~~~~~~ Naari ~~~~~~

by Pooja on June 21, 2007, 04:47:17 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2841 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Netra ji apki poem (Poem Link: http://www.yoindia.com/forums/soteli-ma-step-mother-vt24043.html) pard kar jo man mai ayya wo hi likhne ja rahi hu....

Apke jawab ka intzaar rahega...

Nari, sirf nari nahi, phool hai, apni khushbu se jug mehkaya hai
Giri hai wo is dunia mai, jab NAR ne usko behkaya hai

Nari, sirf nari nahi, shakti hai, her yug mai jise ajmaya hai
Jhuki hai sirf Nar ke moh main, bardpan nari ka yah, Nar samjh nahi paya hai

Bani Ma, Patni, behan, Beti, Sakhi, her roop main maan paya hai
Bani waishya jab wo hi nari, kyun uska yah roop Nar samjh nahi paya hai

Rahe Nari, Nar ki qaid main, to ajj ke yug mai achi kahalwati hai
Jo jeena chahe apni marji se, her wo nari ajj waishya kehalwati hai

Janam her insaan ne bin kapro ke paaya hai
Nar utare jo kapre to Mard, Naari utare to, wah!! ardhang naam paya hai

Hai kon jo nari ke rang badlta hai,
hai kon jo nari ke naam badlta hai
Nar hai wo jo yah sawang ruchata hai,
Neri rahe uski qaid mai, kyun ki nari bin wo rah nahi pata hai!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
wah ri naari by john_abraham in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
NAARI TUM SABHI FULON MEN SUNDAR HO by Anushka in Shayari -e- Husn
Naari ka Jeevan by Pooja in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2 3  All »
Waah Re Meri Bharatiya Naari. by majid in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Naari ! by salma786 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
NETRAPAL
Guest
«Reply #1 on: June 22, 2007, 05:37:13 AM »
Reply with quote
BHOLI SEE MUSKAAN HAI CHERE PAR JISKE
SEEP SEE GHARE NIRMAL SE NAYANA HAI JISKEE

MAA BANEE PAHLE WO  BAHANA BANEE FIR KISEE KEE
YAHI NAREE HAI HAR YUG ME YAHI MAHIMA HAI JISKEE

BANI THE PRERNA KABEER, SOOR, TULSI TAK KEE
GUNJTEE HAI MAHEEMA DOOR TAK AAJ RANI JHANSI KEE

BHOOLA PYAA HAI KON TAPASVEE MEERA KO
NAHI BHOOLE HAM AAJ BHEE AHILYA TAK KO

DANY HOOE SHIVA JI TAK JANNI THEE JIJABAI JISKEE
KIYA KURBAN UDAISINGH PAR PANNA NE JANNI THEE WO HEE JISKEE

JUHUK JATA HAI SAR SHRADHA SE POOJI JAB NARI JATEE HAI
SHARM SAAR BHEE HO JATE HAI KATIL NARI KEE JAB NARI DIKHTEE HAI

NETRA...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: June 22, 2007, 09:42:36 PM »
Reply with quote
Very nice Netra ji.. thanks for being honest in last line Usual Smile
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #3 on: June 23, 2007, 09:11:26 AM »
Reply with quote
ayee thee ek kalee massom see jag me
kuch pal me kohlegi ankhe ujyaree kirno me

sabko ankho kee pyari hai sab ko dil se bhaatee
kudrat kee is sundar rachna sabko  khub lubhatee

aaj kheeli wo kali khel naya ek bhawnre se khel
khushboo hee kushuboo hai ab hai nahi iska koi mel

yahi nari chanchl see choti kali ek khile thee jag me
chanchal natkhat bato se pyari thee sab ke man me

kali khili jab fool bani tab, naya roop nayre rang ab
kale kale bhanwro kee toli, nahi chodti peecha ab

chahat hai mali ke dil kee, pyari hai sare upwan kee
nahi chodega, ise todega, rond noch kar dega fenk

kurbanee to denee hai hai aaj nahi kal ko dekh
koi ayega le jayega, koi rakhega chod jayega

mala ban jhumegi gar kahi, kinhee charno kee hogi shobha
mali (babul) kee dil kee pyree the, kon banaye usko abhaa

netra.....


Logged
Rajbir
Guest
«Reply #4 on: June 23, 2007, 09:43:06 AM »
Reply with quote
Pooja

Very good topic and good start !

Netra

Bro ! you are awsome ! Hats off to you for your honesty and revolutionary thoughts. =D> =D> =D>

Keep going :arrow: You deserve to achieve a lot in life !
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #5 on: June 23, 2007, 10:48:15 AM »
Reply with quote
Quote from: "Rajbir"
Pooja

Very good topic and good start !

Netra

Bro ! you are awsome ! Hats off to you for your honesty and revolutionary thoughts. =D> =D> =D>

Keep going :arrow: You deserve to achieve a lot in life !


thanks rajbir ji

netra..
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #6 on: July 02, 2007, 04:43:27 AM »
Reply with quote
nirmal see pawan komal see bhawuk banaya thujhe kudrat ne
kyo dekhtee to tum age hee kyo nahi dekhti peeche mudkar

samman hee diya tha tujhe, ek sakoone-husn banya tha
jajbaat hai dil me tere liye, poojte hai tujhe devi samajhkar

aasmaan par basa chand bhee sharmata hai teri koobsurti pe
poonam see chandi bhee sharmatee hai tere sheetalta par

kyo chali gyaee to kyo jamee thee unnat hoye mulko me
khush hote hai mafilo me rahnuma teri hee nagnta par

teri aankho kee laj, sharmati muskrahat tujhe sher par baithatee hai
besharmi see ankhe, adhkhule se badan majbor kardeti hai hawaniya par

netra...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: July 09, 2007, 04:28:40 AM »
Reply with quote
Shukria veer ji.... Netra ji bahoot khoob!! apko padna hamesha hi bahoot acha lagta hai....


khilati hai jis baag mai yah kali
kabhi khushi to kabhi gum wo manate hai

kaya hai duvidha nari ke jeevan ki
jeevan dene wale hi munh phair jaate hai

kyun hui paida wo, yah sawal jab ma-baap uthate hai
kis se mange sawalo ke jawab, apne hi khoon ke ansoo rulate hai

her kadam per pehra, uski her baat per aitraz uthate hai
nahi hai yah ghar uska, jaana hoga ek din, bar bar jatlaate hai

kar ke kanya-daan, ganga ji jakar nahate hai
jaise marne ke baad, gharwale rasam nibhate hai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 05:14:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer