Naari ka Jeevan

by Pooja on July 20, 2007, 08:44:52 PM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 7503 times)
Roja
Guest
«Reply #30 on: May 10, 2008, 02:57:15 AM »
Reply with quote
Dil Apsurdaa hota hai
Aankhein poor nam hoti hai

Teri payal baje bazar mein toh
Nari ka jeevan narag sa lagta hai
tearyeyed
Logged
Pooja
Guest
«Reply #31 on: May 30, 2008, 08:14:51 PM »
Reply with quote
nice lines Roja!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #32 on: May 30, 2008, 10:32:11 PM »
Reply with quote
Naari ka jeevan bhi hai jaise abhinandan, -
Jaisa rishta ho waise khanke unske kangan, -
Kabhi roti qismat par neer baha niranjan, -
Aur kabhi sataate usko jagat ke duryodhan. -

Girte padte maamta ka mulya hua nirlekhan, -
Janani jane praja aur tyage apna  prayojan, -
Jo jane so bane koi sevak to koi uska dushman, -
Dukhat jeevan bitaye bachon se karti sada nivedan. -

Nari ka jeevan kabhi sahaaya to kabhi virodhan, -
Karde ashaant sabko jab banjaye woh bairan, -
Kisise rakhe na sambandh tod de saare bandhan, -
Leke rahe badla to bujhe uske pratishod ki agan. -



(Syed Naami)

=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Badi mushkil se jawab likha jiska aapko intazaar tha....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #33 on: June 02, 2008, 03:02:29 PM »
Reply with quote
Sami apki kavita kai baar pardi... shabdo ka acha upyog kiya hai apne.. Nari ke baare main apne bahoot ache shabdo ke sath bataya hai ki wo kaise hoti hai.. Acha laga pard kar.. good creation!!

Logged
syednaami
Guest
«Reply #34 on: June 02, 2008, 03:22:25 PM »
Reply with quote
Shukriya jo aapne hamare rachna ki saraahna ki, Naari ke baare men aurat hi khara likh sakti hai, maine koshish ki baqi aap log bahtar jaane...

Buhat Buhat dhanyavaad Pooja jee
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #35 on: June 04, 2008, 12:02:59 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause
bahoot zabrdast charcha chal rahi hai yahan to pooja ji...  syednaami ji bahoot achcha laga aapaki kavitayen pad-kar, aur aapke vishay me hi kuch alag sandhrbhon me pesh hai.............

aansoo ki ek buend si hoti hai beatiya
sparsh khurdra ho to roti hai beatiya
roshan karega beta to bus ek kul ko ,
do do kul ki laaz nibhati hai baetiya
koi nahi hai dosto ek dusre se kam,
hira hai ager beta to moti hai beatiya
kantoo ki raha par yeh khud hi chalti rahengi ,
aooro ke liye to phool hi boti hai beatiya
vidhi ka vidhan hai yeh duniya ki rashm hai,
mutthi mai bhari neer si hoti hai beatiya ......................

NM
Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: June 04, 2008, 03:10:01 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Bekrar ji. A very good sharing!!!!
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #37 on: June 04, 2008, 03:26:25 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause
bahoot zabrdast charcha chal rahi hai yahan to pooja ji...  syednaami ji bahoot achcha laga aapaki kavitayen pad-kar, aur aapke vishay me hi kuch alag sandhrbhon me pesh hai.............

aansoo ki ek buend si hoti hai beatiya
sparsh khurdra ho to roti hai beatiya
roshan karega beta to bus ek kul ko ,
do do kul ki laaz nibhati hai baetiya
koi nahi hai dosto ek dusre se kam,
hira hai ager beta to moti hai beatiya
kantoo ki raha par yeh khud hi chalti rahengi ,
aooro ke liye to phool hi boti hai beatiya
vidhi ka vidhan hai yeh duniya ki rashm hai,
mutthi mai bhari neer si hoti hai beatiya ......................

NM

Bahut accha Posting ki hai aapne Bekarar jee  Applause

vidhi ka vidhan hai yeh duniya hai beatiya
mutthi mai bhari neer si hoti hai beatiya

bahut khoob  Applause[/b]
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #38 on: June 04, 2008, 03:32:13 PM »
Reply with quote
Naari ka jeevan bhi hai jaise abhinandan, -
Jaisa rishta ho waise khanke unske kangan, -
Kabhi roti qismat par neer baha niranjan, -
Aur kabhi sataate usko jagat ke duryodhan. -

Girte padte maamta ka mulya hua nirlekhan, -
Janani jane praja aur tyage apna  prayojan, -
Jo jane so bane koi sevak to koi uska dushman, -
Dukhat jeevan bitaye bachon se karti sada nivedan. -

Nari ka jeevan kabhi sahaaya to kabhi virodhan, -
Karde ashaant sabko jab banjaye woh bairan, -
Kisise rakhe na sambandh tod de saare bandhan, -
Leke rahe badla to bujhe uske pratishod ki agan. -



(Syed Naami)

=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Badi mushkil se jawab likha jiska aapko intazaar tha....



Bohat khoob Syed ji bohat hi umda likha aapne naari ka jeevan par.. Clapping Smiley




 

aansoo ki ek buend si hoti hai beatiya
sparsh khurdra ho to roti hai beatiya
roshan karega beta to bus ek kul ko ,
do do kul ki laaz nibhati hai baetiya
koi nahi hai dosto ek dusre se kam,
hira hai ager beta to moti hai beatiya
kantoo ki raha par yeh khud hi chalti rahengi ,
aooro ke liye to phool hi boti hai beatiya
vidhi ka vidhan hai yeh duniya ki rashm hai,
mutthi mai bhari neer si hoti hai beatiya ......................

NM

bekarar ji very nice sharing bohat khoob likha hai... Clapping Smiley
Logged
syednaami
Guest
«Reply #39 on: June 04, 2008, 07:56:06 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause
bahoot zabrdast charcha chal rahi hai yahan to pooja ji...  syednaami ji bahoot achcha laga aapaki kavitayen pad-kar, aur aapke vishay me hi kuch alag sandhrbhon me pesh hai.............


Aap ka buhat Shukriya Bekarar bhaya jo ham logon ki rachnaon ke uttar men pyari si kavita paish ki... Dhanyavaad



Bohat khoob Syed ji bohat hi umda likha aapne naari ka jeevan par.. Clapping Smiley


bekarar ji very nice sharing bohat khoob likha hai... Clapping Smiley

Aap ka hrday se aabhari hun, HoneyRose Jee...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #40 on: June 13, 2008, 07:59:19 PM »
Reply with quote
shukaria shihab ji!! app bhi kuch likhte to acha lagta!!
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:03:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.147 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer