Naari ka Jeevan

by Pooja on July 20, 2007, 08:44:52 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 7572 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Luti hai jiski asmat
Ussi ko doshi thahraya hai
Wah re Purush pardhan samaz
Kaya mard hone ka farz nibhaya hai!!

Dekhati hai uski ankhia, ma ki ankhio main
Mamta ke badle ek majboori ka saya paya hai
Bhai bhi hai ukhara ukhara sa ajj kyun is tarah
Her pal ke sangi ne Rakhi ka rishta bhi ajj bhulaya hai!!

Jis baapu ki god mai pali bardi hui, kaya ho gaya usko
Dulaar ki jagah ajj ankhon mai ek nafrat ka saya paya hai
Luti hai jiski asmat, ussi ko KYUN doshi paya hai
Wah re purush pardhan samaz, mard hone ka kaya farz nibhaya hai!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: July 20, 2007, 08:45:12 PM »
Reply with quote
Maila maila sa yah tan, laker kaha jaau
Kon sa karu snaan ab, kaise sab bhool jaau

Badal liya shaher, badal gaye log sare
Dil apne ko kaha se badal kar laau

Sochein ajj bhi dara deti hai akele mai
Apni is soch ko kaha chor aau

Badal gaya hai sab kuch is hadse ke baad
Kis tarah se apni purani hasti ko wapis laau

Maila maila sa yah tan, laker kaha jaau
Kon sa karu snaan ab, kaise sab bhool jaau
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: July 20, 2007, 08:48:01 PM »
Reply with quote
yah poem thori se hat kar hai...

Her roj ke din mai kitne balatkaar hum paate hai
Pata bhi nahi chalta, issi tarah se jiye jaate hai

Hu ladki shayad yahi kasoor raha hoga mera
Kyun bhai-bahen ki parwarish mai anter paate hai
Karte hai mere haq ka balatkaar khud ma-baap hi
Bachpan se yah balatkaar sahna wo sikhate hai

Bhai kar sakta hai kuch bhi, mujhko yah samjhna hoga’
Yahi kah kah kar, kitani baar khoon ke ansoo pina sikhate hai
Ho gai hu ab badi main, ghar ke kaam sikh lu
Bhai ko dosto sung bhaij kar, dunia mai uthna baithna sikhate hai

Aise chalu, waise bolu, aise karu, waise karu
Her baat main sauraal jaane ke taane sunate hai
Sasural mai apna hokar bhi ghar hota hai paraya
Her mayke ke taane se, sasuraal wale samjhate hai

Yunhi kat jaati hai, zindagi naari ki tukaro main
Her baltkaar ko, naari hone ki saja jaise sunate hai
Her roj ke din mai kitne balatkaar hum paate hai
Pata bhi nahi chalta, issi tarah se jiye jaate hai!!!
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #3 on: July 21, 2007, 04:40:16 AM »
Reply with quote
bhoot khoob pooja ji wastav me bhoot achaa likha hai aapne, aapka topic bhee bhoot achaa, samaj kee is jawalant samasya par bhoot achaa likha haai aapne.

netra.......

gar ladkee hai to kya gunah hai tera
tuch nahi thee is dhara par pujti tum
dekh ander apnee janni nam hai tera

narbakshiyo kee duniya hai ye
manv hee khata hai manv ko aaj
yaha to luthi har samay ek ablaa kee laj

yahi to hai wo prampra
nibhata ayaa hai manv jise
nahi karta lihaj jo janni wo kya karega tera

gar ladkee hai too to kya gunah hai tera

netra.....
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #4 on: July 21, 2007, 09:42:49 AM »
Reply with quote
something really beautifully expressed here Pooja!!!!
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #5 on: July 22, 2007, 04:24:37 AM »
Reply with quote
hooa hai blatkar naree ka
rota fir purush hee kyo hai
dete hai tana sab usee ko
baap uska purush hee to hai

betee laghtee nahi hai bojh kisiko
betee bojh khud ko samjtee kyo hai
n hote balatkar bhee par naree hee
laxman rakha paar kartee kyo hai

banya hai sadhan bhog ka nari ko
jab nari andpad thee masoom thee
aaj kee trakee naree ne bhee
fir bhee ye blatkar hote kyo hai..

netra.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: July 24, 2007, 09:52:10 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Netra ji..

Bahoot hi acha point diya hai, pita ke rone ka ..

Hoti hai apni wo, baap ke jigar ka tukra beti
Phir leta hai kyun munh mord, phatati nahi yah dharti

Shiksha aor Job, hai naari ka bhi Haq
Kyun usko lakshan rekha mai bataya hai

Ho kar agar wo jeena chahe sawtantar (Azadi se)
Kis liye mard ne usko shikaar banaya hai

Dhayan se dekho jo naari ka jeevan
Her yug main Nar ko naari ka balatkaar karte paaya hai!!!
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #7 on: July 25, 2007, 02:02:55 PM »
Reply with quote
bhoot sahee kaha hai aapne pooja ji

kyo nahi pate  hai saja mot kee
balatkaree jo hote hai
bach jate hai aad me kanoon kee
begairat jo hote hai

ho gayee sikshit nai hai abla wo
fir kaise atyachar ko sahatee hai
lee hai swantrata khud naree ne hee
par suraksha bhee usne khoyee hai

purush danav tha, ban gaya darinda ab
nochta hai aurat ko fir bhee naree nahi dartee hai

netra,,
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: July 28, 2007, 03:04:15 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Maila maila sa yah tan, laker kaha jaau
Kon sa karu snaan ab, kaise sab bhool jaau

Badal liya shaher, badal gaye log sare
Dil apne ko kaha se badal kar laau

Sochein ajj bhi dara deti hai akele mai
Apni is soch ko kaha chor aau

Badal gaya hai sab kuch is hadse ke baad
Kis tarah se apni purani hasti ko wapis laau

Maila maila sa yah tan, laker kaha jaau
Kon sa karu snaan ab, kaise sab bhool jaau


uffffff Pooja di.... dil hil gaya aapka yeh kalam padkar.
bahut khoob. sach main aankhein nam huyee ... bahur
dard hai is kalam main....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: July 30, 2007, 02:16:11 PM »
Reply with quote
shukaria Roja ji!!

Kuch khayaL ayye aor shabdo mai apne app dhalte chale gaye
Socha jo un palo ke baare main, ansoo bahte chale gaye
Tan ka dard mitta jaati hai dawaia aor waqat bhoola jaata hai
Man ki is peera ka khanjar, tamaam umar lahoo ke ansoo rulaye jaata hai!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: October 05, 2007, 07:25:28 PM »
Reply with quote
Quote from: "NETRAPAL"
bhoot sahee kaha hai aapne pooja ji

kyo nahi pate  hai saja mot kee
balatkaree jo hote hai
bach jate hai aad me kanoon kee
begairat jo hote hai

ho gayee sikshit nai hai abla wo
fir kaise atyachar ko sahatee hai
lee hai swantrata khud naree ne hee
par suraksha bhee usne khoyee hai

purush danav tha, ban gaya darinda ab
nochta hai aurat ko fir bhee naree nahi dartee hai

netra,,



Apki kavita ki Last Line ko laker kuch likh rahi hu Netra ji!!!

Nari ka azad ho jeena, NAR seh nahi paya hai
Kadam kadam per chahiye Nari,
uske bin zindagi main chal nahi paya hai!!

Laga jo Nar ko, Nari ab hath nahi ayegi
Pad-likh (study) legi jo, wo uske hukum per chal nahi payegi

Nochata hai wo nari ko, usko darane ke liye
Wah re Darindein, Nari se hi sab pane ke liye

Jo hai janai, jis bin khud chal nahi pata hai
Dalna chahta hai berdia ussi ke paw main
KYUN KI US BIN USE CHLANA/RAHNA NAHI ATTA HAI!!!
Logged
aankhain
Guest
«Reply #11 on: October 06, 2007, 08:37:26 PM »
Reply with quote
wao pooja ap ny bohat acha likha ha... ap great ho.. lakin ap kider ho:( mjhy is k ilawa ap ki koi post nai dikh rahi... meri nazer kemzoor ho gai ha kya??? Puzzled !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: October 08, 2007, 04:40:46 PM »
Reply with quote
bahoot bahoot shukaria aankhain ji!! najar kamjor nahi hui hai apki... ajkal bahoot busy ho gai hu so jayada likh nahi pa rahi hu!!! magar app ke aise comments likhne ko majboor kar dete hai... kuch likhne ki koshish karugi ajj!!

Thabnks for reading me and motivational comments!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: October 09, 2007, 11:39:26 PM »
Reply with quote
Quote from: "NETRAPAL"
bhoot sahee kaha hai aapne pooja ji

kyo nahi pate  hai saja mot kee
balatkaree jo hote hai
bach jate hai aad me kanoon kee
begairat jo hote hai

ho gayee sikshit nai hai abla wo
fir kaise atyachar ko sahatee hai
lee hai swantrata khud naree ne hee
par suraksha bhee usne khoyee hai

purush danav tha, ban gaya darinda ab
nochta hai aurat ko fir bhee naree nahi dartee hai

netra,,


Very different... and alag se likha hai Netra ji.
Nicely expressed wordings...
Logged
syednaami
Guest
«Reply #14 on: May 05, 2008, 02:09:56 AM »
Reply with quote
Pooja saahiba,

Aap ke bhaav padh man dukh se nidhaal ho kar rah gaya.
Buhat hi uchit vichaar ki prayojna ki hai apni har kavita men.

Kucch iss vishay par hi hai.
Nari ho ya nar

Dhanyavaad


Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:35:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer