**Kya zindagi hai ghareeb ki** by Rahim

by dead heart on April 08, 2010, 08:10:11 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4358 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Aj kuch alag likhne ko mann hua...Hamesha khud ka dard bayan karte hai hum..Aj dusron ka dard bayan karna chahta hoon...basically ek ghareeb jo mehnat karta hai, jhopdi main rehta hai, rota hai, sisakta hai, marta hai...uske ehsaas ko bayan karna chahta hoon..

Main bhale Pakistani hoon mager dil insaan ka hai...Aj news main suna Mumbai main pani ki kami agayi hai..Toh iss par bhi do lines dali hai maine apni iss nazm main...

Kabhi kabhi ehsaas nahin hota hume ke hum kitne khush kismat hai..Allah ka bada karam hai hum par..Humare neeche dekhe toh kayi aise hai jo; bas main bayan nahin kar sakta...Hamesha khud se neeche walon ko dekhein aur Allah ka shukar zaroor mane...Wakei hum bahaut khush kismat hai...

Maine yeh tanz section main dala hai...please iss nazm ko yahan se shift na kijiyega...Hmm main waise toh halke halke tanz kar jata hoon apni har nazm main mager iss nazm main amiron ko kuch kehna chahta hoon...

Jahan par bhi 'woh', 'unke'...Im refering to the rich ppl..amir...Ek sabak dena chahta hoon, ek ghareeb ki awaz ban na chahta hoon...

Umeed hai pasand ayegi...

Meri yeh nazm ager dil tak ponchi apke, toh tariff baad main kijiyega, pehle Allah ka shukar maniyega aur hamesha ghareebon ki madat kijiyega...Main samjhunga ke wakei maine kuch ehsaas bhara likha hai...

Kya zindagi hai ghareeb ki...

Ek ghareeb ki bhi akhir kya zindagi hai,
Ghar pe aa ke biwi bachon ke tane sunta raha,
Kam par malik ki dant khata raha,
Phir bhi ek jhooti muskaan liye phirta raha,
Kya zindagi hai ghareeb ki…

Khud bhuka rehkar dusron ko khilata raha,
Do pal ki khushian iss andheri zindagi main dhundta raha,
Ghairon se toh sahi; apnon se bhi ghum pata raha,
Har jagah se bas main thukraya hi jata raha,
Kya zindagi hai ghareeb ki…

Dusre swimming pool main naa rahe hai,
Main do boond pani ke liye tarasta raha,
Barsaat main mere ghar ujadte rahe,
Main bhi banglon main rehne ke khwab bunta raha,
Kya zindagi hai ghareeb ki…

Woh gadiyon main gum kar shaher dekte rahe,
Main sadkon pe lawaris ki tarha bhatakta raha,
Unke bache hawayi-jahaz main asmaan choote rahe,
Main apne bachon ko godi main utha kar duniya gumata raha,
Kya zindagi hai ghareeb ki…

Woh chicken aur pizza jaisi cheezein khate rahe,
Main apne apnon ko basi(purani) roti khilata raha,
Woh har roz jashn manate rahe,
Main har roz ander hi ander marta raha,
Kya zindagi hai ghareeb ki…

Ghum ke saager main doob kar thak gaya hoon,
Purane phate kapde pehen kar kafi sehen kar chuka hoon,
Kya mera haq nahin hai shandar zindagi jeene ka,
Kyun woh mehelon main rehne wale; hum jhopdi walon ko kuch nahin dete,
Jo nadion ke malik hai; woh hume ek boon dene se katrate hai,
Kya itne berahem hai woh jinhe Khuda ne itna diya hai,
Bhale mere pas paisa nahin hai mager dene wala dil toh hai,
Imandari, jazbat aur dusron ke dard ka ehsaas toh hai,
Shukar hai Allah ka,
Bahaut diya hai usne mujhe,
Mager sach doston,
Ek pal zindagi ka tham ke ek baar gaur karo,
Puchta hai ‘Rahim’
Kya zindagi hai ghareeb ki…


~Rahim~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**Ghareeb ki zindagi** by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
**Kaisa gila zindagi se** by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
**Zindagi** by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
**Zindagi ko jeena seekho** by Rahim by dead heart in Shairi - E - Zindagi
~*~ Ghareeb hogaye ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: April 08, 2010, 08:29:38 PM »
Reply with quote
Babut hi khoob likha hai Rahim bhai. Ek garib k dard ko aapne bahut hi sundar shabdon me pesh kiya hai. Unki tadap ko bakhoobi bayaan kiya hai aapne Rahim bhai. Bahut khoob...!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: April 08, 2010, 08:50:52 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut shukriya Kapil dost...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #3 on: April 08, 2010, 09:27:45 PM »
Reply with quote
waah rahiim ji bahut hi umda peshkash hai apki..kisi gareeb aur kamzor k dil ka haal apne bakhubi bayan kiya hai..waqai mein hum bahut khushnaseeb hai jo khuda ne hamein zarurat ki har cheez se nawaza hai...hamein khuda ka shukriya karna chahiye aur kisi cheez ka galat aur zayada fayda nhi uthana chahiye...kyunki hamari laparwahi kayi besaharo k kaam aa sakti hai...daad kabul kijiye rahiim ji...bahut hi badhiya.... Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
neelgold
Guest
«Reply #4 on: April 08, 2010, 10:30:46 PM »
Reply with quote
Its Jst supreb!!!!!!!!!!!!!!

Thank GOD!!!!!!!!!!!!!

U alwyz bring sum social issue which is really Gr8!!!!!!!!!!!!!
I can feel ur feeling wat u vr feeling vile writing!!!
Muze jaida Likhna nahi aata bt JST "KAMAL"
really moved me ...

THnx u ............. icon_salut icon_salut icon_salut
Aj kuch alag likhne ko mann hua...Hamesha khud ka dard bayan karte hai hum..Aj dusron ka dard bayan karna chahta hoon...basically ek ghareeb jo mehnat karta hai, jhopdi main rehta hai, rota hai, sisakta hai, marta hai...uske ehsaas ko bayan karna chahta hoon..

Main bhale Pakistani hoon mager dil insaan ka hai...Aj news main suna Mumbai main pani ki kami agayi hai..Toh iss par bhi do lines dali hai maine apni iss nazm main...

Kabhi kabhi ehsaas nahin hota hume ke hum kitne khush kismat hai..Allah ka bada karam hai hum par..Humare neeche dekhe toh kayi aise hai jo; bas main bayan nahin kar sakta...Hamesha khud se neeche walon ko dekhein aur Allah ka shukar zaroor mane...Wakei hum bahaut khush kismat hai...

Maine yeh tanz section main dala hai...please iss nazm ko yahan se shift na kijiyega...Hmm main waise toh halke halke tanz kar jata hoon apni har nazm main mager iss nazm main amiron ko kuch kehna chahta hoon...

Jahan par bhi 'woh', 'unke'...Im refering to the rich ppl..amir...Ek sabak dena chahta hoon, ek ghareeb ki awaz ban na chahta hoon...

Umeed hai pasand ayegi...

Meri yeh nazm ager dil tak ponchi apke, toh tariff baad main kijiyega, pehle Allah ka shukar maniyega aur hamesha ghareebon ki madat kijiyega...Main samjhunga ke wakei maine kuch ehsaas bhara likha hai...

Kya zindagi hai ghareeb ki...

Ek ghareeb ki bhi akhir kya zindagi hai,
Ghar pe aa ke biwi bachon ke tane sunta raha,
Kam par malik ki dant khata raha,
Phir bhi ek jhooti muskaan liye phirta raha,
Kya zindagi hai ghareeb ki…

Khud bhuka rehkar dusron ko khilata raha,
Do pal ki khushian iss andheri zindagi main dhundta raha,
Ghairon se toh sahi; apnon se bhi ghum pata raha,
Har jagah se bas main thukraya hi jata raha,
Kya zindagi hai ghareeb ki…

Dusre swimming pool main naa rahe hai,
Main do boond pani ke liye tarasta raha,
Barsaat main mere ghar ujadte rahe,
Main bhi banglon main rehne ke khwab bunta raha,
Kya zindagi hai ghareeb ki…

Woh gadiyon main gum kar shaher dekte rahe,
Main sadkon pe lawaris ki tarha bhatakta raha,
Unke bache hawayi-jahaz main asmaan choote rahe,
Main apne bachon ko godi main utha kar duniya gumata raha,
Kya zindagi hai ghareeb ki…

Woh chicken aur pizza jaisi cheezein khate rahe,
Main apne apnon ko basi(purani) roti khilata raha,
Woh har roz jashn manate rahe,
Main har roz ander hi ander marta raha,
Kya zindagi hai ghareeb ki…

Ghum ke saager main doob kar thak gaya hoon,
Purane phate kapde pehen kar kafi sehen kar chuka hoon,
Kya mera haq nahin hai shandar zindagi jeene ka,
Kyun woh mehelon main rehne wale; hum jhopdi walon ko kuch nahin dete,
Jo nadion ke malik hai; woh hume ek boon dene se katrate hai,
Kya itne berahem hai woh jinhe Khuda ne itna diya hai,
Bhale mere pas paisa nahin hai mager dene wala dil toh hai,
Imandari, jazbat aur dusron ke dard ka ehsaas toh hai,
Shukar hai Allah ka,
Bahaut diya hai usne mujhe,
Mager sach doston,
Ek pal zindagi ka tham ke ek baar gaur karo,
Puchta hai ‘Rahim’
Kya zindagi hai ghareeb ki…


~Rahim~

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: April 09, 2010, 03:25:14 AM »
Reply with quote
Bahut hi sundar peshkash hai Rahim Ji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: April 09, 2010, 12:06:17 PM »
Reply with quote
Shukriya Shihab bhaijan, Neel jee, Geet jee aur Rajesh jee...

Neel jee, apne bahaut kehdia...aur geet jee...daad abool kiya humne Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: April 09, 2010, 12:27:10 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut bahut Aur Bahut Khoob Bhai Rahim!!!

Har Lafz Zindagi Ki kuch Kadwi Sachaiyon Ko Bayaan Karta Hua..

Bhaut Hi sahej Tareeke Se Aapne Apne Jazbaaton ko Awaaz Di..

Aur Aaj Ke daur Mein Yeh Baat Vaakai Sach hai ke Insaan Ke Liye Gareebi Se Badi Koi Saza Nahi..Khuda Kare Iss Jahan Mein har Insaan Apna Aur Apno Ka Pet Bhar sake..

Bahut Ache..
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: April 09, 2010, 12:29:01 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut shukriya Bhai...Wakei dil se shukriya!
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #9 on: April 09, 2010, 01:02:08 PM »
Reply with quote
Bahut achha likha hai Abdul Rahim ji. Ghareebi kya hoti hai aur kaisi kaisi mushkilaat ka saamna hota hai ye agar hum mehsoos kar lein to kabhi Khuda ki nashukri na karein. Hamaara ye akhlaqi farz hai ke jitna bhi ho sake gharibon ki madad karein.

Dil ko chhuu gai aapki ye poem. Marhaba.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: April 09, 2010, 02:48:15 PM »
Reply with quote
Teh dil se shukriya bhai...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #11 on: April 10, 2010, 03:58:23 PM »
Reply with quote
Shukriya Shihab bhaijan, Neel jee, Geet jee aur Rajesh jee...

Neel jee, apne bahaut kehdia...aur geet jee...daad abool kiya humne Usual Smile

Welcome Banner rahim ji aur shukriya ji...
Logged
simi16
Guest
«Reply #12 on: April 15, 2010, 10:48:12 PM »
Reply with quote
yeh shayari bohat achi hai Usual Smile... Bohat khoob Mr Rahim ji :p Usual Smile
Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: April 16, 2010, 12:59:42 PM »
Reply with quote
Shukriya Ms.Simi...lol since wen did u start adresing me as 'Mr.'Huh??
Logged
simi16
Guest
«Reply #14 on: April 17, 2010, 08:56:37 PM »
Reply with quote
lol so what should i call you Rahim bhaiya ji??? :p lol
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 06:28:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer