Sajid Bhai aapki baat samajh nahi aai. Pahli line mein "masjide hai" likha hai. "Masjide" ke saath hai aana chahiye ya hain. Agar yahan hain kar liya jaaye to dusri line mein bhi hain aayega, tab dusri line ka matlab kufriya ho jayega yaani Khuda bahot hain. Zara wazahat farmayen to mehrbani hogi.
Isi tarah ye baat bhi ajeeb hai ke jo maikashi na kare, shayari na kare wo behuda hai. Kaun kehta hai aisa.
Masjide aur Khuda dono hamkafiya bhi nahi hain.
Riyaz Bhai Aapne 100% Sahi Farmaaya Hai
Badi Hi Khushi Hui Aapka Rep Dekhkar
Jis Tarah Aapne Bina Darre Huq Ka Saath Diya
Bahut Achcha Laga..ALLAH Pak Aapko Iska Badla Jarur Dega
Aur Main To Yeh Sochkar Hairaan Hoon Ki
Ek Musalman Ne Aisi Bakwash Line Likhi Hai
Aur Usse Bhi Jyada Mujhe Hairani Is Baat Pe Hui Ki
Uper Humare Bhaiyon Ne Aisi Kufriya Baaton Pe Aitraz
Karne Ki Bajai Wah Wah Hi Ki Hai.....
ASTAGHFIRRULLAH
ALLAH Reham Kare...
Riyaz aur Shihab saheb agar aap dono ke alawa koi aur mujhe yeh baat kehta to shayed mujhe itna Tajjub nahi hota. Khair aap dono ke jazbato ki main Kadr karta hu. Main is baat se nahi darta ke aapne mere sher ko kufriyaa.N sher kaha ya mujh par kafir hone ki tohmat lagayee. Aap samaieen hai aapka poora haq hai ke aap apni ray zahir kare.
Mujhe Afsos is baat ka hai ke aapne sher ko samjha hi nahi.........aisa kisi ke sath bhi ho sakta hai.....
Kisi zamane me Allama Saheb ne bhi ek sher kaha tha.........
Masjid to banaiee shab bhar me Imaa.N ki hararat walo ne
Dil apna purana papi tha barso me namazi ban na sake....Agar aapki naraazgi ko sahi manu to yeh sher bhi kufriyaa.N hua......khair main apne sher ki taraf aata hu
Basti me gunahgaro ki masjide bohat hai.........
Is misre me maine yeh kehna chaha hai ke logh Masjide to banwa lete hai par unhe aabad nahi karte, aur gunaho ke rasto se muh nahi modte. Subah 5 waqt muazzin masjid ki taraf muslmano ko bulata hai lekin koi dhiyaan nahi deta.....aur yaha sirf baat musalmano ki ya masjid ki nahi hai. Yeh baat har shaks par lagu hoti hai jo khudko kisi mazhab ka anuyaiee to batlata hai par apne mazheb ke bataye huye rasto par nahi chalta.......Yeh misra aise tamam logho ke liye bohat bada tanz tha......
Khauf_e_khuda nahi magar khuda bohat hai.....
Is misre me maine yeh bayaa.N kiya hai ke yeh sabse badi haqeeqat hai ke Allah ya Bhagwan har waqt humko dekh raha hai sun raha phir bhi hum bina jhijhak gunah par gunah kiye jate hai aur hum aisa isiliye karte hai qke humne apni nafs ko apni khwaishi ko apna khuda bana liya hai aur wahi karte hai jo hamari nafs humse karwati hai.......
Jaha tak dusre sher ki baat hai to mera khyaal yeh hai ke jab matla itna saaf aur wazeh hone ke bavjood use kufriyaa.N sher kaha gaya to dusra to bohat pecheeda hai use samajhne wale aur hi hain....
Jaha tak Islami Nazriyaa.N hai shero_shayri ka to aap sab khud jante hoge ke hamare Pyaare Nabi ka kya farmaan hai Shayri ke mutallik. Main yeh baat yaha kehna nahi chahta agar aap ko nahi pata to net par har jankari maujoood hai aur mujhe yaqeen hai aapke aitraaf me Aalim bhi hoge jo aapko khulkar samjha dege.
Agar mera yeh samjhana bhi kaam nahi aaya ho to main Mafi chahta hu un sab se jinka dil meri shayri ne dukhaya hai aur monitors se guzarish karta hu ke woh is thread ko Block kar de....ya delete kar de.
Ghayel