Maut SHAYRI ki.....(Ghayel)

by sajid_ghayel on November 16, 2008, 02:09:12 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 5655 times)
sajid_ghayel
Guest
Reply with quote
Jis tarah ke haalt is daur me urdu shayri ke hain us par 4 line aapki nazar kar raha hu ummed karta hu pasand aaye. Aap bhi apni taraf se kuch zaroor likhe isme.



Bade bure shayri ke haalat nazar aate hain
Mushairo me sunne walo se ziyada sher sunane wale nazar aate hain
Yu to zamana hua maut aa gayee shayri ko ghayel
Chalo aaj hum bhi apni kalam ko dafna aate hain

                                 -sg-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~Maut ke baad maut~ by Tosha in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
AE MAUT KAASH TUJHE BHI KABHI AA JAATI MAUT... by diya786 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
MERI SHAYRI BURI.........(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
SHAYRI SE PYAAR KARTE HAIN....(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
shayri after daru.......(ghayel) by sajid_ghayel in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2 3 4 5 »
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: November 16, 2008, 06:47:46 PM »
Reply with quote
bura hain to yaro bura kaho
shayri ki laj rakh lo kabhi to sach kaho
yeh 4 layne nahi mera dil thi
is tarah bazme mehfil na beizzat karo
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #2 on: November 16, 2008, 07:49:20 PM »
Reply with quote

khusro se paida hui, galib pe rahi sawar,
iqbaal, hasrat jaipuri aur abhi guljaar,
sajid, prateek, mahiya, pooja, talat aur BEKARAR,
sada jawan hai, mar na sakega, shayri ka khumaar, Usual Smile
 
Logged
peera4u
Guest
«Reply #3 on: November 17, 2008, 06:18:20 AM »
Reply with quote
  Applause  Applause nice one sajid ji

Dil me dard aur haton me khalam le aye,
Yo-india me na jane kitane gayal aye,
Jis ki mohabbat me bane the shayar,
Uss ki diye huwe tohfe dafna aye.....
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: November 17, 2008, 08:35:24 AM »
Reply with quote
khusro se paida hui, galib pe rahi sawar,
iqbaal, hasrat jaipuri aur abhi guljaar,
sajid, prateek, mahiya, pooja, talat aur BEKARAR,
sada jawan hai, mar na sakega, shayri ka khumaar, Usual Smile
 

Wah kya baat hain khuda tumhari zuban mubarak kare aur is dua ko kabool kare ammeen. Lekin mere dost yeh to tumhari mohabbat hain jo tumne itne bade logho me mere jaise adna shayer ka nam likh diya warna hum is kabil kaha.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: November 17, 2008, 08:39:16 AM »
Reply with quote
  Applause  Applause nice one sajid ji

Dil me dard aur haton me khalam le aye,
Yo-india me na jane kitane gayal aye,
Jis ki mohabbat me bane the shayar,
Uss ki diye huwe tohfe dafna aye.....
Bohat khoob peera  Clapping Smiley shandar jawab
Logged
MHussain
Guest
«Reply #6 on: November 17, 2008, 01:41:12 PM »
Reply with quote
kehte to tteek hi ho ghayel ke wakt bura hai shairi ka
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: November 17, 2008, 02:41:32 PM »
Reply with quote
Jis tarah ke haalt is daur me urdu shayri ke hain us par 4 line aapki nazar kar raha hu ummed karta hu pasand aaye. Aap bhi apni taraf se kuch zaroor likhe isme.



Bade bure shayri ke haalat nazar aate hain
Mushairo me sunne walo se ziyada sher sunane wale nazar aate hain
Yu to zamana hua maut aa gayee shayri ko ghayel
Chalo aaj hum bhi apni kalam ko dafna aate hain

                                 -sg-


Apni Apni Soch Hai Sajid Saheb, humein to aisa nahi lagta!!

Logged
Shikha12
Guest
«Reply #8 on: November 17, 2008, 04:38:28 PM »
Reply with quote
Jis tarah ke haalt is daur me urdu shayri ke hain us par 4 line aapki nazar kar raha hu ummed karta hu pasand aaye. Aap bhi apni taraf se kuch zaroor likhe isme.



Bade bure shayri ke haalat nazar aate hain
Mushairo me sunne walo se ziyada sher sunane wale nazar aate hain
Yu to zamana hua maut aa gayee shayri ko ghayel
Chalo aaj hum bhi apni kalam ko dafna aate hain

                                 -sg-


Bahut Sahi aur Bahut khoob.. Thumbs UP

Lekin, Sajid ji.. Kalam beshak dafna dijiye! Keyboard ko yaad rakhiyega... Likhiye beshak nahin kaagaz par, Type karke humare email par post kar diya kijiyega.. Laughing hard

Logged
Shikha12
Guest
«Reply #9 on: November 17, 2008, 04:40:29 PM »
Reply with quote
khusro se paida hui, galib pe rahi sawar,
iqbaal, hasrat jaipuri aur abhi guljaar,
sajid, prateek, mahiya, pooja, talat aur BEKARAR,
sada jawan hai, mar na sakega, shayri ka khumaar, Usual Smile
 


Sanjeev ji... Kaha baitha diya aapne...  Shocked Even More
Itne unche unche naamo mein, hamara naam..  Shocked Even More Yeh toh kabhi na poora hone waala sapna dikha diya aapne..

Bahut khoobsurat Sapna hai.. Sanjeev Ji.. Usual Smile  Applause
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #10 on: November 17, 2008, 04:41:55 PM »
Reply with quote
  Applause  Applause nice one sajid ji

Dil me dard aur haton me khalam le aye,
Yo-india me na jane kitane gayal aye,
Jis ki mohabbat me bane the shayar,
Uss ki diye huwe tohfe dafna aye.....


Kya baat hai.. Bahut khoob Peera Ji.. Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: November 17, 2008, 04:52:50 PM »
Reply with quote
Jis tarah ke haalt is daur me urdu shayri ke hain us par 4 line aapki nazar kar raha hu ummed karta hu pasand aaye. Aap bhi apni taraf se kuch zaroor likhe isme.



Bade bure shayri ke haalat nazar aate hain
Mushairo me sunne walo se ziyada sher sunane wale nazar aate hain
Yu to zamana hua maut aa gayee shayri ko ghayel
Chalo aaj hum bhi apni kalam ko dafna aate hain

                                 -sg-


na hue hai Mout, na hogi kabhi mout shayri ki
mana ki tasveer badal gai bahoot, is shayri ki
likha karte the kabhi ibaadat ki tarah jo shayri
ajj sadak chap ashiko ke hatho shakal badal gai shyri ki...

Phir bhi hai kuch, jinke sir per shayri ajj zinda hai
magar kaha ajj wo rat-o-mehfil zinda hai
duniadaari mai he dab kar rah gai, rooh shayri ki
Magar.. na hue hai Mout, na hogi kabhi mout shayri ki
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: November 17, 2008, 04:56:53 PM »
Reply with quote
khusro se paida hui, galib pe rahi sawar,
iqbaal, hasrat jaipuri aur abhi guljaar,
sajid, prateek, mahiya, pooja, talat aur BEKARAR,
sada jawan hai, mar na sakega, shayri ka khumaar, Usual Smile
 


 DOH ab apse kaya kahein...
husro, galib, iqbaal, hasrat jaipuri aur guljaar,
iske agge likh kar mera naam, apne to kar diya mujhko bekarar
jo likhati hu wo bhi likhne main ab sharm bahoot aayegi
in sab namo ke sath kaise likhe ab Pooja, kalam bahoot ghabrayegi  Crying
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: November 17, 2008, 04:57:35 PM »
Reply with quote
  Applause  Applause nice one sajid ji

Dil me dard aur haton me khalam le aye,
Yo-india me na jane kitane gayal aye,
Jis ki mohabbat me bane the shayar,
Uss ki diye huwe tohfe dafna aye.....

bahoot khoob Peera ji
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #14 on: November 18, 2008, 08:06:01 AM »
Reply with quote
Apni Apni Soch Hai Sajid Saheb, humein to aisa nahi lagta!!


Aapki soch ki ghayel izzat karta hain aur khuda se dua karta hain ke woh aapko sahi aur muje galat sabit karde ''aameen''
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:18:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer