Mujhe ghayel karne wala.....(Ghayel)

by sajid_ghayel on March 30, 2009, 07:08:36 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2922 times)
sajid_ghayel
Guest
Reply with quote
Hamesha dekha gaya hain ke jo hame sabse ziyada taklif dete hain wahi sabse ziyada humse mohabbat karne ka dawa bhi karte hain.......bas isi cheeze ko dhiyaan me rakh_kar ek choti si peshkash aap sabki nazar...


Rota nahi hain khud kabhi, rulane ki baat kare hain
Meri jaan lene wala, jaan dene ki baat kare hain

Na chaha kabhi usne, mile koi khushi humko
Mujhe gam dene wala, muje hasane ki baat kare hain

Jise mana apna humdum, woh sath chod gaya mera
Mujhe tanhaiee dene wala, mehfilo ki baat kare hain

Meri aadat me lakho aib, woh dhoondta raha
Mujhe badnaam karne wala, meri khoobiyo ki baat kare hain

Dhokhe hazar deta raha, mere yaqeen ko toda
Mujhse bewafaiee karne wala, wafa ki baat kare hain

Dekhi na gayee jinse, khushiya chaman ki yaro
Mera gulshan jalane wale, baharo ki baat kare hain

Na iman raha baki, na khauf khudaiee ka
Jo Gunaho ka hain samandar, amal ki baat kare hain

Dete rahe zakhm, woh har modh par hame
Mujhe GHAYEL karne wala, marham ki baat kare hain

Rota nahi hain khud kabhi, rulane ki baat kare hain
Meri jaan lene wala, jaan dene ki baat kare hain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ghayel samajhta hain......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 7 8 »
Banke Ghayel hamesha.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Ghayel na yaha hota........(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Ghayel ne dillagi karli.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Ghayel na kehlaooga.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Khumar -e- Ishq
dead heart
Guest
«Reply #1 on: March 30, 2009, 07:59:59 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Dil ko choo gayi apki pehskash Ghayel jee...Akhri ki chaar lines toh bahaut hi achi thi...likte rahiye
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #2 on: March 30, 2009, 09:17:48 AM »
Reply with quote

 ghayal... u r merly outstanding .. i go by uoor all ghazal, nazam etc

   i actually dont find words to appreciate u and others equivalent.

  accept my thanx to encourage me too.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: March 30, 2009, 11:26:22 AM »
Reply with quote
Superb Gayal Ji. Bahoot hi khoobsurat peshkash hai yea.
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #4 on: March 30, 2009, 12:11:56 PM »
Reply with quote
waah waah waah sajid bhai... mind blowing hai!


chaahne waale hee chaahte hain ki c ek insaan ko...
"usske liye kurbaan hojaengay", aisa aksar kehtay hain,
kya waqee itna ahsaan sahmja hai khatam karna upni jaan ko?
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: March 30, 2009, 01:50:27 PM »
Reply with quote
Subhan Allah, Bohat Hi Achchi Pesh Kash Bhai, Good Job,.

Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: March 30, 2009, 01:52:18 PM »
Reply with quote
Hamesha dekha gaya hain ke jo hame sabse ziyada taklif dete hain wahi sabse ziyada humse mohabbat karne ka dawa bhi karte hain.......bas isi cheeze ko dhiyaan me rakh_kar ek choti si peshkash aap sabki nazar...


Rota nahi hain khud kabhi, rulane ki baat kare hain
Meri jaan lene wala, jaan dene ki baat kare hain

Na chaha kabhi usne, mile koi khushi humko
Mujhe gam dene wala, muje hasane ki baat kare hain

Jise mana apna humdum, woh sath chod gaya mera
Mujhe tanhaiee dene wala, mehfilo ki baat kare hain

Meri aadat me lakho aib, woh dhoondta raha
Mujhe badnaam karne wala, meri khoobiyo ki baat kare hain

Dhokhe hazar deta raha, mere yaqeen ko toda
Mujhse bewafaiee karne wala, wafa ki baat kare hain

Dekhi na gayee jinse, khushiya chaman ki yaro
Mera gulshan jalane wale, baharo ki baat kare hain

Na iman raha baki, na khauf khudaiee ka
Jo Gunaho ka hain samandar, amal ki baat kare hain

Dete rahe zakhm, woh har modh par hame
Mujhe GHAYEL karne wala, marham ki baat kare hain

Rota nahi hain khud kabhi, rulane ki baat kare hain
Meri jaan lene wala, jaan dene ki baat kare hain

Wonderful.... Superb...  Applause Thumbs UP
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: March 30, 2009, 09:27:38 PM »
Reply with quote
bahut acha likha aap ne,dete rahe zakhm woh mujhe har modh,ghayal karne wala
marham ki baat karte hai.

sach kaha aap ne ,unhe kiya pata hai jo pyar karta hai kitna dard sahete hai.
bas intezaar karte rahe jaate hai,unhe kiya farq padta .
madhu.
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: March 31, 2009, 02:49:10 AM »
Reply with quote
bahut acha likha aap ne,dete rahe zakhm woh mujhe har modh,ghayal karne wala
marham ki baat karte hai.

sach kaha aap ne ,unhe kiya pata hai jo pyar karta hai kitna dard sahete hai.
bas intezaar karte rahe jaate hai,unhe kiya farq padta .
madhu.

Farak kyu nahi padta? Unka bi koyi majburi hogi na.

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: March 31, 2009, 04:10:13 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Dil ko choo gayi apki pehskash Ghayel jee...Akhri ki chaar lines toh bahaut hi achi thi...likte rahiye

Bohat bohat shukriyaan dost mere sher tumhare kisi kam aaye yeh meri khushnasibi hain.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #10 on: March 31, 2009, 07:03:41 AM »
Reply with quote
ghayal... u r merly outstanding .. i go by uoor all ghazal, nazam etc

   i actually dont find words to appreciate u and others equivalent.

  accept my thanx to encourage me too.

Bohat shukriyaan Adil jo tumne itni izzat se nawaza, aur tum bhi bohat achcha likhte ho.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #11 on: April 04, 2009, 07:47:07 AM »
Reply with quote
Superb Gayal Ji. Bahoot hi khoobsurat peshkash hai yea.

Bohat Shukriyaan Sophi.....
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #12 on: April 04, 2009, 12:31:06 PM »
Reply with quote
waah waah waah sajid bhai... mind blowing hai!


chaahne waale hee chaahte hain ki c ek insaan ko...
"usske liye kurbaan hojaengay", aisa aksar kehtay hain,
kya waqee itna ahsaan sahmja hai khatam karna upni jaan ko?

Mere shero ko tumne samjha, mujhe saraha uske liye bohat shukriyaa AD....
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #13 on: April 23, 2009, 07:14:01 AM »
Reply with quote
Subhan Allah, Bohat Hi Achchi Pesh Kash Bhai, Good Job,.


Bohat Bohat shukriyaan Azeem...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: April 23, 2009, 07:20:43 AM »
Reply with quote
 Applause Applause

Bohat khoob Sajid ji 
g88 lines ,,,,
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:51:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer