Meri arzoo pe hasna.........(Ghayel)

by sajid_ghayel on December 23, 2008, 07:12:56 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3808 times)
cara
Guest
«Reply #15 on: December 23, 2008, 04:25:59 PM »
Reply with quote
Meri aarzoo pe hasna teri aadat si ban gayee hain
Humsafar ho lekin door door chalna teri aadat si ban gayee hain

Meri wafa pe tujko yakeen to hain lekin
Mera imtihan lena teri aadat si ban gayee hain

Na meri koi khata hain na tujko koi gila hain
Besabab shikayat karna teri aadat si ban gayee hain

Na mere sher bure hain na tuje shayri se nafrat
GHAYEL ki ghazlo ko bura kehna teri aadat si ban gayee hain

                                                                                                                     -SAJID GHAYEL-[/c

bhut hi badiye likha hai apne gayelji.....

lagta koi apke sapne poore hote dekhna pasand nahin karta,
aur who aap hi ke line ka hai, bagar wajhe apki shikayate karta raheta hai,aur shayari ka kaderdan hote hue bi, apke shero ko bura kahete raheta hai.



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MERI SHAYRI BURI.........(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
MERE LABO SE MERI..........(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Meri MA tujhe............(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish
Meri seerat mange.....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri-E-Dard
Meri behna tu meri daulat hai.........( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Occassion Specific Poetry
sajid_ghayel
Guest
«Reply #16 on: December 23, 2008, 05:34:39 PM »
Reply with quote


Uhhhu Uhhhhu..


Tumhara reply dekhkar aisa laga BLACK film ki rani mukherjee ne dad di hain  DOH

Bahut khoob Sajid sahab Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut accha likha hai aapne

Tha kasoor mera jo tumhe na jaana maine
aaj tumse door hokar tumhe pehchaana maine
mohabaat mujhe bhi hai tumse magar
is "kashish" ko dil mein chupaya maine



Ab kaha der hui hain laut aao tum
Yeh bahe kabse muntazir hain laut aao tum
Tere iqrare mohabbat ne bechain kar diya
Isse pehle ke mar jaye GHAYEL khushi se laut aao tum


Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #17 on: December 23, 2008, 05:40:43 PM »
Reply with quote
Nice One Bhai,.

Jaane Kyun Tujhe Mujhse Gumaan Rehta Hai "Sajid,.
Main To Roya Tha Bohat, Tujhpar Muskuraane Ke Baad,.

Aarzooyein Teri Sab Poori Ho, To Khushi Mujhe Bhi Hogi,.
Maine Duaaon Ke Liye Haath Uthaaye The Tere Jaane Ke Baad,.

Aaj Kar Jee Bhar Ke, Meri Shikaayetein Sabse Tu "Sajid",.
Lekin Mujhe Kehna Zaroor Aana, Teri Aarzoo Poori Hojaane Ke Baad,.

___________________________________-Jaanasheen-


Beautiful reply Azeem hamesha ki tarah  Applause

Main khush hu teri ghazlo me mera nam to aaya
Jo mere kam ka na raha woh tere kam to aaya
     
                                       -SG-
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #18 on: December 23, 2008, 05:46:06 PM »
Reply with quote
bhut hi badiye likha hai apne gayelji.....

lagta koi apke sapne poore hote dekhna pasand nahin karta,
aur who aap hi ke line ka hai, bagar wajhe apki shikayate karta raheta hai,aur shayari ka kaderdan hote hue bi, apke shero ko bura kahete raheta hai.
[/quote]

Bohat bohat shukriya cara tareef ke liye. Nahi cara sab muje bohat izzat aur pyaar dete hain mere shero ko koi bura nahi kehta actually sab sabr karte hain  Giggle no just kidding
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: December 23, 2008, 06:42:23 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause

wah wah wah kaya baat hai.... SG JI, Bhawna and Jaanasheen bro kaya khoob likha hai app sabne .. bahoot khoob!! SG ji kamal ka likha hai apne to..

apki likhi kavita main se yah teen line to kamal ki lagi...

Humsafar ho lekin door door chalna teri aadat si ban gayee hain

Meri wafa pe tujko yakeen to hain lekin
Mera imtihan lena teri aadat si ban gayee hain
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #20 on: December 24, 2008, 12:15:23 AM »
Reply with quote
Wah! kya baat hai Ghayel Ji
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #21 on: December 24, 2008, 04:06:31 AM »
Reply with quote
Ghayal ji, bahut acche,bahut dino ke baad aapko padhne ka mauka fir mila.umda.

Jaansheen ji-behtareen jawaab thaa aapka.

Bhawna ji aur diya ji ne bhee bahut accha saath diya.

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #22 on: December 24, 2008, 07:15:19 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause

wah wah wah kaya baat hai.... SG JI, Bhawna and Jaanasheen bro kaya khoob likha hai app sabne .. bahoot khoob!! SG ji kamal ka likha hai apne to..

apki likhi kavita main se yah teen line to kamal ki lagi...

Humsafar ho lekin door door chalna teri aadat si ban gayee hain

Meri wafa pe tujko yakeen to hain lekin
Mera imtihan lena teri aadat si ban gayee hain


Bohat bohat shukriyaa Pooja yeh meri khusnasibi hain jo mera mamuli kalam tumhe pasand aaya.

Wah! kya baat hai Ghayel Ji

Shukriyaan Rajesh

Ghayal ji, bahut acche,bahut dino ke baad aapko padhne ka mauka fir mila.umda.

Jaansheen ji-behtareen jawaab thaa aapka.

Bhawna ji aur diya ji ne bhee bahut accha saath diya.



Thank you Prateek ji bas koshish kar raha hu ke kam se kam aap jaisa 30% shayer ban jaoo
Logged
1t
Guest
«Reply #23 on: December 24, 2008, 02:38:33 PM »
Reply with quote
VERY NICE SHAYARI,   GHAYAL SAHAB
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #24 on: December 24, 2008, 04:26:49 PM »
Reply with quote
Shukriya,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #25 on: December 25, 2008, 04:46:46 AM »
Reply with quote
VERY NICE SHAYARI,   GHAYAL SAHAB

Bohat shukriyaan 1t
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #26 on: December 26, 2008, 12:29:06 PM »
Reply with quote
Tumhara reply dekhkar aisa laga BLACK film ki rani mukherjee ne dad di hain  DOH

ha ha ha.. lekin daad kisne di, humne toh tazzub jataaya hai.. NaNaNa

Khair... Ab tareef bhi kar hi dete hai, Usual Smile
Bahut achha likha hai aapne Sajid Ji.. Applause
Logged
angel4u
Guest
«Reply #27 on: December 27, 2008, 12:47:52 PM »
Reply with quote
Meri aarzoo pe hasna teri aadat si ban gayee hain
Humsafar ho lekin door door chalna teri aadat si ban gayee hain

Meri wafa pe tujko yakeen to hain lekin
Mera imtihan lena teri aadat si ban gayee hain

Na meri koi khata hain na tujko koi gila hain
Besabab shikayat karna teri aadat si ban gayee hain

Na mere sher bure hain na tuje shayri se nafrat
GHAYEL ki ghazlo ko bura kehna teri aadat si ban gayee hain

                                                                                                                     -SAJID GHAYEL-



too good.. par ye kiya kisne aakhir???
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #28 on: December 27, 2008, 01:49:48 PM »
Reply with quote
too good.. par ye kiya kisne aakhir???


Soch to raha hu tumhi ko dedicate kar du phir dekhna sari female yo indians tumse naraz ho jayegi  Giggle
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #29 on: December 28, 2008, 12:01:34 PM »
Reply with quote
yaaro kisii qaatil se kabhii pyaar na maa.Ngo
apane hii gale ke liye talavaar na maa.Ngo

gir jaaoge tum apane masiihaa kii nazar se
mar kar bhii ilaaj-e-dil-e-biimaar na maa.Ngo

khul jaayegaa is tarah nigaaho.n kaa bharam bii
kaa.NTo.n se kabhii phuul kii mahakaar na maa.Ngo

sach baat pe milataa hai sadaa zahar kaa pyaalaa
jiinaa hai to phir jiine ke izahaar na maa.Ngo

us chiiz kaa kyaa zikr jo mumkin hii nahii.n hai
seharaa me.n kabhii saayaa-e-diivaar naa maa.Ngo

Qateel Shifai
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:44:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer