Kya Imaan Zinda Hai Ab Bhi Hum Insaano mein!!!!!!!

by khwaish on July 04, 2009, 01:44:14 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4570 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Iss Nazm Mein Ek Jageh Par Kuch Haqeeqi Baatein Aur Ek Sache Haadse Ka Bhi Zikr Kiya Gaya Hai,Jis Par humein Insaan Hone Par bhi Sharm mehsoos Ho...Kuch Baatein Mazhab Ke Bed-Bhaav Par Bhi Adhaarit hai..Umeed Karta Hoon,Aap Sab Iss Nazm Ko Padhe Aur Pasand Kare....


Hosh Ki Baat Kaun karta Hai Iss Zamaane Mein,
Yahan To Hausle Chahiye Muskuraane Mein....

Uski Aankh Se Ashq Ka Katra Utra To Yakeen Hua,
Ke Woh Aankh Hi Thi Koi Pathar Nahi!!!
Kaun Zinda Hai Yahan sahi Maane Mein???

Kal Hi Ke Akbaar mein Ek Khabar Padhi,
Ke Ek Baap Ne Apni Hi Beti ki Izzat Luti,
Hairaan Hoon,Insaan Ki Shakl Rakhne Wale Bhi,
Shaamil Hai Inn Haiwaano Mein.....

"Khwaish" Ka Bas Chalta Tha To Seedha Goli Maar Deta Uss Shaks Ko,
Woh Khoon Aaj Bhi Kholta Hai Iss Nas-Nas Mein,
Jo Kholta Tha Kabhi "Veer Bhagat Singh" Jaise Deewano Mein......

Mazhab,Dharam,Jaat-Paat Par Behas Karne Walo,
Pehle Yeh Dekho, Kya Imaan Zinda Hai,
 Ab Bhi Hum Insaano mein???


"Khwaish" Jo Hum Hai Bas Wahi Hai!!!!!
Kyon Hum Apni pehchaan Khode Inn Jhooti Pehchaano Mein......

Gark Ho Jaayenge Ek Din Yakeenan Woh Log,
Jo Mazhab ke Naam Par Sirf Fark Karte Reh Haye Hum Insaano mein....

Kisi Ko Gale Lagaakar Uske Dard ko Samajhna Bahut Badi Baat Hai!!!
"Khwaish" woh Phool Kabhi Phir Khilta Nahi!!
Sirf Ek Baar Ke Murjhaane Mein.....


              ~~~~~Khwaish~~~~~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Sarhad ka Imaan by vipinbox in Shairy-E-Watan
Imaan!!!!!!!!!!!!!!!!! by redwhitegang in Miscellaneous Shayri
zinda hoon mein abhi by anush in Shayri-E-Dard
Mohabbat Dilon Mein Zinda Ho To Zindagi Asaan Hai......... by khwahish in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Dilon Mein Kisi Ke Imaan Nahi,.. by Azeem Azaad in Miscellaneous Shayri
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: July 04, 2009, 01:48:08 PM »
Reply with quote
Waah Mere Bhai Wah KYa KHoob Likha Hai, Behad Sahi Kaha Hai Apne,.

Kaash Sab Ise Maante,.
Mysore Mein Bhi Communal Riots Chal Rahe Hian,.

Kyun Log Samajhte Nahi, Ke Har Dharm Se Har Mazhab Se Bardhkar Insaaniyat Hai,.
Logged
cara
Guest
«Reply #2 on: July 04, 2009, 02:20:17 PM »
Reply with quote
bahut hi sahi kaha hai khwaish ji.....

kya baat karega insaan imaan ki,
jab khud hi izaat loot ta hai,apni hi jaan ki.
insaaniyat ki hadd paar karli hain insaano ne,
aaine mein khud ko hi nahin dekh payege, INSAANO MEIN.
Logged
superspawn10
Guest
«Reply #3 on: July 04, 2009, 09:08:54 PM »
Reply with quote
Wah wah khwahish ji...kya behtarein baat ki hai...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: July 04, 2009, 09:57:42 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Khwahish Ji
Logged
aaina
Guest
«Reply #5 on: July 05, 2009, 05:14:56 AM »
Reply with quote
kya baat hai bhut hi khoob khawish sahab mashallah[b/] 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: July 05, 2009, 05:22:20 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smileywah kaya baat hai, hamesha ki tarah bahoot khoob!!!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #7 on: July 05, 2009, 05:37:45 AM »
Reply with quote
MashaAllah Kya Khoob likha hai Khwaish ji.. Bahoot Khoob tanz kasa hai.. Sachai ko bakoobi bayaan kiya hai.. bahoot khoob!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #8 on: July 05, 2009, 07:06:23 AM »
Reply with quote
Bahut khoob khwaish ji,sach mein dil karta hai aise insaan ko goli maar du.
bahut dardnaak gatna apne pesh kiya.beautiful creation. Applause Applause Applause
Logged
Deepati
Guest
«Reply #9 on: July 05, 2009, 07:59:19 AM »
Reply with quote
Wah Wah Khwaish Ji, Bahut Khoob likha hai, Ek bahut he kadwi sachayi pesh ki hai!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: July 05, 2009, 02:28:11 PM »
Reply with quote
Bahut khoobsurti se pesh kiya hia Khwaish ji aapne aajkal ke halaat ko, sahi hai ke log bas badi baat karna jaante hai mazhab, dharm imaan ke baare mein, par kya sahi maayne mein us baat ka matlab bhi maalum rehta hai unhe? sochne wali baat hai.

kuch koshish meri tarafse....


do pal lagte hai logonpe jhuthe ilzaam lagane mein,
dekhna bhul jaate hai log daag lage apne girebaano mein,

insaan kya hai kaun hai kaisa hai hum dhundte hi reh gaye,
is chalte phirti laashon se shorgul hue qabristaano mein...
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: July 05, 2009, 08:38:53 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Khwaish Dost, ek baar phir aap ki qalam se ek sachchai nikal ke saamne aayi hai....Humesha aapne haalaat aur sach pe awaaz uthaai hai, apni nazmon main.....aap ki is shiddat aur jazbaat ko salaam dost  icon_salut icon_salut icon_salut

Mazhab,Dharam,Jaat-Paat Par Behas Karne Walo,
Pehle Yeh Dekho, Kya Imaan Zinda Hai,
 Ab Bhi Hum Insaano mein???

"Khwaish" Jo Hum Hai Bas Wahi Hai!!!!!
Kyon Hum Apni pehchaan Khode Inn Jhooti Pehchaano Mein......




Bohot bohot khoob Dost
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: July 05, 2009, 08:39:53 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Angel...sach kaha Sweetie....!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #13 on: July 06, 2009, 02:39:50 AM »
Reply with quote
Thanks Talat Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: July 07, 2009, 06:19:32 AM »
Reply with quote
Waah Mere Bhai Wah KYa KHoob Likha Hai, Behad Sahi Kaha Hai Apne,.

Kaash Sab Ise Maante,.
Mysore Mein Bhi Communal Riots Chal Rahe Hian,.

Kyun Log Samajhte Nahi, Ke Har Dharm Se Har Mazhab Se Bardhkar Insaaniyat Hai,.

Sach Kahan Azeem Aapne...Yehi Baat Kehne Ki koshish Ki hai Maine Iss Kalaam mein...

Bahut Bahut Shukriya Azeem Jo Aapne Iss Nazm Ko Apna waqt Diya..
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:18:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer