Khudkush Hamle

by javedarshad on March 10, 2007, 03:54:29 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 922 times)
javedarshad
Guest
Reply with quote
Yeh kaisi hubbul watani hai    (Desh Prem
Kin jazbon ka izhar hai yeh.
Apne hi gulzaron mein            (Bagh)
Maan jaon ki laashon ka
Dardnak
Manzar dikahte hain
Apni zinda laashon se
Saikron
Bebas laashon ka
Bazaar yeh sajate hain
Falsafai hayat ya              ( Philosphy of life)
Nazariye jihad  hai kia         (Theme Of Jehaad)
Pairo hain kis mazhab ke

Yeh kaisi hubbul watani hai
Kin jazbon ka izhar hai ye

Deene Mohammadi ne to duniya main
Insanyat ka parcham lahraya hai
Shirko hawis ke                                  (Worship other than god)
Wahshi bazaaron mein
Abdo ma'bood                                 (Kuda aur Banda )
Ka falsafa sikhaya hai
Deene aghiyar ne bhi to          ( Aghiyar - Ghiar)
Mohabbat ka sabak
Padhaya hai
Zuboor, Tauret, Injeel wa Qu'ran   ( Four Books)
Kis kitab ka rasta apnaya hai

To phir kaun hain yeh
Iblees ke
Kya karinde hain
Jinhon ne odh ke libada      
Ibnul waqt aur                  (MAUQA PARAST)
Mafad paraston ka
 Kuch naam nehad
Desh premi aur
Jannat ke tehkedaron ka

De kar lalach jannat ki
Dozakh ki rah dikhaye hai
Khareed kar in ke nafson ko        ( NAFS- Eman)
Mulk mulk aag lagayi hai
In zinda jalti laashon se
Kaun sa beopar sajaya hai
Wehshat zada armano mein
Kaun sa khuwab jagaya hai
Darandagi aur saffaki mein            (Saffaki- Bedardi)
Apna hi chaman lutate hain
Khushnudi mein zalim ki
Apna hi ghar jalate hain
Wahshi darinde inse behter hain
(Jo kam se kam)
Apne kunbe ki to laj bachate hain
Aakhir mudu'a hai kya                     (Need)
Izhar yeh kaisa hai
Na aaqbat andeshi mein                (Aaqbat-Future)
Gawante duniya bhi
Aaqbat bhi lutate hain
Insaniyat ke dushman bane
Muzir jaan dene par
Aakhir iska raaz hai kya
Kya
Inki yeh jaan faroshi
Lehraye gi parcham azadi ka
Ya phir
Khilwad bane hain yeh
Muthi bhar imaan faroshon ka
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Assam Ke Hamle Par Media Khamosh Kyun,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Talat
Guest
«Reply #1 on: March 12, 2007, 08:08:59 PM »
Reply with quote
=D>  =D> Very nice Javed...aapne Mazhab ke naam par terrorism jo hai us par bohot achcha likha hai...kuch words samajhne main mehnat lagi...lekin kaafi achchi naazm hai !! Usual Smile
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #2 on: March 12, 2007, 09:22:55 PM »
Reply with quote
Thanks Talat
Some words are difficult,
If u suggest  I can write the meanings too

Anyway tx

If One person gets the message then I m successful

javed
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: March 13, 2007, 08:27:16 AM »
Reply with quote
Very nice javed ji.. bahoot khoob likha hai...
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: March 13, 2007, 09:54:31 PM »
Reply with quote
I understood...thode se gaur karne ke baad..but may be writing meanings of few words will make it easier for others to understand Usual Smile
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #5 on: March 13, 2007, 10:21:15 PM »
Reply with quote
Jo aap ne tahreer kia hai wohi mera matlab tha
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: March 14, 2007, 02:13:17 PM »
Reply with quote
Nice Javed. App hard words ke meanings likh de to achi tarah se samjh main ayegi apki kavita.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 04:17:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer