai ki wo insaaniyat ke naye mukaam paa jaaye.
Wo cheez hai Dharm/mazhab
To wahan kuch aisi hi baaten ho rahi thi.
Kuch bahut dimaagdaar log Khuda,Eeshwar bhagwaan ke thekedaar bane baithe the, unhone uski apni definition banayi aur chahte the ki baaki log bhi use maane.

mudda ye hai jo maine upar likha and that is
Dharm samvedansheel banata hai ya samvedanheen.
Dharm nafrat sikhata hai ya prem.
Dharm zabran hota hai ya sahaj.
Aakhir aisa kyun hai ki dunia me ab tak jitney bhi dharm hain wo apas me prem badhane ke kaarakon(factors) me kahin bhi nahi lekin dunia me sabse zyaada khoon kharabe ke kaarakon me no 1 hai.Yaani dunia me sabse zyaada ladaiyaan abhi tak dharm aur mazhab ke naam par hui, isse koi fark nahi padta ki ye ladai hindu,islaam,christianity,paarsi,bauddh,jain aadi kin dharmon ke naam par hui.
Pramaanik tathy ye hai ki sabse zyaada log dharm aur mazhab ke naam par hi mare gaye.
Abhi bhi ye rog janmanas ke mano se jaata nahi aur ab to iska raajneetikaran kia jaa raha hai,Bharat jaise desh me kai neta apni party isi jaat waad,sapradaaywaad ke naam se chala rahe hain.Ye bahut hi haasyaaspad sa lagta hai mujhe ki dharm ko na jaanne waale hi uske thekedaar bane baithe hain.

 rachna

Khuda bechte hain log Eeshwar bechte hain
Use shabdon me baandhkar use taulte hain

Seekhta nahi aadmi jangon ki zameen se
Khoon ke sookhe dhabbe bhi kuch bolte hain

Khuda ke naam par Khuda ka vyapaar na kar
Raam Rahim har kahin se tujhe dekhte hain

Dhaarmikta hi dharm hai mere liye e yaaron
Kisi mazloom ke aasun bhi maayne rakhte hain

Wo dhaarmikta nahi jo mazhabi nafrat badhaaye
Aadmi aadmiyat samjhe use hi dhaarmikta kahte hain
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #1 on: April 30, 2013, 05:05:38 PM »
Reply with quote
Largely correct but alas, we are helpless .
Politicization  of religion  is the worst
phenomenon today .Thanks for highlighting
the common mentality.
Logged
aru12
Guest
«Reply #2 on: April 30, 2013, 09:07:28 PM »
Reply with quote
ek samvedansheel rachna pe aapko badhai, aapne iska badi hee bhavnaatmak roop se chitran kiya...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #3 on: May 01, 2013, 12:48:42 AM »
Reply with quote
bahut achcha likha hai aapne... dheron daad..
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: May 03, 2013, 01:59:42 PM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:17:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer