Hitler,Musoolni aur Saddam jaise rajaon ne apne aham se badhkar kuch na socha
Kabhi saamrajyawaad,kabhi satta kabhi paise ki vajah se inhone manavta ka patan kia
Hamesha se samaaj vaisa hi hota aaya hai jaisa uska sarparast hota hai
hamesha se hi atyachaari durachaari rajaon ne samaaj ko dooshit kia hai
Achhe sarparaston ne janta ka hit socha aur apne hit ka tyaag kia
lekin aise sarparast bhi rahe jinhone apne swaarth aur aham me jantantra ko barbaad kia
aaj vyavastha se zyada vyavastha ka samuchit palan nahi hota
aaj vyavastha me bhi rah rah ke zaroori updation nahi hota
vohi chunaav tantra vohi chunaav prakriya aaj bhi hain
aaj bhi booth capturing hoti,kursi ke lie adharm aaj bhi hai
hum apne apne kartavyon se zyada apne adhikaar ko mahavta dete hain
kya kaam kar rahe hain ye nahi bus apne naam ko mahatva dete hain
kya soch rahe hain uske moolyon par nahi usse apne fayde dekhte hain
samaaj jaye bhaad me aaj hum samaaj ke ahit me uska hit dekhte hain
ye kaisi dohri maansikta dohre aachran samaaj apnata ja raha hai
intellectuality ke naam par baat ko ulta samajhna akalmandi samjha jata hai
samaaj ke sarparast aur apne haath me power rakhne wale samaaj ko ghalat nirdeshit karte hain
kali kamayi,ghalat kamayi,chaaploos,chaaploosi se ghire ye samaaj ko bhi waisa rang dete hain
apne raaj me ye zara bhi imaandaari aur imaandaar logon ko bardaasht nahi kar pate hain
kabhi apne salaahkaron,mantriyun,gundon dwara to kabhi swayam sabhraant ka shoshan karte hain
aaj naam ki loktaantrik vyavastha hai chahe kendra ki ho ya raajya sarkaar ki sab tanashaahi vyavastha hai
kahin mayawati sc ke stay ki dhajjiya udtate hue apne moortiyun ka nirmaan karata rahti hain
to vahin unke shashan me aam aadmi ne bus apraadh,bijli,pani ki samasya me badhottari payi hai
kahin unke aate hi adheenasth karmchaari apne tabadalon ki vajah se chuppi maar jate hain
to kahin unke police mahakme vale kisi masoom ko poster par rang daalne par jail ki hawa khilaate hain
hazaaron crore ka kendra se aaya hua fund khoob manmane dhang se raajya sarkaren danke se saath kharch karti hain
kendra sarkaar bhi aisa karti ye soch dekh vo bhi swiss bankon me paisa bhejti lekin janta ke lie kuch kharch nahi kartin
kisaan ke lie bhale kabhi kabhi barsaat ho jaye lekin tehseel aur yojnayen uski hamesha sookhi milti hain
thoda bahut kriyanvan dikhake unke naam ke paise bhi udake babuon ki jeben tar rahti hain
har neta har paarty bus samasyaen ghotalen uchhalne me lagi hai
parantu apne raaj me ghaltiyun ki naitik zimmedari lene ki himmat kisi me nahi hai
kahin Narendra Modi aaj tak khulke Godhra kaand par naitik zimmedaari nahi le paye
to kahin Raj Thakre,Bal thakre,Udhhav jaise neta raajnetik fayde ke lie apni zubaan kholte aaye
Mumbai ke naam par ye kabhi marathi to Rahat fateh ke naam par deshwaasiyun ko ghalat disha dete aaye
Kahin chidambaram door baithke apni kursi sambhaalne me dikhai de rahe hain
to kahin sharad pawaar ab apna sikke se cricket ki zamin par fasal uga rahe hain
kahin pranav mukharji budget me aam janta ke beech baithke use faydon se door karne ki yojna bana rahe hain
kahin Sonia Gandhi aur Rahul abhi ki nahi abhi se aage aane vale samay ke baren sochte dikhai de rahe hain
to kahin maanneeya Manmohan coalition ki majboori ghotaale yehi batate nazar aa rahe hain
bechaare laakh jatan kar bhi apni defensive body language chehre par se bechaargi ashaayta nahi chhupa pa rahe hain
ye sharm ki baat nahi ki pradhaanmantri aisi kaayron vali bhasha bol raha hai
ye bhi sharm ki baat nahi ki koi apni naitik zimmedaari nahi le raha hai
sharm ki baat ye hai ki samaaj is tamashe me chutki le raha hai
sharm ki baat ye hai ki unki party ka bhi koi unka saath nahi de raha hai
behad sharm ki baat hai hamare liye ki hum itne yogya pradhaanmantri me kami dekh rahe
sharm aani chahiye un daaghi aur beimaan netaon par jo unki aad me kali kamai kar rahe
sharm aani chahiye vipakchha ko jo muddon ko suljhane ki jagah naye uthane me lage rahte
phir se chunaav hon aisi mansha leke samasyaon ko spasht samadhaano ko complicated karte
kahin 2G spectrum ghotala poori tarah sulajh nahi paya to kahin mr. Raja jaise benakaab nahi ho paye
kahin Suresh Kalmaadi jaise log CG se hazaron crore ke ghotale karke bhi salaakhon se bach gaye
wahin apne saare jeevan me imaandaari ka aadarsh rakhne vali Kiran Bedi ji jaise logon ko bhi raajneeti ka saamna karna pada
aaj bhi sirf ochhi raajneeti se prerit hoke kahke bhi Zed surakchha ke lie Swami Ramdev jaise parampoojneeya ko upechhit kia ja raha
samayaon par adhik coverage dene ke lie media ka shukriya lekin use chahiye vo imaandaar logon par bhi kaarykarm chalaye
kaise hamare desh ke poorva mantriyun ne tyaag kia kaise shaheedon ne desh azaad kia unki neetiyun ko isthapit karekharaab
akasr hamari media ke kuch tatva apne kaam ko gambheerta se nahi lete hain
kuch nayi umr ke log bus naam wa power ki ajah se aa jate hain
nichle darje ke kuch naye patrakaar daroga aadi se mil jate hain
kai to unse dosti karke apne scooter m.cycle me petrol bharate hain
inke upar ke logon ko chahiye ki inhe inke kaam ki sanjeedagi samjhayen
khud bhi apne aapko nispakchha rakhke ye unhe aise aachran ki shikchha den
Is tarah se kaam ke saath wa naam ke lie aise nadaan naye logon ki samajh me ye baat nahi aati
ki zabardasti seniors ko acha kaam dikhane ki baat samaaj ko ahit bhi pahuncha sakti hai
[img[http://www.manjul.com/cartoons/wp-content/uploads/2008/11/241108mayawati.jpg[/img]http://
bahut zaruri hai samaaj ke budheejeevi,journalist aur satta pakchha tha vikachha ke log ek raay rakhen
desh tatha samaaj ke atimahatvapoorna muddon ko apne hit,swaarth,aham,raajneeti se upar maanen
is tarah se vo kum se kum janta ke saamne ek ache loktantra ka udaharan prastut kar payenge
is tarah se vo tanashaahi se bilkul achhoote loktaantrik system ko mazbuti de payenge
is tarah se hi samasyaon ka poorna aur sachha samadhaan niklega
s tarah se hi sadan me naya vidheyak achi bahas se parit ho sakega
is tarah se hi janta me bhi vyavastha ke prati nishtha badhegi
is tarah se hi jantantra sudhrega aur samaaj samradhh hoga