Live-In relationships: Samaaj ko aur vikrat roop pradaan karte hain aise sambandh

by @kaash on December 31, 2010, 08:24:08 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1145 times)
@kaash
Guest
Reply with quote
vastuvadita aur vaasna aaj samaaj ki vichaardhara me aise ghul mil gaye hain
jiski vajah se hum betahasha kaam vaasna aur aham ke sagar me doob rahe hain
aise nakaaraatmak vichaardhara dashakon se samaaj me kupratha janm de rahe hain
samaaj ko khokhla banate ye vichaar ab to ek fashion ki tarah dikhai dete hain
kai tarah ki buaraiyun ke saath live in relation ki buraai bhi vyaapt hai
bhaarteeya samaaj ke itne ooche aadarshon ko ye burai dhata batati hai
aaj samaaj me live in relation badhte ja rahe hain
kaamatur ho aaj ke kishore ise aaturta se apna rahe hain
noeda,delhi,mumbai,bangalore,kolkata sabhi bade shahar iski chapet me hai
middle east,dubai,uk,usa,canada,australia sabhi desh iske lapete me hain
zara se shauk zindagi ka maza uthane ke lie adhiktar is paap ke bhagi bante
apne anusaar tathakathit sex ki pyaas bujhakar phir aur shareer dhoondhne lagte
koi college ki padhai karne jata to ise apnata
koi self employed hoke isme jeevan guzaarta
koi business kar raha aur isi me maze dhoondh raha
koi pension par zindagi bitate hue kaampipasa bujhata
koi naukari par hai ghar se door par swayam par niyantran nahi rakh pata
koi education ke abhaav me sex ko hu jeevan saar samajhke isme lagta
koi sabkuch jaante hue isi me anand samajhkar khud ko barbaad karne me lagta


lekin enjoyment ke lie bane aise relation kisi kaam ke nahi hote
dhoke se bane dhoke ke lie bane aise relation dhoke pe hi khatm hote
samaaj me badnaami,aayine se bhi nazar churani padt hai isme
chaar dino me iski satyata jaan phir zabran zindagi deni padti hai isme
is tarah se apni aatma apne rooh ko daagh laga ke bhi hum khud ko doshi nahi maante
imaan ke itne kamzor ho jate hain ki sachhai aur achaayi dono se nafrat hain karte
hume lagta hai ye zindagi hamari hum jo chahe iske saath karen koi kyun bole hume
lekin bhool jate hain ki ye tan humne nahi banaya ye bhagwaan ka vo ramta isme
samaaj ke samajik uthaan ki atyant haani hoti hai isme
jhooth aur sirf jhooth,dagha dene ki pravatti badhti isme
jane anjane hum samaaj ko behad kharab mahaul dete hain
kahne ko vikaas karte hain par vaastavikta me pichhadte hain
chunki isme mainly shareerik sukh hetu hi yuvak yuvtiyan judte hain
islie bahut jaldi hi vo aur anad uthane ke lie nayi talaash me lagte hain
live in relation ki buniyaad me phir vohi kumakl ki baat aati hai
jisme logon ko tan hi mukhya hai jeevan me budhi ye batlaati hai
vivek ka saath na hone ki vajah se unhe sahi ghalat ka kuch bhaan nahi hota
samaaj bhaad me jaye mera jeevan mere lie bus yehi vichaar hai thharta
vastuvadita aur vaasna patanonmukh hain karti bhoole se vichaar ye nahi aata
rishton me nahi rishton ki gahrayi hoti rishta,nibhana nahi unhe banana hi aata
is tarah se jab humne antarman se kisi ke bhale ke lie nahi socha hume andhera milta hai
jab doosre ke tan ko dekhke tan me hi sukh dhoondha baad rah rah aisa insaan ghutta hai

jago vaqt jaagne ka kabhi khatm nahi hota
niklo is paap se ki punya ka hi har vaqt hota
dekho subah ka suraj kitna tej lie hai
samjho anand shreer me nahi parmanand me hai
apne dharm apne mazhab ke hisaab se chalo uski neetiyun ko maano
samaaan baat kahta har dharm,khud ko bus ujaalon ko saunpo
khud ko dhoka deke dhoke ka rishta banaya badle me vafa chahte ho
is tarah se khu ko khokhla karte hue samaaj ko bhi khokhla karte ho
socho kya mila tumhe tumhare mata pita ko
swayam ko isme uljhake kya mila aakhir tumko
chaar din to bahut ache kaate phir dard ka silsila
dhokha dekar tumne doosre ko kum khud ko adhik barbaad kia
socho apne ko dhoka deke kya tumhe shanti kabhi mil payegi
kaamna tumhe vishwaas ki apne jeevansaathi se kaise mil payegi
apne milne julne valonko sharmsaar kia khud ko badnaam kia
ye behayayi hai jo sochte ho is tarah se mera naam hua
samaajme panap rahe is daadh ka hissa mat bano
tarakki ke lie harhiz zaruri nahi, isme mat pado
jis tarah bhi man khud koiski raah dikhata hai use samjhao
zindagi me nirbheekta ko pramukhta do sadachaar apnaao



Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:35:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.08 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer