Gesu
|
«Reply #120 on: August 26, 2006, 06:43:58 AM » |
|
wah bahut hi acchi koshish rajbir bhaiya ji aur ranju ji.........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #121 on: August 26, 2006, 03:08:03 PM » |
|
shukriya Gesu ..and pooja
aaj ke yug mein bahut araam hai sab kuch hai magar kuch badnaam hai
shaadi ke adhaar pehle thaa pyaar aaj dulaha dekho ho raha neelaam hai
jal jaati hai dulhan laal jode mein hi aur chain se sota sara awaam hai
kyu paida hone se pehle hi kai phool hain murjha jaate kya yehi hai aaj ke maanav aur uski manuashata ki pehchaan hai?
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #122 on: August 29, 2006, 09:04:39 AM » |
|
dekho hum vigyaan ke sahare kitni tarakii kar gaye hain kokh mein pal rahe nanhe phoolo ke khuda ban gaye hain ladke ladki ka bhed bataane ke do nishaan diye jaate hain neele nishaan ko di jaati hai saanse aage jeene ki aur laal nishaan wale phool zinda dafana diye jaate hain wahan se bach ke yadi yeh phool khil bhi jaate hain toh ek galat pata de inhe kahi veraano mein chor aate hain aur yeh sab karne waale hewaan khud ko insaan bataate hain !!!!!!!
yeh jo uper likha maine yeh kal ki news thee ki punjab ke ek sheher mein hospital ke aangan mein hi ek kuwaan hai jahan pehle ladka ,ladki ka pata kuch nishaan jaise bule pen se report hai toh ladka aur red pen se hai toh ladki ..fir red pen se likhi hui reports ke adhkhile phoolo ko wahan dafana diya jaata hai ...wahan se 1000 ke kareeb unborn babies ke nishaan mile hain..so sad....and wahi ke ek station per ek pita apni 3 bachiyo ko station per galat address ke saath yun hi chor ke aa gaya ..kasur ki woh ladkiyaan thee...sach mein hum kitni tarkii kar rahe hai na...... :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Shikha12
Guest
|
|
«Reply #123 on: August 29, 2006, 09:23:42 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #124 on: August 31, 2006, 05:24:02 AM » |
|
ya shikha...its really very shameful....
yeh dard ka carvaan yun hi badta jaayega jab tak koi is dard ko dil se na mehsus kar paayega murjhaate rahenge yeh nanhe phool yun hi jab tak koi aage badh kar koi awaz na uthayega !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
purani_jeans_aur_guitar
Guest
|
|
«Reply #125 on: September 02, 2006, 08:38:50 AM » |
|
in behsiyo ki fitrat ko kyun sanwar rahe ho jahan ko nekiyat per kyun utar rahe ho na suni hai kabhi kisine aur naa sunega koi tanha murdo ki basti mai kyun pukaar rahe ho
..................@fahi@........................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #126 on: September 02, 2006, 09:42:01 AM » |
|
in behsiyo ki fitrat ko kyun sanwar rahe ho jahan ko nekiyat per kyun utar rahe ho na suni hai kabhi kisine aur naa sunega koi tanha murdo ki basti mai kyun pukaar rahe ho
..................@fahi@........................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #127 on: September 05, 2006, 04:13:51 AM » |
|
khilte hain is jeevan ki phoolwaari mein kitne pyaare pyaare phool kyu kuch phool bin khile hi murjha jaate hain kya kasur hota hai unka jinhe bin dekhe hi hum mitti mein mila jaate hain!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
badnaam_shayar
Guest
|
|
«Reply #128 on: September 05, 2006, 04:43:01 AM » |
|
Gud Job Ranju....ATopic thoda mushkil hai koshish karta hu likhne ki....
Woh meethi meethi see Awaaz uski..... Aur woh Chote Chote se haath aur Paanv.....
Khilkhilate hasi se jaise mehekta tha poora Gaanv......
Kuch log ladke ladki me bhed kar jaate hai..... Nanhe Phool behrehmi se bikher jate hai......
Unko deni hogi taleem an Insaniyat ki hume...... Sajhaye koi jara ki aise yehi phool jahan ko mehkate hai.....!!!!!!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
purani_jeans_aur_guitar
Guest
|
|
«Reply #129 on: September 05, 2006, 10:35:43 AM » |
|
gaurav ummid rakhiye ..............kisi na kisi din to koi samjhega in baaton ko ..............zaroor samjhega. Na chino in chiraago se roshni aey zalimo andhera bahut hai abhi aur raat hone ko hai
................@fahi@....................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
RamSagar
Guest
|
|
«Reply #130 on: September 05, 2006, 12:25:35 PM » |
|
really great thread doston..........
Lage raho..............
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
Rau: 14
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.
Posts: 19903 Member Since: Feb 2006
|
|
«Reply #131 on: September 05, 2006, 12:37:05 PM » |
|
Bahoot Khoob Ranjana Sis Pankhuri Ji,.. Nice One,..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #132 on: September 05, 2006, 01:23:05 PM » |
|
bahut sahi likha hai aap dono ne .. Gaurav ..Fahi ....
shukriya Azeem bhai and Ramsagar ji ..........
maana yeh safar abhi aasaan nah hai per hame ghabara ke maanani haar nahi hai
hansenge yeh phool bhi apni khusboo bikharte hue ladki ke janam ke bina yeh sansaar nahi hai !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
Rau: 14
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.
Posts: 19903 Member Since: Feb 2006
|
|
«Reply #133 on: September 05, 2006, 01:27:10 PM » |
|
Nice One Again Ranjana Sis,.. And U Are Welcome,..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
badnaam_shayar
Guest
|
|
«Reply #134 on: September 06, 2006, 03:54:16 PM » |
|
Sab Janme hai agar maa ki ko'k se..... Tab usse kya Gila karna.....
Jisse Chalni hai tumhari Zindagani...... Tab uski Parwarish se kya darna......
Ladki ke bina yeh Sansaar adhoora hai..... Jab talak nahi Maa Behen Pariwaar me sabka Sansaar Adhoora hai......!!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|