Maa-Baap (Zameen Par Rehne Wale Khuda)

by khwaish on January 12, 2009, 02:45:15 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 5817 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote

Yeh Poetry Ek Pukaar Hai,Ek Awaaz Hai,Jo Main Chaahta Hoon Ke Har Insaan Tak Pahunche...


Saans Bhi Toothti Nahi Uss Beemar Ki,
Sukoon Ki Maut Bhi Naseeb Nahi Usse,
Kya Likhu Main Halaat Uss Lachaar Ki...

Jab Tak Woh Chalta-Firta Tha,
Apna Bhoj Khud Hi Sambhaaltha Tha,
Aaj Bistar Hi Uska Aakhri Humsafar Hai,
Aaj Khoob Inaam Mila Hai Usse,
Apne Bacho Ko Diye Hue Sanskaar Ki....

"KHwaish" Jo Insaan Apne Maa-Baap Ka Na Ho Saka,
Woh Kissi Aur Se Kya Waffa Nibhayeega,
Maa-Baap To Ghar Ki Chhat Ki Tarah Hai,
Chhat hi na ho to Unchaiyon se Kya Haasil,
Bin Chat Ke Kya Aukat Hai Khade Hue Deewar Ki.....

De Rahi Hai Dastak Samay Ki Ghantiya,
Keh Rahi Hai Ab Baat Ho Angaar Ki....

Agar Humein Apne Buzaurgo Ki Izzat Karne Na Aaye,
To Hum Besharam,Bedil,Be-imaan Hai,
"Khwaish" Ke Haath mein aaj Kalam Nahi,
"khwaish" aaj Lekhni Likh Raha Hai Talwaar Ki....

Aaj Hum Jo apne Maa-Baap Ke Saath Kar Rahe Hai,
Kal Humare Bache Humare Saath Karenge,
Ab Ghadi Aa Gayi Hai GURU NANAK ke Diye hue Upchaar Ki...

Jiske Paas Ho Apne Maa-Baap Ke Pyaar Ki Daulat,
Usne To Yeh Jag Jeeta,
Usse Kya Zaroorat Kisi Aur Auzaar Ki....

"Khwaish" Ne Kuch Galat Kaha Ho To Usse Muaf Kar Dena,
Woh To Bas Chahhta Hai Ke Umar Puri Ho Iss Andhaiyaar Ki......
     --Khwaish-- 


       
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khuda our baap by Bhavesh in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
Ye Dil Mein Rehne Wale Dil Se Nahin Nikalte by Pushkar_singh in Shayri-E-Dard
Taare Zameen Par - Lyrics/Album Name: TAARE ZAMEEN PAR by honeyrose in Songs & Lyrics
khuda ko zameen par .................... by SURESH SANGWAN in Share:Miscellaneous Shayari
PAAON MERE ZAMEEN PE REHNE DO.....,Hasan by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: January 12, 2009, 04:09:41 PM »
Reply with quote
Bohat Khoob Khwaish...... Clapping Smiley
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: January 12, 2009, 04:32:42 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

APNE BAHOOT SAHI LIKHA HAI Khwaish ji... yah do line dil ko bahoot ander tak chu gai hai:

De Rahi Hai Dastak Samay Ki Ghantiya,
Keh Rahi Hai Ab Baat Ho Angaar Ki....
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #3 on: January 12, 2009, 11:49:35 PM »
Reply with quote
Waah bohot khoob khwaish ji bohot khoob...
Aap ka jazba qabil-e-tareef hai.

Maa-baap ki khidmat kar ke insaan farz ada karta he, koi ehsaan nahi karta, phir bhi badle mien unki duaaen miti hai, jab unhon ne hamari khidmat ki tab ham dua to kya ek muskaan dene ke bhi qabil nahi the, aysi be-gharz muhabbat or be-misaaal qurabaani sirf maa-baap hi de sakte hain, allah hamen unki qadar ki tawfeeq de..aameen.
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: January 13, 2009, 02:21:39 AM »
Reply with quote
Waaah wah... Bahut khoob khwaish ji... bahut accha
likha hai aapne
Logged
cara
Guest
«Reply #5 on: January 13, 2009, 03:37:35 AM »
Reply with quote
kya baat hai.......khwaishji....

jab tak maa-baap hai ghar pe,majboot hai ghar apna,
maa-baap jaane ke baad,bin shath ka ghar lagta hai apna.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: January 13, 2009, 05:14:31 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause
Wah bohat khoob khwaish ji...
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #7 on: January 13, 2009, 05:33:25 AM »
Reply with quote

Yeh Poetry Ek Pukaar Hai,Ek Awaaz Hai,Jo Main Chaahta Hoon Ke Har Insaan Tak Pahunche...


Saans Bhi Toothti Nahi Uss Beemar Ki,
Sukoon Ki Maut Bhi Naseeb Nahi Usse,
Kya Likhu Main Halaat Uss Lachaar Ki...

Jab Tak Woh Chalta-Firta Tha,
Apna Bhoj Khud Hi Sambhaaltha Tha,
Aaj Bistar Hi Uska Aakhri Humsafar Hai,
Aaj Khoob Inaam Mila Hai Usse,
Apne Bacho Ko Diye Hue Sanskaar Ki....

"KHwaish" Jo Insaan Apne Maa-Baap Ka Na Ho Saka,
Woh Kissi Aur Se Kya Waffa Nibhayeega,
Maa-Baap To Ghar Ki Chhat Ki Tarah Hai,
Chhat hi na ho to Unchaiyon se Kya Haasil,
Bin Chat Ke Kya Aukat Hai Khade Hue Deewar Ki.....

De Rahi Hai Dastak Samay Ki Ghantiya,
Keh Rahi Hai Ab Baat Ho Angaar Ki....

Agar Humein Apne Buzaurgo Ki Izzat Karne Na Aaye,
To Hum Besharam,Bedil,Be-imaan Hai,
"Khwaish" Ke Haath mein aaj Kalam Nahi,
"khwaish" aaj Lekhni Likh Raha Hai Talwaar Ki....

Aaj Hum Jo apne Maa-Baap Ke Saath Kar Rahe Hai,
Kal Humare Bache Humare Saath Karenge,
Ab Ghadi Aa Gayi Hai GURU NANAK ke Diye hue Upchaar Ki...

Jiske Paas Ho Apne Maa-Baap Ke Pyaar Ki Daulat,
Usne To Yeh Jag Jeeta,
Usse Kya Zaroorat Kisi Aur Auzaar Ki....

"Khwaish" Ne Kuch Galat Kaha Ho To Usse Muaf Kar Dena,
Woh To Bas Chahhta Hai Ke Umar Puri Ho Iss Andhaiyaar Ki......
     --Khwaish-- 


       

Subhan Allah Mere Bhai Allah tumhe Khuesh rakhe kya likha hai yaar !!

Qadeer Toopchi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: January 13, 2009, 04:39:53 PM »
Reply with quote
Subhan Allah Mere Bhai Allah tumhe Khuesh rakhe kya likha hai yaar !!

Qadeer Toopchi

Ameen!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 13, 2009, 06:03:07 PM »
Reply with quote
Bohat Khoob Khwaish...... Clapping Smiley

Teh Dil Se Shukriya Sajid Bhai Aapka..
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #10 on: January 13, 2009, 06:06:59 PM »
Reply with quote
Bahut umda likha hai aap ne Khwaish Ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: January 13, 2009, 06:09:12 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause

APNE BAHOOT SAHI LIKHA HAI Khwaish ji... yah do line dil ko bahoot ander tak chu gai hai:

De Rahi Hai Dastak Samay Ki Ghantiya,
Keh Rahi Hai Ab Baat Ho Angaar Ki....


Bahut Bahut Shukriya Pooja..Aapne Hamesha Hausle Badhaaya Hai
par aap bhi kuch likhte to Mujhe Behad Khushi Hoti...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: January 13, 2009, 07:16:41 PM »
Reply with quote
Waah bohot khoob khwaish ji bohot khoob...
Aap ka jazba qabil-e-tareef hai.

Maa-baap ki khidmat kar ke insaan farz ada karta he, koi ehsaan nahi karta, phir bhi badle mien unki duaaen miti hai, jab unhon ne hamari khidmat ki tab ham dua to kya ek muskaan dene ke bhi qabil nahi the, aysi be-gharz muhabbat or be-misaaal qurabaani sirf maa-baap hi de sakte hain, allah hamen unki qadar ki tawfeeq de..aameen.


Teh Dil Se Shukriya Randeri Saheb Aapka...

Aapne sach kaha aur Bahut Dil Ko choone wali Baat Kahi,
Hum Chaahe Kuch Bhi Ho, Par Apne Maa-Baap ki Hum Parchai Bhi Hum Nahi Ban Sakte.
Yeh Poetry Ek Khaas Maqsad Ke Liye Likhi Gayi Thi..Aap Sab ne Isse Saraha..
Bahut Bahut Shukriya..
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #13 on: January 13, 2009, 07:28:10 PM »
Reply with quote
bahut umda khwaish ji.
Logged
Asghr
Guest
«Reply #14 on: January 14, 2009, 01:03:13 AM »
Reply with quote
LOVELY POETRY JANAB.ASGHR Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:50:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.167 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer