Kinare par aaker......(Ghayel)

by sajid_ghayel on March 31, 2009, 07:24:06 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1438 times)
sajid_ghayel
Guest
Reply with quote
Kabhi kabhi hum jis khushi ki talash me zindagi guzar dete hain woh pass hote huye bhi hum use dekh nahi pate. Jis pyaar ki aarzoo karte hain woh pyaar jab milta bhi hain to use pehchaan nahi pate. Bas isi soch ko dhiyaan me rakhkar ek mamuli kalam likha hain, ummeed hain aapko pasand aaye........

Jaise kashti kinara dhoondti ho kinare par aaker
Woh ab bhi hua na mutmaee.N apna hum_nawa.Z paker

Jaise  mangti ho ab bhi barish, bheegi hui zameen
Woh namurad pyaasa hi raha, samundaro me nahaker

Jaise khwab kare shikwa, unhe neend se bair hain
Woh khud ko samjha kiya tanha, mehfilo me zindagi bitakar

Jaise hasta hua ho chehra, aur yeh dawa main gam_zada hu
Khushiya kabse muntazir thi, na dekh payee aakhe aasoo bahakar

Jaise zindagi bataye mera nam maut hain
Woh deta raha zakhm unko, nam apna GHAYEL batakar

Jaise kashti kinara dhoondti ho kinare par aaker
Woh ab bhi hua na mutmaee.N apna hum_nawa.Z paker
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
samadar kinare.... by niraj_191 in Shayri-E-Dard
do kinare by mrkotians in Miscellaneous Shayri
sagar ke kinare by srk_rocks in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
PALKON KE KINARE by SairaKhan in Shayri-E-Dard
Mujhe ghayel karne wala.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: March 31, 2009, 07:29:25 AM »
Reply with quote
bahoot bahoot khoob Sajid ji.. bahoot hi meaningful poetry likhi hai aapne. behad khoob!
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: March 31, 2009, 08:09:00 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohat umda likha hai aapne wonderfull creation sajid ji...
Logged
salma786
Guest
«Reply #3 on: March 31, 2009, 09:12:21 AM »
Reply with quote
Very nice Sajid ji!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: March 31, 2009, 11:11:27 AM »
Reply with quote
Kabhi kabhi hum jis khushi ki talash me zindagi guzar dete hain woh pass hote huye bhi hum use dekh nahi pate. Jis pyaar ki aarzoo karte hain woh pyaar jab milta bhi hain to use pehchaan nahi pate. Bas isi soch ko dhiyaan me rakhkar ek mamuli kalam likha hain, ummeed hain aapko pasand aaye........

Jaise kashti kinara dhoondti ho kinare par aaker
Woh ab bhi hua na mutmaee.N apna hum_nawa.Z paker

Jaise  mangti ho ab bhi barish, bheegi hui zameen
Woh namurad pyaasa hi raha, samundaro me nahaker

Jaise khwab kare shikwa, unhe neend se bair hain
Woh khud ko samjha kiya tanha, mehfilo me zindagi bitakar

Jaise hasta hua ho chehra, aur yeh dawa main gam_zada hu
Khushiya kabse muntazir thi, na dekh payee aakhe aasoo bahakar

Jaise zindagi bataye mera nam maut hain
Woh deta raha zakhm unko, nam apna GHAYEL batakar

Jaise kashti kinara dhoondti ho kinare par aaker
Woh ab bhi hua na mutmaee.N apna hum_nawa.Z paker

Aapki shayari main roz baroz pukhtagi dekh kar main hairaan hoon.....Har subah ke saath aapki shayari bhi sanwar rahi hai....and we just love it !! Bohot hi khoob Sajid Ji
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #5 on: March 31, 2009, 11:54:17 AM »
Reply with quote
Bahot ahchche sajid bhai... har shayari mein ek nayee tareeke se sachchai bayaan karna ahsaan nahee hota, aap ki shayari padr kar lagta hai k aap k liye, Masha-allah ahsan hai! Keep it up!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: March 31, 2009, 12:21:37 PM »
Reply with quote
Subhan Allah Bhai, Bohat Achcha Kalaam Likha Hai Aapne,.
Har Shayari Aapki, Peechli Shayari Se Damdaar Hoti Hai,.

Allah Aapke Kalam Ki Hifazat Kare,. Aapko Kisi ki Nazar na Lagaaye,.

Khush Rahiye,.

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #7 on: April 03, 2009, 04:37:44 PM »
Reply with quote
bahoot bahoot khoob Sajid ji.. bahoot hi meaningful poetry likhi hai aapne. behad khoob!

Thank You Sophie for giving time to my work...Bas hamesha yahi koshish karta hu ke jo likhu simple language me ho jo ziyada se ziyada logho ko samajh me aaye.[/b]
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #8 on: April 07, 2009, 10:01:13 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohat umda likha hai aapne wonderfull creation sajid ji...


Bohat shukriyaan Honey for giving time and comment to my work....
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: April 23, 2009, 07:11:24 AM »
Reply with quote
Very nice Sajid ji!!

Thank You very much Salma...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #10 on: April 23, 2009, 07:23:39 AM »
Reply with quote
Bohat shukriyaan Honey for giving time and comment to my work....

Shukriya Sajid ji aapne naye andaaz se
hamesha aapne nazm pesh kiya hai,,,,Great work,,,
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #11 on: April 29, 2009, 02:41:02 PM »
Reply with quote
Aapki shayari main roz baroz pukhtagi dekh kar main hairaan hoon.....Har subah ke saath aapki shayari bhi sanwar rahi hai....and we just love it !! Bohot hi khoob Sajid Ji

Is khoobsurat Dad ke liye bohat bohat shukriyaa Talat, bas apna bharosa yuhi kayem rakhna....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: April 29, 2009, 04:39:40 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Sajid!!!! Agree with Celmira... din per din nikhar aa rahahai apki shayri per!!!
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #13 on: April 30, 2009, 07:19:30 AM »
Reply with quote
Bahot ahchche sajid bhai... har shayari mein ek nayee tareeke se sachchai bayaan karna ahsaan nahee hota, aap ki shayari padr kar lagta hai k aap k liye, Masha-allah ahsan hai! Keep it up!

Arey nahi meri Masoom Behna yeh to tumhara pyaar hain apne is bhai ke liye......Bohat bohat shukriyaan.
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #14 on: May 01, 2009, 07:27:40 AM »
Reply with quote
Kabhi kabhi hum jis khushi ki talash me zindagi guzar dete hain woh pass hote huye bhi hum use dekh nahi pate. Jis pyaar ki aarzoo karte hain woh pyaar jab milta bhi hain to use pehchaan nahi pate. Bas isi soch ko dhiyaan me rakhkar ek mamuli kalam likha hain, ummeed hain aapko pasand aaye........

Jaise kashti kinara dhoondti ho kinare par aaker
Woh ab bhi hua na mutmaee.N apna hum_nawa.Z paker

Jaise  mangti ho ab bhi barish, bheegi hui zameen
Woh namurad pyaasa hi raha, samundaro me nahaker

Jaise khwab kare shikwa, unhe neend se bair hain
Woh khud ko samjha kiya tanha, mehfilo me zindagi bitakar

Jaise hasta hua ho chehra, aur yeh dawa main gam_zada hu
Khushiya kabse muntazir thi, na dekh payee aakhe aasoo bahakar

Jaise zindagi bataye mera nam maut hain
Woh deta raha zakhm unko, nam apna GHAYEL batakar

Jaise kashti kinara dhoondti ho kinare par aaker
Woh ab bhi hua na mutmaee.N apna hum_nawa.Z paker
awesome .........bahoot hi behtreen aur haqikat ke behad kareeb likha hai sajid.....bahot khoobsurat........tumhe tah-e-dil se lakhon salam..dost....aur hazaaron daad....
sach hai aaj-kal har doosra insaan khud ko dukhi (gumjada) batata firta hai..jo khushiyan uske paas pahle se moujud hai unhe nakarta hua......
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 01:11:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer