Kis Kadar badla hai insaan... Dekhiye

by Pooja on May 05, 2009, 06:01:05 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2479 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Rishto main Rishte ka anjaam dekhiye
kis kadar badla hai insaan dekhiye

Shadishuda hokar batlata hai khud ko kunwara
ajj ke jamane ka naya Ishaq to dekhiye

kai bacho ka baap, kare kharab aoro ki betia
Apni beti ko kare ghar main qaid, wah yah zulam to dekhiye

ho jayegi ajj bhi deri, tum sab ke liye he to kamata hu
kah kar yah ghar main, uska bahar ayyashi ka Jashan to dekhiye

Puche jo sawal per sawal biwi, ghar chor dete hai yah aj ke mard
kis mardangi se nibahte hai rishta biwi -bacho se, uski had to dekhiye

Loot kar umarbhar ki kamai biwi ke, kar lete hai beti ki umar ki ladki se shadi
wah ajj kal ke jamane ki, kaha ja rahi hai dagar, her taraf bas app yah hi dekhiye

Rishto main Rishte ka anjaam dekhiye
kis kadar badla hai insaan dekhiye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
badla wafa ka.... by Princess21 in Shayri-E-Dard
badla,.... by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
na main badla hun..... by purani_jeans_aur_guitar in Shayri-E-Dard
Wafa ka Badla by anu_love91 in Shayri-E-Dard
<>*Aaj badla badla sa ye ghar lagta hai*<> by *KasaK*....Dil Ki in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4  All »
Talat
Guest
«Reply #1 on: May 05, 2009, 06:11:04 PM »
Reply with quote
Samaaj ka ek pehlu ye bhi hai jispe aapne likha hai.....aur jaane kitne gharon ka shayad ek kadwa sach.....!

Bohot Khoob Pooja
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: May 05, 2009, 06:38:19 PM »
Reply with quote
Thanks Celmira!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #3 on: May 05, 2009, 06:48:06 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob pooja,par main sache dil se yehi dua karunga ke Kabhi Kahin bhi aise Halaat Na Paida ho..Bahut ache..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: May 05, 2009, 06:52:17 PM »
Reply with quote
mere khayal se khwaish ji ajj kal yah bahoot amm baat ho gai hai.... jab tak joint families thi... bado ka dar tha.. ajj kal to ghar se alag.. insaan bahoot man marji ka ho gaya hai!!!

khair kal Lifetime per kuch issi tarah ki movies aa rahi thi, to yah kavita janam le gai....ajj..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #5 on: May 05, 2009, 07:09:08 PM »
Reply with quote
Uljhi Si Hai Zindagi Duniya Ke Iss Safar Mein,
Loot Gaya Hai Woh Sharifo Ke Shehar Mein,

Main Yeh Nahi kehta Ke Aaj Ka Daur Sahi hai,
Par Dua Hai Ke Galat Karam Karne wala,
Rahe Humesha Khuda Ke Nazar Mein...

Sachai Ko Dekh Kar Aankh Fer Dena Asaan hai "Pooja",
Sach Ko Kagaaz Par Utaarne Ke Liye Bhi,
Himmat Chahiye Jigar Mein...

Agar Yeh Baat Aam hoti To Shayad "Khwaish" Yeh likhta Nahi,
Insaan Yeh sab Jab Karta Hai Jab Woh Beh jaata Hai,
Haiwaaniyat Ki Lehar Mein....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: May 05, 2009, 07:14:14 PM »

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah wah kaya baat hai... ek ek shabd kamaal ka khwaish ji... bahoot khoob last ki do line... ek dum suchi:

Agar Yeh Baat Aam hoti To Shayad "Khwaish" Yeh likhta Nahi,
Insaan Yeh sab Jab Karta Hai Jab Woh Beh jaata Hai,
Haiwaaniyat Ki Lehar Mein....

dil khush ho gaya ... bahoot khoob!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #7 on: May 05, 2009, 07:25:00 PM »
Reply with quote

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah wah kaya baat hai... ek ek shabd kamaal ka khwaish ji... bahoot khoob last ki do line... ek dum suchi:

Agar Yeh Baat Aam hoti To Shayad "Khwaish" Yeh likhta Nahi,
Insaan Yeh sab Jab Karta Hai Jab Woh Beh jaata Hai,
Haiwaaniyat Ki Lehar Mein....

dil khush ho gaya ... bahoot khoob!!

Sache Dil Se Bas Yehi Dua Hai Ke Aap hamesha Khush Raho..

Bahut Bahut Shukriya Aapka..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: May 05, 2009, 08:29:44 PM »
Reply with quote
Waah bahot khoob Pooja ji..samaaj me vyapt burayiyun par behad sacha kalaam likha aapne..

Shukaria Kaash ji.. apki taraf se bhi kuch padne ko mil jaata!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: May 05, 2009, 08:32:10 PM »
Reply with quote
Uljhi Si Hai Zindagi Duniya Ke Iss Safar Mein,
Loot Gaya Hai Woh Sharifo Ke Shehar Mein,

Main Yeh Nahi kehta Ke Aaj Ka Daur Sahi hai,
Par Dua Hai Ke Galat Karam Karne wala,
Rahe Humesha Khuda Ke Nazar Mein...

Sachai Ko Dekh Kar Aankh Fer Dena Asaan hai "Pooja",
Sach Ko Kagaaz Par Utaarne Ke Liye Bhi,
Himmat Chahiye Jigar Mein...

Agar Yeh Baat Aam hoti To Shayad "Khwaish" Yeh likhta Nahi,
Insaan Yeh sab Jab Karta Hai Jab Woh Beh jaata Hai,
Haiwaaniyat Ki Lehar Mein....

Waah...Bohot sahi kaha aapne Khwaish
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #10 on: May 06, 2009, 03:30:21 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Pooja Ji Wah Wah
Bahut khoob Khwaish Ji too
Main bhi apne ko rok nahin pa raha kahane se:

DIN-O-DIN HAAL DUNIYA KA BADA BEHAAL LAGTA HAI
AMAN SE ZINDAGI JEENA AJIB MUHAAL LAGTA HAI
KAHIN VISPHOT HOTE HAIN KAHIN RAILEN ULATATI HAIN
KI AB TO ZINDAGI RAKHNA AJAB JANJAAL LAGTA HAI

SARVESH RASTOGI
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #11 on: May 06, 2009, 03:39:26 AM »
Reply with quote
bahut khoob pooja ji and khwaish ji.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #12 on: May 06, 2009, 04:39:54 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Bohat khoob Pooja ji

Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: May 06, 2009, 04:51:56 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Pooja Ji Wah Wah
Bahut khoob Khwaish Ji too
Main bhi apne ko rok nahin pa raha kahane se:

DIN-O-DIN HAAL DUNIYA KA BADA BEHAAL LAGTA HAI
AMAN SE ZINDAGI JEENA AJIB MUHAAL LAGTA HAI
KAHIN VISPHOT HOTE HAIN KAHIN RAILEN ULATATI HAIN
KI AB TO ZINDAGI RAKHNA AJAB JANJAAL LAGTA HAI

SARVESH RASTOGI

wah wah wah kaya baat hai... bahoot khoob Rastogi ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: May 06, 2009, 04:53:00 AM »
Reply with quote
bahut khoob pooja ji and khwaish ji.

Thanks Madhyvesh ji

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Bohat khoob Pooja ji

Thanks Honey!!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:26:45 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.244 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer