Mujhe Dafna to sahi !!

by abdulqadeer on January 31, 2009, 04:22:38 AM
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 5205 times)
abdulqadeer
Guest
Reply with quote
Ye Ghazal tanzia thread me isliye rakh raha hon ke is ghazal ke har ashar me tanz hai jo ke 2 pahelo per ishara deta hai !! agar Ghazal se mil jao to nawaz dena !!

Aur ye Ghazal maine pahele bhi eak mahefil me padhi thi aur ab yoindia ke nazar karta hon , Tawajo chahunga hasrath !!


Tere dil me kya hai eak baar bata to sahi !!
Apnana tere bas me nahi , thukra to sahi !!
Mere dard pe teri qamushi achi nahi lagti !!
Rona tere bas me nahi , muskura to sahi !!

Meri kitaab ka har panna teri nazar ka mahutaj hai !!
Padna tere bas me nahi , jala to sahi !!

Tere shaher me jab se aye pyase hain hum !!
Pani  tere bas me nahi , zaher pila to sahi !!

Majdhar me la-ke tone chuda hai sath mera !!
Bachana tere bas me nahi ,doba to sahi !!

Kab tak rahega tujh se milne ka muntazir ye Qadeer !!
Aana tere bas me nahi , bola to sahi !!

ab kyoon karta hai nakaam koshish mujhe needh se uthane ki  !!
Jagana tere bus me nahi , dafna to sahi !!

Qadeer Toopchi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aaj mai .. kal koi aur sahi..... by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
sun to sahi by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
tum aao to sahi.......... by Tamanna4u in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
~~"DAFNA DENA CHAHTE HAI"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard
KAB SE DAFNA DI HAI..................Anahita by Anahita in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
fairy2633
Guest
«Reply #1 on: January 31, 2009, 05:14:48 AM »
Reply with quote
wow....bahut khoob qadeer ji... Applause
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #2 on: January 31, 2009, 05:36:34 AM »
Reply with quote
wow....bahut khoob qadeer ji... Applause

Shukriya Janab !! Allah tumhe khush rakhe !! Ameen !!

Qadeer Toopchi
Logged
k.shael
Guest
«Reply #3 on: January 31, 2009, 06:09:43 AM »
Reply with quote
Bahut khoob likha hai Qadeer ji,

Sach me aap bahut aacha likhte hai,

Tujhe bepanaah mohabbat kiye jaa rahi ho mein,
Mohabbat karna tere bass me, nafrat dikha to sahi,

Ret banke teri muthi me samayi hui ho mein
Sambhal pana tere bass me nahi, bikhra to sahi,

Aansoo ban ke sadiyo se thehre hai teri aankhon me,
Chalkana tere bass me nahi, chupa to sahi...

Shally.
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #4 on: January 31, 2009, 06:31:52 AM »
Reply with quote
Aansoo ban ke sadiyo se thehre hai teri aankhon me,
Chalkana tere bass me nahi, chupa to sahi...


Shukriya Shally  Izzath afza-e- ke liye !!

Aur subhan allah app ne bhi acha likha hai qaas taur pe ye ashar apka!!

Qadeer Toopchi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: January 31, 2009, 08:47:57 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah wah, kaya baat hai Qadeer bhaijaan, ek ek line kamaal ki likhi hai apne.. bahoot khoob... kalam ka rukna mushkil ho gaya... wah kaya baat hai...

Shally hamesha ki tarah bahoot he acha sath diya apne... bahoot khoob.. Ek koshish meri bhi.. qadeer bhai apki tarah majboot shabd mere pass nahi.. phir bhi umeend hai shayad apko pasand ayye


zakham hote na nasoor to dil bhi dikha dete
zajbaat jo hote bas main, tujhe thukra dete

ek khamoshi ke dum per, kuch umeende hai backi
nigah milate to hum ansoo bhari ankho se muskura dete

likh rahe hai khud he khud ka afsaana lahu se hum
samjh lete jo khud ko, tujhe bhi yah samjha dete

zehar ban chuki khud ke liye khud ki her ek sans
aise main bata kon sa zehar hum tujhe pila dete

jante hai, meri sanso per hai teri sansein zinda
warna khud ke sung kab ka tujhe bhi dooba dete

waqat-e-zakhmo ne kar diya jeevan is kadar soona
hota jo kuch zindagi main, tujhe hum bula lete

kar deti her khushi tere naam, koi jo hoti zindagi main
aor lete hue tera naam, khud ko tere kadmo tale dafna dete

na karna ab kabhi zikar humara apne labo se tum
deta jo tu sath kabhi huamara, her ek deewar hum geera dete!!
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #6 on: January 31, 2009, 08:58:48 AM »
Reply with quote
Subhan allah pooja bahen , subhan allah kya jawab diya hai apne meri ghazal ko !! wah wah !! kasam se bol raha hon mai ye kalam apka mujhe behad pasand aya !! aur jo jawab hosakta hai mere kalam ka wohi hai apki ye nazam ap itna acha likhte hai mai nahi jaanta tha !! wah wah , kya likha bahen aur bahoth bahoth shukriya apka jo apne hamari anjane me howi galti ko maaf kardiya aur yoindia ko apna liya !! mai sub ko ye bath bata deta hon ke pooja bahen yoindia per nahi ane wali thi mere hazar baar request karne aur maafi mangne ke baad aa-e- hain aur  agli baar se mai bhi qayal rakhonga aur sub log bhi qayal rakhe ke inke dil ko dukh na ho !! inka nature sub se hat ke hai !! once again thanks a lot for dedicating a beautiful poem to my thread !! Allah apko jaza-a- qair de Ameen !! Aur iss message me maine urdu ke alfaaz nahi likhe kyoon ke sub log bahetar samjh saken !!

Apka Bhai !!

Qadeer Toopchi
Logged
k.shael
Guest
«Reply #7 on: January 31, 2009, 09:11:13 AM »
Reply with quote
Shukriya Shally  Izzath afza-e- ke liye !!

Aur subhan allah app ne bhi acha likha hai !!

Qadeer Toopchi

Shukriya Qadeer ji,
Nacheez ko sarahne ke liye,

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #8 on: January 31, 2009, 09:12:19 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah wah, kaya baat hai Qadeer bhaijaan, ek ek line kamaal ki likhi hai apne.. bahoot khoob... kalam ka rukna mushkil ho gaya... wah kaya baat hai...

Shally hamesha ki tarah bahoot he acha sath diya apne... bahoot khoob.. Ek koshish meri bhi.. qadeer bhai apki tarah majboot shabd mere pass nahi.. phir bhi umeend hai shayad apko pasand ayye


zakham hote na nasoor to dil bhi dikha dete
zajbaat jo hote bas main, tujhe thukra dete

ek khamoshi ke dum per, kuch umeende hai backi
nigah milate to hum ansoo bhari ankho se muskura dete

likh rahe hai khud he khud ka afsaana lahu se hum
samjh lete jo khud ko, tujhe bhi yah samjha dete

zehar ban chuki khud ke liye khud ki her ek sans
aise main bata kon sa zehar hum tujhe pila dete

jante hai, meri sanso per hai teri sansein zinda
warna khud ke sung kab ka tujhe bhi dooba dete

waqat-e-zakhmo ne kar diya jeevan is kadar soona
hota jo kuch zindagi main, tujhe hum bula lete

kar deti her khushi tere naam, koi jo hoti zindagi main
aor lete hue tera naam, khud ko tere kadmo tale dafna dete

na karna ab kabhi zikar humara apne labo se tum
deta jo tu sath kabhi huamara, her ek deewar hum geera dete!!



Shukriya Pooja didi,
Aur kya khoob likha hai aapne,
Sach me bahut hi lajawaab likha didi,

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #9 on: January 31, 2009, 09:13:01 AM »
Reply with quote
Achha Saath Diya Hai Aapne Shael Ji
Keep It Up.

Shukriya Shihab ji,

Shally.
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #10 on: January 31, 2009, 09:18:01 AM »
Reply with quote
Wow Qadeer Bhai Kya Khoobsurat Kalaam Paish Kiya Hai Aapne
Bohat Hi Ajmal Keep It Up Bhai.

Shukriya Shihab ji is nacheez ko izzath dene ke liye ahesan mand hai banda apka !! Allah apko qair de janab !!

Qadeer Toopchi
Logged
k.shael
Guest
«Reply #11 on: January 31, 2009, 09:25:09 AM »
Reply with quote
Ham aaj bhi jeete hai tere diye gammo ke dekh-dekh kar,
Warna kab ka jhakhmo pe marham laga dete,

Hame aaj bhi khushi milti hai tere khat pad kar,
Warna kab ka unhe aag me jala dete,

Hamare dil pe aaj bhi raj hai teri yaadon ka
Warna kasam se ise kab ka dafna dete...

Shally.
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #12 on: January 31, 2009, 10:03:43 AM »
Reply with quote
Ham aaj bhi jeete hai tere diye gammo ke dekh-dekh kar,
Warna kab ka jhakhmo pe marham laga dete,

Hame aaj bhi khushi milti hai tere khat pad kar,
Warna kab ka unhe aag me jala dete,

Hamare dil pe aaj bhi raj hai teri yaadon ka
Warna kasam se ise kab ka dafna dete...

Shally.

Bath Qoob sahlly again !! Likhte raho isitarah !! Allah tumhe khush rakhe Ameen !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: January 31, 2009, 10:18:55 AM »
Reply with quote
abdulqadeer ji!
Bahut khoob! It's a composition that speaks more than what appears in it at the first sight! Poet seems to be laughing pathetically at his own state of affairs vis-a-vis his counterpart i.e his love!
             - abd bundeli
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #14 on: January 31, 2009, 10:29:16 AM »
Reply with quote
abdulqadeer ji!
Bahut khoob! It's a composition that speaks more than what appears in it at the first sight! Poet seems to be laughing pathetically at his own state of affairs vis-a-vis his counterpart i.e his love!
             - abd bundeli

Kya nazar aur sunch pa-e- hai apne abd sahab kasam se bol raha hon puri ghazal matlab saaf kar diya apne !! wah wah kya pari nazar ke malik hain app isiliye hum apki miyari nazar ke muntazir rahete hain janab !! Allah apko khush rakhe Abd sahab !!Ameen sum ameen !!

Qadeer Toopchi
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:41:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.222 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer