Meri arzoo pe hasna.........(Ghayel)

by sajid_ghayel on December 23, 2008, 07:12:56 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3807 times)
sajid_ghayel
Guest
Reply with quote
Meri aarzoo pe hasna teri aadat si ban gayee hain
Humsafar ho lekin door door chalna teri aadat si ban gayee hain

Meri wafa pe tujko yakeen to hain lekin
Mera imtihan lena teri aadat si ban gayee hain

Na meri koi khata hain na tujko koi gila hain
Besabab shikayat karna teri aadat si ban gayee hain

Na mere sher bure hain na tuje shayri se nafrat
GHAYEL ki ghazlo ko bura kehna teri aadat si ban gayee hain

                                                                                                                     -SAJID GHAYEL-

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MERI SHAYRI BURI.........(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
MERE LABO SE MERI..........(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Meri MA tujhe............(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish
Meri seerat mange.....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri-E-Dard
Meri behna tu meri daulat hai.........( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Occassion Specific Poetry
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #1 on: December 23, 2008, 08:35:49 AM »
Reply with quote
are are saajid ji ye kissse shikayat kar rahe hain
kisne ki ye gustaakhi ye kehne ki ki aapki shayri buri hai tongue3
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #2 on: December 23, 2008, 08:51:59 AM »
Reply with quote
Sajid

Bahut khoob !

Bhawna ne sahi kaha hai...kis se shikayat kar rahe ho bhai? tongue3
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: December 23, 2008, 08:54:16 AM »
Reply with quote
Waise to kisi ne bura nahi kaha ghayel ko
Aur kehta bhi to sach kehne pe rok nahi
Bas ek tumse tareef sunne ka muntazir rehta hu
Iske alawa muj gareeb shayer ke koi shauk nahi
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #4 on: December 23, 2008, 08:59:01 AM »
Reply with quote
Waise to kisi ne bura nahi kaha ghayel ko
Aur kehta bhi to sach kehne pe rok nahi
Bas ek tumse tareef sunne ka muntazir rehta hu
Iske alawa muj gareeb shayer ke koi shauk nahi


waah waah kya khoob likha ghayel ji  Usual Smile
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: December 23, 2008, 09:23:40 AM »
Reply with quote

waah waah kya khoob likha ghayel ji  Usual Smile

Khoob kaha hota to tum bhi jawab dete
Lafzo ko banake shayri tum bhi jawab dete
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #6 on: December 23, 2008, 09:30:00 AM »
Reply with quote
hua tazzub hamei sunkar k tu dhoda deewana hai
kiya ghayel tujhe kisi ne par shayri ka teri ghayel zamana hai
   Usual Smile  Usual Smile  Usual Smile 
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #7 on: December 23, 2008, 09:33:22 AM »
Reply with quote
Khud banate hain deewana aur khudhi tajjub bhi karte hain
Kar ke ghayel muje woh sangdil mere zakhmo ki tareef karte hain
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #8 on: December 23, 2008, 09:37:23 AM »
Reply with quote
Khud banate hain deewana aur khudhi tajjub bhi karte hain
Kar ke ghayel muje woh sangdil mere zakhmo ki tareef karte hain


na dei ilzaam k meine tujhe ghayel banaya hai
kho kar pyaar mei khud ko tabhi to tera pyaar paaya hai
  tongue3 tongue3
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: December 23, 2008, 09:40:16 AM »
Reply with quote
Nice One,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #10 on: December 23, 2008, 09:45:31 AM »
Reply with quote
na dei ilzaam k meine tujhe ghayel banaya hai
kho kar pyaar mei khud ko tabhi to tera pyaar paaya hai
  tongue3 tongue3

Kash tune kabhi humko aazmaya hota
Paaya sabkuch tune mera pyaar bhi paaya hota
Jhoot hain tera dava ke tu mera hain
Tu mera hota to ghayel tujme nazar aaya hota
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #11 on: December 23, 2008, 10:31:16 AM »
Reply with quote
Meri aarzoo pe hasna teri aadat si ban gayee hain
Humsafar ho lekin door door chalna teri aadat si ban gayee hain

Meri wafa pe tujko yakeen to hain lekin
Mera imtihan lena teri aadat si ban gayee hain

Na meri koi khata hain na tujko koi gila hain
Besabab shikayat karna teri aadat si ban gayee hain

Na mere sher bure hain na tuje shayri se nafrat
GHAYEL ki ghazlo ko bura kehna teri aadat si ban gayee hain

                                                                                                                     -SAJID GHAYEL-





Uhhhu Uhhhhu..

Logged
diya786
Guest
«Reply #12 on: December 23, 2008, 10:43:59 AM »
Reply with quote
Meri aarzoo pe hasna teri aadat si ban gayee hain
Humsafar ho lekin door door chalna teri aadat si ban gayee hain

Meri wafa pe tujko yakeen to hain lekin
Mera imtihan lena teri aadat si ban gayee hain

Na meri koi khata hain na tujko koi gila hain
Besabab shikayat karna teri aadat si ban gayee hain

Na mere sher bure hain na tuje shayri se nafrat
GHAYEL ki ghazlo ko bura kehna teri aadat si ban gayee hain

                                                                                                                     -SAJID GHAYEL-



Bahut khoob Sajid sahab Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut accha likha hai aapne

Tha kasoor mera jo tumhe na jaana maine
aaj tumse door hokar tumhe pehchaana maine
mohabaat mujhe bhi hai tumse magar
is "kashish" ko dil mein chupaya maine

Logged
gunehgaar
Guest
«Reply #13 on: December 23, 2008, 10:55:06 AM »
Reply with quote
ji bahat bahat sukriya galtiya sudharne k liye... aur ek baar sukriya hosla aafjai k liye...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: December 23, 2008, 01:38:42 PM »
Reply with quote
Meri aarzoo pe hasna teri aadat si ban gayee hain
Humsafar ho lekin door door chalna teri aadat si ban gayee hain

Meri wafa pe tujko yakeen to hain lekin
Mera imtihan lena teri aadat si ban gayee hain

Na meri koi khata hain na tujko koi gila hain
Besabab shikayat karna teri aadat si ban gayee hain

Na mere sher bure hain na tuje shayri se nafrat
GHAYEL ki ghazlo ko bura kehna teri aadat si ban gayee hain

                                                                                                                     -SAJID GHAYEL-



Nice One Bhai,.

Jaane Kyun Tujhe Mujhse Gumaan Rehta Hai "Sajid,.
Main To Roya Tha Bohat, Tujhpar Muskuraane Ke Baad,.

Aarzooyein Teri Sab Poori Ho, To Khushi Mujhe Bhi Hogi,.
Maine Duaaon Ke Liye Haath Uthaaye The Tere Jaane Ke Baad,.

Aaj Kar Jee Bhar Ke, Meri Shikaayetein Sabse Tu "Sajid",.
Lekin Mujhe Kehna Zaroor Aana, Teri Aarzoo Poori Hojaane Ke Baad,.

___________________________________-Jaanasheen-
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:19:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer