Mufleesi,.

by Jaanasheen on February 03, 2009, 07:54:11 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1674 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Mufleesi Kise Kehte Hain, Aao Dikhaaoon Tumhe,.
Gareebon Ka Khissa Aao, Sunaaoon Tumhe,.

Doston, Rab Ka Karam Hai Ke Rab Ne Hume Sab Kuch Diya, Phir Bhi Hum Uske Shukr Guzaar Nahi, Isliye Chalo, Gareebon Ka Ek Chota Khissa Suntaa Hoon, Jis Se Sab Ko, Lage Ke Wo KHush Hain, Rab Ne Unhe Jo Kuch Bhi Diya Us Se,.

Har Khwaaish Ko Hum Dil Mein Hi Maar Dete Hain,.
Gareeb Hain Kisi Ko Daulat Nahi, Bas Pyaar Dete Hain,.

Bheek Mangkar Hi Sahi, Kuch Karke Apne Bachchon Ko Hum Paalte Hain,.
Gandagi Samajhkar Log Hume, Samaajh Se Baaher Nikaalte Hain,.

Jab Mayyassar Hota Hai Khaana Hume, Khaake Khush Ho Jaate Hain,.
Kabhi Kabhi To "Doston, Hum Bhook Peat Hi So Jaate Hain,.

Ameeron Ka To Fashion Hai, Hazaaron Kapdon Par Lutaate Hain,.
Apna Naseeb To Dekho Yaron, Jism Bhi Phate Kapdon Se Chupaate Hain,.

Betiyaan Jab Apni Badi Hoti Hai,.
Musibat Sarpe Khadi Hoti Hai,.

Maang Kar Sabse Paise Hum Jamaaya Karte Hain,.
Badi Mushkil Se Betiyon Ki Doli Uthaaya Karte Hain,.

Kadam Kadam Par Zindagi Ke Hum Hazaaron Dukh Jhelte Hain,.
Hain Kuch Log Aise Bhi, Jo Hamaari Gareebi Se Khelte Hain,.

Chor Banta Hai Jab Beta Apna, Uski Majboori Ko Na Log Samajhte Hain,.
Betiyaan Jab Kaam Ko Jaaye, Log Ghoor Ghoor Kar Unhe Dekhte Hain,.

Ye Haqeeqat Hai Apni, Jis Se Sab Anjaan Hain,.
Gareeb Hain Hum, Majboor Hain Aur Bohat Pareshaan Hain,.



_________________________________________-Jaanasheen-




Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: February 03, 2009, 08:02:16 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Apne to rula diya lil bro... ek ek shabd suchai se bhara hua, ek ek line dard main bheegi... bahoot khoob , bahoot khoob!!!! Hamesh akhush raho....
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: February 03, 2009, 08:08:15 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Janasheen ...Main khana kha rahi thi...aur ab ek ek niwala bhaari lag raha hai ye padhne ke baad......Bohot Khoob.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: February 03, 2009, 08:12:44 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Apne to rula diya lil bro... ek ek shabd suchai se bhara hua, ek ek line dard main bheegi... bahoot khoob , bahoot khoob!!!! Hamesh akhush raho....

Shukriya Pooja Didi, Bas Rab Kisi Par Mufleesi Na Laaye,.

Bohot Khoob Janasheen ...Main khana kha rahi thi...aur ab ek ek niwala bhaari lag raha hai ye padhne ke baad......Bohot Khoob.
Maine Dekha Hain, In Logon KO Kareeb Se, Bohat Dukh Uthaate Hain Ye Log, Rab Inhe Aabaad Rakhe, Muflees Logon Ki, Har Zarurat Poori Kare Aameen,.

THank U Talat Didi,.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #4 on: February 03, 2009, 08:54:04 PM »
Reply with quote
Azeem bro,

Sach mein dil bhar aaya yeh padh kar!  Crying

Bahut acha likhte ho bro ! Applause Applause Applause

Keep going ! Thumbs UP
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 03, 2009, 09:03:35 PM »
Reply with quote
Azeem bro,

Sach mein dil bhar aaya yeh padh kar!  Crying

Bahut acha likhte ho bro ! Applause Applause Applause

Keep going ! Thumbs UP

Shukriya Bhaiya, Bas Aap Aashirwaad Dete Rahiye,.
Aur Khushi Hui, Ke Aapne Bhi Iski Sachchaai Ko Samjha,.

Thank U Brother
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #6 on: February 04, 2009, 01:02:58 AM »
Reply with quote
bahot achi nazam hai AZEEM, haqeeqat k faasanay koi bayaan karna aapse seehkay! har kahaani ko shabdon mein jodrna aata hai aapko, aur sachai bhi wo, jo rooh ko purzay purzay karjaatee hai! bahot ahcha lihka hai aapne. allah sab ka naigibaan hai, beyshuq rub bahot badra hai!

(HHHMMMMMMMM....)
Logged
k.shael
Guest
«Reply #7 on: February 04, 2009, 05:36:02 AM »
Reply with quote
 Applause  Applause  Applause   Clapping Smiley
Bahut Khoob likha Azeem Aapne,

Kya lafzo ka saath joda hai sach me ek sachayi ko dil me utar diya iss kalam ne,
Kuch likhne ka mann hai umeed hai pasand aayega,


Jaane kitni khawishe dil me daba di kyunki Gareeb ho mein,
Jaane kitne baatein sahii kyunki Gareeb ho mein,

Pyaar dena har kisi ko farz hai mera kyunki Gareeb ho mein,
Jhelni sabki bewafai aadat hai meri Kyunki Gareeb ho mein,

Ek jhooti roti ke niwale ke liye tadpana kyunki Gareeb ho mein,
Har pal uss apni aajadi se ladna kyunki Gareeb ho mein,

Amiroon ko khush rakhna kismat hai meri Kyunki Gareeb ho mein,
Unki khusi ke liye khud ko beijjat karna kyunki Gareeb ho mein.

Shally.
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #8 on: February 04, 2009, 07:17:39 AM »
Reply with quote
Mufleesi Kise Kehte Hain, Aao Dikhaaoon Tumhe,.
Gareebon Ka Khissa Aao, Sunaaoon Tumhe,.

Doston, Rab Ka Karam Hai Ke Rab Ne Hume Sab Kuch Diya, Phir Bhi Hum Uske Shukr Guzaar Nahi, Isliye Chalo, Gareebon Ka Ek Chota Khissa Suntaa Hoon, Jis Se Sab Ko, Lage Ke Wo KHush Hain, Rab Ne Unhe Jo Kuch Bhi Diya Us Se,.

Har Khwaaish Ko Hum Dil Mein Hi Maar Dete Hain,.
Gareeb Hain Kisi Ko Daulat Nahi, Bas Pyaar Dete Hain,.

Bheek Mangkar Hi Sahi, Kuch Karke Apne Bachchon Ko Hum Paalte Hain,.
Gandagi Samajhkar Log Hume, Samaajh Se Baaher Nikaalte Hain,.

Jab Mayyassar Hota Hai Khaana Hume, Khaake Khush Ho Jaate Hain,.
Kabhi Kabhi To "Doston, Hum Bhook Peat Hi So Jaate Hain,.

Ameeron Ka To Fashion Hai, Hazaaron Kapdon Par Lutaate Hain,.
Apna Naseeb To Dekho Yaron, Jism Bhi Phate Kapdon Se Chupaate Hain,.

Betiyaan Jab Apni Badi Hoti Hai,.
Musibat Sarpe Khadi Hoti Hai,.

Maang Kar Sabse Paise Hum Jamaaya Karte Hain,.
Badi Mushkil Se Betiyon Ki Doli Uthaaya Karte Hain,.

Kadam Kadam Par Zindagi Ke Hum Hazaaron Dukh Jhelte Hain,.
Hain Kuch Log Aise Bhi, Jo Hamaari Gareebi Se Khelte Hain,.

Chor Banta Hai Jab Beta Apna, Uski Majboori Ko Na Log Samajhte Hain,.
Betiyaan Jab Kaam Ko Jaaye, Log Ghoor Ghoor Kar Unhe Dekhte Hain,.

Ye Haqeeqat Hai Apni, Jis Se Sab Anjaan Hain,.
Gareeb Hain Hum, Majboor Hain Aur Bohat Pareshaan Hain,.



_________________________________________-Jaanasheen-






Subhan Allah SUbhan Allah m ere bhai !! kya nazam likhi hai tumne garibi ki awaz hai ye !! aur be sabab qarch karne wale un amiron ko bahoth umda tanz diya hai tumne mere bhai !! Allah tumhe khush rakhe !! Ameen !!

Qadeer Toopchi
Logged
salma786
Guest
«Reply #9 on: February 04, 2009, 07:26:00 AM »
Reply with quote
bahoot hi khoob Azeem ji Clapping Smiley
apki kavita padkar mujhe apni ek kavita yad agai....



Is duniya me kya na hota,
Har koi kismat pe rota,
Har koi ye bat hai jane,
Jo v pata Wo hai khota!

                        Garibo k dukh kon hai dekhe,
                        Kon sune unki cheekhe,
                        Unke sar par chat nahi,
                        Jo khane ko mange Bhikhe!
Ameer jo Ghar banaye,
Garibo pe jo ungli uthaye,
Jo kala dhan wo kamaye,
Unki chori unhe sataye!
                        Jin logone hum-e-hai pala,
                        Sanskaro se hum-e- sawara,
                        Unko pyar na dekar humne,
                        Ghar se nikala or dhukara!
Is duniya me yahi hai hota,
Ek bar har koi rota,
Koi aage koi piche,
Har koi kismat k niche!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: February 04, 2009, 08:25:00 AM »
Reply with quote
bahot achi nazam hai AZEEM, haqeeqat k faasanay koi bayaan karna aapse seehkay! har kahaani ko shabdon mein jodrna aata hai aapko, aur sachai bhi wo, jo rooh ko purzay purzay karjaatee hai! bahot ahcha lihka hai aapne. allah sab ka naigibaan hai, beyshuq rub bahot badra hai!

(HHHMMMMMMMM....)

Shukriya an_Jaan Ji,.
Khushi Hui ke Aap Pasand Aai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: February 04, 2009, 08:27:46 AM »
Reply with quote
Applause  Applause  Applause   Clapping Smiley
Bahut Khoob likha Azeem Aapne,

Kya lafzo ka saath joda hai sach me ek sachayi ko dil me utar diya iss kalam ne,
Kuch likhne ka mann hai umeed hai pasand aayega,


Jaane kitni khawishe dil me daba di kyunki Gareeb ho mein,
Jaane kitne baatein sahii kyunki Gareeb ho mein,

Pyaar dena har kisi ko farz hai mera kyunki Gareeb ho mein,
Jhelni sabki bewafai aadat hai meri Kyunki Gareeb ho mein,

Ek jhooti roti ke niwale ke liye tadpana kyunki Gareeb ho mein,
Har pal uss apni aajadi se ladna kyunki Gareeb ho mein,

Amiroon ko khush rakhna kismat hai meri Kyunki Gareeb ho mein,
Unki khusi ke liye khud ko beijjat karna kyunki Gareeb ho mein.

Shally.


Waah Shally Behna, Kya Khoob Likha Hai,.
Bohat Achche,.

And Thank U.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 04, 2009, 08:30:42 AM »
Reply with quote
Subhan Allah SUbhan Allah m ere bhai !! kya nazam likhi hai tumne garibi ki awaz hai ye !! aur be sabab qarch karne wale un amiron ko bahoth umda tanz diya hai tumne mere bhai !! Allah tumhe khush rakhe !! Ameen !!

Qadeer Toopchi

Shukriya Qadeer Bhaiya, Jo Aapko Hamaari Koshish Pasand Aai,.
Bas Apna Haath Yunhi Sarpar Rakhaa Karein,.
May Allah Bless You Too,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: February 04, 2009, 08:36:21 AM »
Reply with quote
bahoot hi khoob Azeem ji Clapping Smiley
apki kavita padkar mujhe apni ek kavita yad agai....



Is duniya me kya na hota,
Har koi kismat pe rota,
Har koi ye bat hai jane,
Jo v pata Wo hai khota!

                        Garibo k dukh kon hai dekhe,
                        Kon sune unki cheekhe,
                        Unke sar par chat nahi,
                        Jo khane ko mange Bhikhe!
Ameer jo Ghar banaye,
Garibo pe jo ungli uthaye,
Jo kala dhan wo kamaye,
Unki chori unhe sataye!
                        Jin logone hum-e-hai pala,
                        Sanskaro se hum-e- sawara,
                        Unko pyar na dekar humne,
                        Ghar se nikala or dhukara!
Is duniya me yahi hai hota,
Ek bar har koi rota,
Koi aage koi piche,
Har koi kismat k niche!!


Shukriya Salma JI,.

Aur Kya Khoob Likha Hai Yaar Aapne,/
NIce One,.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #14 on: February 04, 2009, 11:39:35 AM »
Reply with quote
Waah Shally Behna, Kya Khoob Likha Hai,.
Bohat Achche,.

And Thank U.



Shukriya Azeem,

Aacha laga ki kam se kam tumne to pada ise,

Shally.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 23, 2024, 11:35:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer