Khuda Jane Kya Hoga Insaniyat Ka...!

by majid on June 03, 2010, 08:12:35 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2956 times)
majid
Guest
Reply with quote
Aadab Sabhi Arbab-e-Sukhan Ko Mera
Aap Sabhi Ahle Nazar Ke Aage Apni
Ik Koshish Rakh Raha Hun Umeed Hai
Pasand Aayegi...! Galti Maaf Ho...



Duniya ki Khwaishon Ka Khud Ko Ghulam Kar Raha Hai
Ki Do Ghadi Kyun Nahi, Tu Fikr-e- Anjam Kar Raha Hai.
 
Aey Uljhane Wale Khud Ko Rang Be-Rangi Fashino Men
Zara To Soch Ki Tuu Apna , Kya Muqaam  Kar Raha Hai.
 
Haay Afsos Is Qadar Bat Gayi Hai Ummat Masaeel Mein
Ki Musalman Hi Muslman Ka Qatl-e-Aam Kar Raha Hai.
 
Kyun Na Ho Aise Men Bhala Nazil Azab-e-Ilaahi Yahan
Aaj Imaan Wala Hi Quran Ke Khilaf Kaam Kar Raha Hai.        
 
Kasam Khuda Ki Kabhi Bhi Woh, Tarakki Nahi Paayega
Jo Beta Maa Aur Baap Ka , Nahi Ehtaram  Kar Raha Hai.
 
Mera Mazhab Pak Aur Saaf Hai, Uthake Dekhlo Quraan
Kyun Khamakha Ispe Aatank Ka , Ilzaam  Kar Raha Hai.
 
Khuda Hi Jaane Kya Hoga Insaniyat Ka , Jise Bhi Dekho
Chand Sikkon Ki Khatir Gairat Ko Nilaam Kar Raha Hai.


                  ~Shihab~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jane wo kaisa hoga re by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
na jane tu kahan hoga by samir_bc in Occassion Specific Poetry
na jane ye khuda kya chahta hai by suyog in Share:Poetry of Separation
na jane ye khuda kya................ by suyog in Shayri for Dard -e- Judai
VO JANE KAISA HOGA !!! nm by sarfira in Miscellaneous Shayri
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: June 03, 2010, 09:16:28 PM »
Reply with quote
Wah wah Shihab ji bahut achi soch,sachai aur gaherai se hamesha ki tarah khoobsurti se likha aapne,great and touching creation.excellent icon_salut Hats off to you! Both Thumbs Up Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: June 03, 2010, 10:38:18 PM »
Reply with quote
Wah Wah Wah Wah bahaut khubsoorat pehskash hai dost..bahaut khoob! Applause Applause
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #3 on: June 04, 2010, 02:16:01 AM »
Reply with quote


  Hamesha ki tarah khoobsurat likha shihab ji,Aaj k daur ko Bakhoobi dikhaya hai aapne apne kalaam se. Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: June 04, 2010, 11:31:21 AM »
Reply with quote
Wah Shihab bhai wah kya khoob kalaam hai aapka. Bahot hi shandaar. Saari haqeeqat aapne saamne rakh di. Bahut kaam ki aur naseehat bakhsh ghazal hai aapki. Hazaron daad hazir hain. Allah aapko khush rakhe.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: June 04, 2010, 12:21:54 PM »
Reply with quote
Aadab Sabhi Arbab-e-Sukhan Ko Mera
Aap Sabhi Ahle Nazar Ke Aage Apni
Ik Koshish Rakh Raha Hun Umeed Hai
Pasand Aayegi...! Galti Maaf Ho...



Duniya ki Khwaishon Ka Khud Ko Ghulam Kar Raha Hai
Ki Do Ghadi Kyun Nahi Tu Fikr-e- Anjam Kar Raha Hai.
 
Aey Uljhane Wale Khud Ko Rang Be-Rangi Fashino Men
Zara To Soch Ki Tuu Apna, Kya Muqaam  Kar Raha Hai.
 
Haay Afsos Is Qadar Bat Gayi Hai Ummat Masaeel Mein
Ki Musalman Hi Musalman Ka Qatl-e-Aam Kar Raha Hai.
 
Kyun Na Ho Aise Men Bhala Nazil Azaab-e-Ilaahi Yahan
Aaj Imaan Wala Hi Quran Ke Khilaf Kaam Kar Raha Hai.       
 
Kasam Khuda Ki Kabhi Bhi Woh, Tarakki Nahi Paayega
Jo Beta Maa Aur Baap Ka, Nahi Ehtaram  Kar Raha Hai.
 
Mera Mazhab Pak Aur Saaf Hai, Uthake Dekhlo Quraan
Kyun Khamakha Ispe Aatank Ka, Ilzaam  Kar Raha Hai.
 
Khuda Hi Jane Kya Hoga Insaniyat Ka, Jise Bhi Dekho
Chand Sikkon Ki Khatir Gairat Ko Nilaam Kar Raha Hai.


                  ~Shihab~



Waah Waah Waah!!!

Bahut Bahut Aur Bahut Khoob Majid Bhai...

Bahut Hi Khoobsurat Peshkash,Yakeen Maniye,Jitni Tareef Ki jaaye kam hai..

Aapki Soch,Aapki Samaj Ko mera Salaam..

Bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #6 on: June 05, 2010, 06:04:33 PM »
Reply with quote
wah shihab saheb kya kahene behad umda qayal , bahoth qoob , apki is bahetreen taqleeq per dili dad qubool karen ,, allah apko hamesha khush rakhe .


duwa go


qadeertoopchi
Logged
shabbir143
Guest
«Reply #7 on: June 16, 2010, 08:40:43 AM »
Reply with quote
Wah Kya Baat Hai
Samajh Nahi Aa Raha Kaise Tareef Karun.!
Bohat Hi Sadgi Aur Pyar Bhare Andaz Ke Saath
Tumne Lafzon Ke Zariye Sari Haqeeqat Ko Dikhaya Hai
Waqai Mein Ek Nasheehat Bakhsh Ghazal Hai Yeh.
Baohat Bohat Aur Bohat Badiya...
ALLAH Pak Tumko Khush Rakhe.

Yun Hi Likhte Raho Meri Jaan.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: June 22, 2010, 09:43:30 AM »
Reply with quote
Mashallah,.

Mere Bhai Is Ghazal Ki Taareef Karna Hamaari Khushnaseebi HaiKe Hamaare Beeech Itni Shaaandaaar Ghazlein Likhne Waale Shaks Maujood Hain,.

Ye Ghazal To Ek Aaina Hai, Maujoooda Haalat Ki Tasweer Hai, Bohat Achche Majid Bhai Bohat Achche, Allah Tumhaare Kalam Ki Roshnaai Aur Badhaaye, Behad Khushi Hoti Hai Mujhe Jab Tum Aur Mere Kuch Bhai Hain Jab Wo Kuch Likhte Hain, Inqilaabi Shayaris,.

This Is One On The Best Work Of Urs Yunhi Likhte Raho,.

Allah Tumhe Khush Rakhe Aameen,.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #9 on: June 22, 2010, 09:48:35 AM »
Reply with quote
Aadab Sabhi Arbab-e-Sukhan Ko Mera
Aap Sabhi Ahle Nazar Ke Aage Apni
Ik Koshish Rakh Raha Hun Umeed Hai
Pasand Aayegi...! Galti Maaf Ho...



Duniya ki Khwaishon Ka Khud Ko Ghulam Kar Raha Hai
Ki Do Ghadi Kyun Nahi Tu Fikr-e- Anjam Kar Raha Hai.
 
Aey Uljhane Wale Khud Ko Rang Be-Rangi Fashino Men
Zara To Soch Ki Tuu Apna, Kya Muqaam  Kar Raha Hai.
 
Haay Afsos Is Qadar Bat Gayi Hai Ummat Masaeel Mein
Ki Musalman Hi Musalman Ka Qatl-e-Aam Kar Raha Hai.
 
Kyun Na Ho Aise Men Bhala Nazil Azaab-e-Ilaahi Yahan
Aaj Imaan Wala Hi Quran Ke Khilaf Kaam Kar Raha Hai.       
 
Kasam Khuda Ki Kabhi Bhi Woh, Tarakki Nahi Paayega
Jo Beta Maa Aur Baap Ka, Nahi Ehtaram  Kar Raha Hai.
 
Mera Mazhab Pak Aur Saaf Hai, Uthake Dekhlo Quraan
Kyun Khamakha Ispe Aatank Ka, Ilzaam  Kar Raha Hai.
 
Khuda Hi Jane Kya Hoga Insaniyat Ka, Jise Bhi Dekho
Chand Sikkon Ki Khatir Gairat Ko Nilaam Kar Raha Hai.


                  ~Shihab~


Bahut khoob Shihab Ji
Logged
shiba
Guest
«Reply #10 on: January 29, 2011, 12:25:59 PM »
Reply with quote
Kya Khoobsurat Andaaz Mein Aapne
Maujuda Daur Ko Lafzon Men Piroya Hai
Behad Khoobsurat Peshkash Ji Applause Applause Applause
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #11 on: April 22, 2011, 05:09:02 PM »
Reply with quote
No Words Ji
Applause Applause Applause Applause Applause


Aadab Sabhi Arbab-e-Sukhan Ko Mera
Aap Sabhi Ahle Nazar Ke Aage Apni
Ik Koshish Rakh Raha Hun Umeed Hai
Pasand Aayegi...! Galti Maaf Ho...



Duniya ki Khwaishon Ka Khud Ko Ghulam Kar Raha Hai
Ki Do Ghadi Kyun Nahi Tu Fikr-e- Anjam Kar Raha Hai.
 
Aey Uljhane Wale Khud Ko Rang Be-Rangi Fashino Men
Zara To Soch Ki Tuu Apna, Kya Muqaam  Kar Raha Hai.
 
Haay Afsos Is Qadar Bat Gayi Hai Ummat Masaeel Mein
Ki Musalman Hi Muslman Ka Qatl-e-Aam Kar Raha Hai.
 
Kyun Na Ho Aise Men Bhala Nazil Azab-e-Ilaahi Yahan
Aaj Imaan Wala Hi Quran Ke Khilaf Kaam Kar Raha Hai.        
 
Kasam Khuda Ki Kabhi Bhi Woh, Tarakki Nahi Paayega
Jo Beta Maa Aur Baap Ka , Nahi Ehtaram  Kar Raha Hai.
 
Mera Mazhab Pak Aur Saaf Hai, Uthake Dekhlo Quraan
Kyun Khamakha Ispe Aatank Ka , Ilzaam  Kar Raha Hai.
 
Khuda Hi Jaane Kya Hoga Insaniyat Ka , Jise Bhi Dekho
Chand Sikkon Ki Khatir Gairat Ko Nilaam Kar Raha Hai.


                  ~Shihab~

Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #12 on: April 22, 2011, 05:15:02 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:06:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer