Maa Meree Mat Maar Mujhe Too

by NETRAPAL on May 21, 2009, 05:06:07 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1446 times)
NETRAPAL
Guest
Reply with quote

aaj ke aadhunik yug me baalikaaye kis tarah se path-bhrast hokar us mukaam me pahuch jaatee hai jahaa pachtaave or mot me shivaa kuch bhee nahi hai....issee par kuch likhne kee koshish har agar kalam se kahee chook hooyee yaa kisee ko bura lage to mafee chataa hoo par aap sab se nivedan hai kee apanee bat kahe jaroor..

-----
Maa meree mat maar mujhe too
Vintee ab  ye  maan meree too
Teree kokh me  paltee hoo mai
Ansh  tere  se   jeetee hoo mai
Dushman meree mat ban Maa too
Maa meree mat maar mujhe too

Tab khel khel me khelee thee too
Mad me yowan ke jhoolee thee too
Nasha aisaa tha joban kaa tujh par
Lok laaj sab bhool gayee  too..
Maa meree mat mar muje too

Mai jab  teree kokh me  aayee
Sudh tujhko   apnee tab aayee
Chup chup kar ab rotee kyo hai
Apnaa paap chipatee kyoo hai
Mujhko bhojh samjhtee ab too
Maa meree mat maar mujhe too

Kal piyaa sang ghar jayegee
Bagiya teree  bas jayegee
Tap tap tapkenge ansoo tab tere
Yaad meree jab tujhko aayegee
Maan le apnee karnee ab too
Maa meree mat maar mujhe too

Dartee mujse kyon too maa hai
Vadh meraa chatee kyon too hai
Mai to prabhu nij chalee jaaungee
Lot ke vaapas fir aaoongee,
Apne aap se bhag rahee too
Maa meree mat maar mujhe too

21s wee shade me pahooch gayee too
Such suvidhaa me dub gaye  too
Nashaa ajab chaayaa hai kaisaa
Maryaadaa sab bhool gaye too
Tab caltee thee muh kar apne ko
Ek thokar me gir padee too
Maa meree mat maar mujhe too



Netra…..

Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #1 on: May 21, 2009, 09:33:08 AM »
Reply with quote
lagtaa hai kahi mai galtee kar gayaa...

Netra....
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: May 21, 2009, 02:32:21 PM »
Reply with quote

aaj ke aadhunik yug me baalikaaye kis tarah se path-bhrast hokar us mukaam me pahuch jaatee hai jahaa pachtaave or mot me shivaa kuch bhee nahi hai....issee par kuch likhne kee koshish har agar kalam se kahee chook hooyee yaa kisee ko bura lage to mafee chataa hoo par aap sab se nivedan hai kee apanee bat kahe jaroor..

-----
Maa meree mat maar mujhe too
Vintee ab  ye  maan meree too
Teree kokh me  paltee hoo mai
Ansh  tere  se   jeetee hoo mai
Dushman meree mat ban Maa too
Maa meree mat maar mujhe too

Tab khel khel me khelee thee too
Mad me yowan ke jhoolee thee too
Nasha aisaa tha joban kaa tujh par
Lok laaj sab bhool gayee  too..
Maa meree mat mar muje too

Mai jab  teree kokh me  aayee
Sudh tujhko   apnee tab aayee
Chup chup kar ab rotee kyo hai
Apnaa paap chipatee kyoo hai
Mujhko bhojh samjhtee ab too
Maa meree mat maar mujhe too

Kal piyaa sang ghar jayegee
Bagiya teree  bas jayegee
Tap tap tapkenge ansoo tab tere
Yaad meree jab tujhko aayegee
Maan le apnee karnee ab too
Maa meree mat maar mujhe too

Dartee mujse kyon too maa hai
Vadh meraa chatee kyon too hai
Mai to prabhu nij chalee jaaungee
Lot ke vaapas fir aaoongee,
Apne aap se bhag rahee too
Maa meree mat maar mujhe too

21s wee shade me pahooch gayee too
Such suvidhaa me dub gaye  too
Nashaa ajab chaayaa hai kaisaa
Maryaadaa sab bhool gaye too
Tab caltee thee muh kar apne ko
Ek thokar me gir padee too
Maa meree mat maar mujhe too



Netra…..

Netra ji, I am unable to answer. While reading, some of your lines
really touched my heart. Bahut accha hi likha hai aapne.

Kahi galat nazer nahi aayi. Wonderful  Clapping Smiley
Logged
vitasta
Guest
«Reply #3 on: May 21, 2009, 03:00:15 PM »
Reply with quote
excellent work netra ji Usual Smile
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #4 on: May 21, 2009, 03:13:45 PM »
Reply with quote
Mindblowing.. Fantastic Poetry Netra Ji.. bahoot bahoot khoob likha hai..
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #5 on: May 22, 2009, 03:45:36 AM »
Reply with quote
thanks roja ji,

mai to dar raha tha shayad is trah se likhnaa logo ko pasand nahi ayegaa....

Netra...
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #6 on: May 22, 2009, 03:46:19 AM »
Reply with quote
excellent work netra ji Usual Smile

thanks vitasta ji,

Netra...
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #7 on: May 22, 2009, 03:47:17 AM »
Reply with quote
Mindblowing.. Fantastic Poetry Netra Ji.. bahoot bahoot khoob likha hai..

Thanks sophi ji,

for reply...

Netra...
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #8 on: May 22, 2009, 12:15:59 PM »
Reply with quote
is kadar bigde jamaane ko kyaa kahoo
khurdare samaaj kee tasveer ko kyaa kahoo
dekh kar bhee anjaan ban raheho tum
tumhaaree ankho kee tareef me mai kyaa kahoo..

Netra.....
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #9 on: May 22, 2009, 12:40:01 PM »
Reply with quote

jaraa see aahat se gabraa gaye
najar bachaa ke yooo nikal gaye
daldal ko beh -andekha karne lage
jaraa panv fislaa kee dshane lege


apne aap se jo najar churaaoge
tanik bhee n sambhal paaoge
chand lmho kaa kee prkaash hai ye
gar bhate to andhkaare me doob jaaoge

waah re vikaas ke daanav
tum ye kaisaa vikaas kar gye
tum to hame hasaane aye the
apne majak se hame hee rulaa gaye..

Netra..


Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: May 22, 2009, 12:57:40 PM »
Reply with quote
Netra Bhai, Wakhai Kabeel-e-tareef Hai Ye Peshkash Aapki, Subhan Allah,.
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #11 on: May 23, 2009, 03:44:12 AM »
Reply with quote
shukriya ajeem bhaayee...

Netra....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: May 23, 2009, 12:04:23 PM »
Reply with quote
shukriya ajeem bhaayee...

Netra....

Yunhi LIkhte Rahiye Bhai,.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:14:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer