Mujhe Le Chal "Khwaish"

by khwaish on February 28, 2010, 12:00:22 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3350 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Har Insaan Ki Aisi Koi Khwaish Zaroor Hoti Hai,Jisse Woh mukammal Hote Dekhna Chahata Ho,Ek Aisi Hi Khwaish Hai Meri Bhi ,Ke Mujhe Bhi Koi Aisi Duniya Mein Le Chale,Jahan Main Apne Mutaabik Logon Ko Jeeta Dekh sakoon,Kuch Aise Khwaab,Kuch Aisi khwaishe Hai!!!
Zaroor padhiyega.. Shukriya...



Mujhe Le Chal Waha, Jahan Gham ka Koi Pata Na Ho
Jahan Kisi ka Dil Kabhi Dukha Na Ho...

Mujhe Le Chal Waha, Jahan Kaanto Mein Rehkar Bhi Phool Khilte Hai
Jahan Gile-Shikwon Ko Mitaakar Log Aaj Bhi gale Milte Hai

Mujhe Le Chal waha, Jahan Bachon ko Apna Itihaas Padhaya Jaata Hai
Jahan Kisi Ki madad Karna Humara Pehla Farz Hai, yeh Seekhlaya Jaata Hai

Mujhe Le Chal Waha Jahan Sukh-Dukh Milkar baante Jaate hai
Jahan Kisi Ki Tabiyat Puchne ke Liye Log Ghar Tak Aate Hai

Mujhe Le Chal Waha, jahan Raah par Kisi Ko Chot lag jaaye To log Usse Uthaahte Hai
Jahan Khuda Ke baad Log Apna Sar Apne Maa-Baap ke Aage Jhukaate Hai

Mujhe Le Chal Wahan jahan, Pyaar Hi sabse Badi Daulat Hai, Yeh Aaj Bhi Kehte Hai Log!!!
Jahan Aaj Bhi Ek Duje Ke Dil Mein Rehte Hai Log!!

Mujhe Le Chal Waha, Jahan Bebasi Mein koi Rota Naa Ho
Jahan Bookhe Pet Koi Insaan Sota Naa Ho...

Mujhe Le Chal waha, Jahan Mazhab Ke Naam Par Koi Ladhta Nahi
Jahan Koi Begunaah Inn ladaiyon Mein Bemaut Marta Nahi

Mujhe Le CHal Waha,  jahan Buzurgo Ki izzat Mein koi Kami-Peshi Na Ho
Parivaar Ho saath mein Par Ghar Ke bade Nahi,
Kisi Parivaar Ki Koi Tasveer Aisi Na Ho..

Mujhe Le Chal Waha Jahan Allah,Ram,Waheguru,Jesus Sab ek hai Yeh Maante hai Log
sirf Naam Anek hai Yeh Jaante Hai Log


Main jaanta Hoon Aisi Duniya Ka Milna Mushkil Hai Par Na-Mumkin Nahi!!!!
Par Aisi Kya Cheez Hai "Khwaish" Iss Duniya mein, Jo Insaan Ko Ab Tak Haasil Nahi...

                      ~~~~~Khwaish~~~~~~
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #1 on: February 28, 2010, 12:18:00 PM »
Reply with quote
Aapki Yeh Khwaishen, Aapke Yeh Khwaab.. Behad Maasoomiyat Liye Hue Hain Khwaish Bhai.. Dil Se Likhi Aapki Yeh Rachna Behad Khubsoorat hai..!! Applause Applause

Humaari yehi Dua hai Ki Aapki Zindgi Me Na-mumkin Lafz Kabhi Na Aaye.. Jo Aap Chaahe Wahi Aapko Mile..!! icon_thumleft icon_thumleft

Inhi Udaaon Ke Sath Daad Kuboool karen..
  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #2 on: February 28, 2010, 12:24:00 PM »
Reply with quote
bahut khoob khwaish ji..apki khwaish bahut hi khubsurat hai aur main dua karungi ki ye duniya haqiqat mein khuda iss jahan ko bakshe...
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: February 28, 2010, 12:36:01 PM »
Reply with quote
MashaAllah Kya Khoob Likha hai Khwaish ji .. Bahoot Bahoot Khoob ! Hamari bhi yahi dua hai ki yea khwaish hakkikat mea badal jaaye !
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: February 28, 2010, 01:12:49 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

Bohot bohot khoob Khwaish Dost, aapne ek aise jahan ka nazara aankhon ke saamne laa diya jo aaj ke haalaat main khota ja raha hai....Bohot Khoob.
Logged
cara
Guest
«Reply #5 on: February 28, 2010, 01:21:50 PM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI    KHWAISH JI.....

MUJHE LE CHAL WAHAN
AAJ BHI INSAAN INSAANIYAT KI ZINDAGI JEETE HO JAHAN

MUJHE LE CHAL WAHAN
AAJ BHI BADE BUZURGON KI IZZAT LOG KARTE HO JAHAN

MUJHE LE CHAL WAHAN
AAJ BHI MAA-BAAP KI KHUSHI MEIN APNI KHUSHI LOG SAMAJHTE HO JAHAN

MUJHE LE CHAL WAHAN
AAJ BHI EK DOOSRE KE DUKH SUKH MEIN LOG KAAM AATE HO JAHAN

MUJHE LE CHAL WAHAN
JAHAN HAR MAZHAB KE LOG SAB KA MALIK EK HAI MAAN KAR
EK HI SHAT KE NEECHE HAR NAAM SE MALIK KO YAAD KARTE HO JAHAN..

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 28, 2010, 02:09:02 PM »
Reply with quote
Aapki Yeh Khwaishen, Aapke Yeh Khwaab.. Behad Maasoomiyat Liye Hue Hain Khwaish Bhai.. Dil Se Likhi Aapki Yeh Rachna Behad Khubsoorat hai..!! Applause Applause

Humaari yehi Dua hai Ki Aapki Zindgi Me Na-mumkin Lafz Kabhi Na Aaye.. Jo Aap Chaahe Wahi Aapko Mile..!! icon_thumleft icon_thumleft

Inhi Udaaon Ke Sath Daad Kuboool karen..
  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**

Sabse pehle Teh Dil se Shukriya Mann Ji Aapki Duayon Ke Liye..

Mann Ji Yeh baat to sach ahi ke bahut dil se yeh rachna likhi gayi hai shayad isliye iski length par dhyaan nahi gaya tongue3

Aapko Yeh Rachna pasand aayi,yeh jaankar bahut bahut Khushi hui.. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 28, 2010, 02:15:28 PM »
Reply with quote
bahut khoob khwaish ji..apki khwaish bahut hi khubsurat hai aur main dua karungi ki ye duniya haqiqat mein khuda iss jahan ko bakshe...

Bahut bahut Shukriya Iss Khoobsurat Dua Ke liye...

Aur Teh dil se Shukriya Aapka Jo Aapne Apna Waqt Diya.. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: February 28, 2010, 02:46:01 PM »
Reply with quote
MashaAllah Kya Khoob Likha hai Khwaish ji .. Bahoot Bahoot Khoob ! Hamari bhi yahi dua hai ki yea khwaish hakkikat mea badal jaaye !

Bahut Bahut Shukriya Aapki Duayon Ke Liye..

Thankyou Soooooooooooooooooooo Much For Appreciating Sophi.. icon_flower
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #9 on: February 28, 2010, 02:59:06 PM »
Reply with quote
BAHUT UMDA ,BAHUT ACHHI,TOUCHING POEM.
KHWAISHJI.AND CARAJI. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
MUJHE LE CHAL WAHAN
SUKOON HI SUKOON HO JAHAN
MUJHE LE CHAL WAHAN
WAQT KI BANDISH NA HO JAHAN.
MUJHE LE CHAL WAHAN
ROTI KI FIKRA NA HO JAHAN.
MUJHE LE CHAL WAHAN
SHAYAR HI SHAYAR HO JAHAN.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: February 28, 2010, 08:55:10 PM »
Reply with quote
Khwahish jee...

Maine ashkon ke saath parra hai apke iss kalam ko...Meri teh dil se daad kabool karein..Bahaut khubsoorat likha hai...Likhne se badkar, apki khawahishein aur khwab hai jo Rahim ko behad pasand aye...Hum saab gadi, bangla, paisa mangte hai mager aap insaniyat mangte hai...Main dua karunga Allah se ke yeh khwahish 'Khwahish' puri ho!!!Ameen!!!

Once again, my salutes to your most amazing and wonderful piece of work... Applause Applause Applause Applause
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #11 on: February 28, 2010, 09:40:50 PM »
Reply with quote
 Hats off to you! :icon_salut:Khwaish ji bahut  achi soch aur khoobsurati se likha aapne.dil ko cheer kar rakh diya aapke kavita ne.great creation. Thumbs UP Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause 
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #12 on: March 01, 2010, 11:00:37 AM »
Reply with quote
Bahut bahut Shukriya Iss Khoobsurat Dua Ke liye...

Aur Teh dil se Shukriya Aapka Jo Aapne Apna Waqt Diya.. Usual Smile


ur welcome khwaish ji...
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #13 on: March 01, 2010, 04:44:46 PM »
Reply with quote
 notworthy notworthy..........kya kahu......alfaaz nahi hai mere paas.....
kin lafjon mein taarif karu aapki kalam ki.....bahut hi khoob,lajwaab,behtrin...
ye alfaaz toh bahut feeke hai aapki iss rachna k saamne......
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: March 02, 2010, 08:12:01 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause

Bohot bohot khoob Khwaish Dost, aapne ek aise jahan ka nazara aankhon ke saamne laa diya jo aaj ke haalaat main khota ja raha hai....Bohot Khoob.

Bahut bahut Shukriya Talat Dost!! iss Ehsaas Ko Samajhne Ke Liye..Aur Dost Har Insaan Ki ya Yeh Kehlo har Common man Ki yehi dua Hoti hogi Ke kaash Koi Aisa jahan Ho,Jahan Par Gareebi Berozgaari,Bebasi,Lachaari na ho,jahan koi Mazhab Ko lekar Na lade,Jahan Bado Ki izzat Ho,Jahan par Pyaar Hi sabse Badi Daulat Ho..Inn Baaton Se Kisi Shayar ka Bahut Hi Khoobsurat Sher Yaad Aaya Hai..

Tumhare Jaise Dekhne Wale Humne Nahi Dekhe
Jigar Mein Kis Tarah Ranj-o-Gham Humne Paale Nahi Dekhe
Yahan Par Jaat-Mazhab Ke Hawaale Sab Ne Dekhe Hai
Kisi Ne Bhi Humare Paau Ke Chaale Nahi Dekhe....
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:31:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer