NANHA FOOL MURJAYAA..............

by ranjana on June 19, 2006, 01:47:13 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 13168 times)
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #30 on: June 23, 2006, 05:08:59 AM »
Reply with quote
really touching ranjana.........

 
  ek nanhi kali ne bhi sirf chand palo ki zindagi ke liye
  khudko mita diya aaj apni maa ke sir se bojh hatane ke liye
  aur is vehashi jahan ko dekho ,jisne paida hote hi
 apni zimmedariyo ko samajhkar.apna farz nibhaya hai
  badi darindgi se use hi har kokh se chinkar ,gumnami mai mitaya hai.

....................@fahi@.........................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
april fool hai jeee by dhadkan in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
APRIL FOOL by Devdas_online in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Fool by NETRAPAL in Shairy-E-Watan
fool to aa jane do by shambhu_007 in Songs & Lyrics
april fool by pogo in SMS , mobile & JOKES
ranjana
Guest
«Reply #31 on: June 24, 2006, 02:38:28 AM »
Reply with quote
nice fahi ...........{fark beta,beti ka kitna kiya jaata hai ab bhi ,kuch lines mein yeh batane ki koshish hai meri}

kokh ka sukh,parlokh ka sukh
jab beta jaana toh usne paaya
pala usko hasarto se aur uska har naaz uthaya
seencha usko apne khun se,uska har sagun manaya

wahi beta jab jab bada hua toh woh kab dard apno ka samajah paaya
bojh laga usko maa baap ka hona ,har pal unse mooh chauraya
diya beti ne jab sahara ,toh maa ko apne is janam ka sukh yaad aaya
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #32 on: June 24, 2006, 07:17:54 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
Garbh guha ke bheeter ek zindagi muskurai,
nanhe nanhe haath pawn pasaare..........
aur nanhe hotho se fir muskurai,
sochne lagi ki main bahar kab aauangi,
jiske andar main rehti hun, usko kab" MAA" keh kar bulaungi,
kuch badi hokar uske sukh -dukh ki saathi ban jaauangi..
kabhi "Pita" ke kandho per jhumunagi
kabhi "Dada" ki bahaoo.n mein jhul jaaungi
apni nanhi nanhi baato se sabka man bahaluangi.......

Nani mujhse kahani kaheagi, Dadi lori sunaegi,
Bua, Masi toh mujhpe jaise balahari jaayengi......
Beti hun toh kya hua kaam woh kar jaauangi,
Sabka naam roshan karuangi, ghar ka gaurav kahlauangi,

Per.............................................. .........................
Yeh kya sun kar mera nanaha hirdaye kampkpaaya,
Ma ka hridaye kathore hua kaise,ek Pita yeh faisla kaise kar paya,
"ladki "hun na is liye janam lene se pehele hi nanaha Fool murjayaa..!!!!!!!!!


------------

[]bKhud ko bachane ke liye jiski kabr ham khod tien  hein
Wahi waqt ki maar bankar do gaz jameen hamme bhi deti hein
Jisko bad naseeb soch kar khud se durr karte hein
wahi khuda ki sabse barii neymat hein,
Ma Behaan ,Biwi bankar jindagii k bagicha mein phul khilati hein
Jab khushii ho to haasti hein aur dukh mein hamari khud kii ansu bahatii hein..........[/b]
Logged
ranjana
Guest
«Reply #33 on: June 24, 2006, 07:41:39 AM »
Reply with quote
bahut hi sunder likha SHAHID............VERY TRUE .....GOOD JOB..

janam deti hai ek jindagi ko
khud sab gum seh jaati hai
naari naam hai us phulwari ka
jisne apni kushboo se duniya mehakayi hai
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #34 on: June 25, 2006, 01:33:45 PM »
Reply with quote
sahi kaha aap dono ne.........(kai baar aise halaato per aur aisi soch per hasi aur sharm dono aati hai )

jinhones kabhi maut mai badal diya tha ek kali ka jeevan
woh kar rahe hai... aaj apne ghar mai laxmi pujan.

.................@fahi@.....................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #35 on: June 26, 2006, 04:43:22 AM »
Reply with quote
apne haatho mein mehekte sapane le kar
ghup andhere mein  chamakate sittare ki taraha
betiyaan aati hai ghar mein ek haseen nazaare ki taraha
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #36 on: June 26, 2006, 12:36:08 PM »
Reply with quote
nice ranjana...........(meri ek choti si koshish ..ek naari ke wajood mai utarne ki)

 jis maa ki mamta ko tadapti rahi mai harpal
 aaj phir uske aangan mai hariyaali chaayi hai  
 hone wala hai janm phir ek nanhe phool ka
 jo apne naseeb mai ,sirf dukh le aayi hai

 jhok diya jayega use bhi kabhi
 nafrat ki aag  mai meri hi tarah
 subah shaam taane sunegi woh
 aur rahegi ek bhikharin ki tarah

 jab woh dheere dheere apne pairo per chalna sikh jayegi
 maa ke aanchal se uska naata tut jayega
 din bhar karegi kaam ghar ka, sunke hazaro galiya
 bachpan ka saath bachpan mai hi choot jayega

 thak haar kar jab kabhi do pal ko woh bethegi
 ro roker tab apne naseeb ko woh kosegi

 sochegi ki  is duniya mai ,naari hona ek paap hai
 saath nahi hai jise maa ka,harpal pit-ta baap hai

 aur phir ek din isi soch ke saath zindagi jeete hue ,ghut ghut kar woh mar jaayegi
 khili thi jo kali kabhi mere aangan mai,mere aankhon ke agey murjha jayegi

 aur main ,siwaye ye sab hota dekhne ke kuch na kar sakungi
 kabhi royungi uski naseeb ko to kabhi uski kismat per hasungi

 usko kam se kam zindagi mili,chahe dukh main woh guzar gayi
 per mujhko to mili thi woh maut,jisse mai kokh mai hi mar gayi

..................@fahi@...................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #37 on: June 26, 2006, 01:59:04 PM »
Reply with quote
hm fahi ek ek line dil ko chhoo gayi......very touching...........


dekha hai ajab chalan is samaj ka.......
badle hai anek rup is duniya ke.........
per "naari' ke astitva per aaj bhi prashnchin sa paya hai..........
diya hai isi samaj ne kabhi usko.......
akhbaar ke pehle pane per diya hai usko samaan,
per wahi pichale pano par uski izzat ko ujarata paya hai.......
usne janam diya mardo ko.........
aur unhone us ko bazar ka rukh dikhaya hai.................

kahi puja gaya hai usko lakshmi ke rup mein........
wahi usko jaanwaro se bhi kam keemat main bikata hua paya hai..........
isi samaaj ne di hai usko kokh mein kabra.........
aaj bhi dekha hai usko DRAUPADI bante hue......
aaj bhi usko kai agniparikshaon se gujarta hua paya hai............



sawara hai apne hunar se, apne haseen jazbaton se......
usne har mukaam ko.............
par fir bhi is samaaj ne uske hunar ko kam.......
aur husan ko jayda ajmaya hai.........................
.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #38 on: June 26, 2006, 02:38:55 PM »
Reply with quote
Ranju, Fahi, Shahid

Bravo ! Superb ! Excellent ! Fantastic ! =D> =D> =D>

Ranju, you must be really feeling proud to have the company of
such good friends like Fahi and Shahid and the way they have
written.

A special word of appreciation for Fahi-->Shabash !
Keep writing meaningful stuff ! You have to go a long way =D>

Rajbir
Logged
ranjana
Guest
«Reply #39 on: June 26, 2006, 04:21:05 PM »
Reply with quote
Quote from: "Rajbir"
Ranju, Fahi, Shahid

Bravo ! Superb ! Excellent ! Fantastic ! =D> =D> =D>

Ranju, you must be really feeling proud to have the company of
such good friends like Fahi and Shahid and the way they have
written.

A special word of appreciation for Fahi-->Shabash !
Keep writing meaningful stuff ! You have to go a long way =D>

Rajbir


shukriya Rajbir...............aap ke saath ne hamara hosala bada diya hai
ya i feel very proud ki is safar mein Fahi mera pura pura saath de rahe hain.......... I m very thankful to Pooja, Gaurav and shahid  also..............

yeh deep jo jala hai yeh abhi toh nahi bujhega ..........baki sab saath denege toh yeh likhna safal ho jaayega...............thanks again.............
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #40 on: June 27, 2006, 10:29:05 AM »
Reply with quote
Bohot achcha Ranz-na :D ,..and fahi! wow kya kahen aapke baaren mein jo bhi kahun ga kam hii lagega... :D ..And last Rajbir ji! thnx hamlogo ka hosla aafgayii ke liye :D

Inhii haton ne pala tujhe inhii anchal se khela tu.
Teri aansu mein meri raat thi teri haansi mein sabera
Teri bachpan se jawani tak ek ek kar sapna sajaya tha meine
K tu aakar kahenga MA dekh hamare liye banaya ye basera
Par jindagii ki ye dastoor tha ke meri parbarisj kii kamii
Ke tu aaya aur kaha MA dekho ye hein mera basera
Teri muhn se jab bhi sunti hun hamari k jagah ham
Sochtii hun aye khuda kya rahii merii parbarish mein kam........
Logged
ranjana
Guest
«Reply #41 on: June 27, 2006, 10:59:19 AM »
Reply with quote
too good shahid .................

babul tera  angana mere  liye  thaa phool ki bahaar
teri god mein beeta bachpan ,hans ke har saal
jab rakha kadam  piya ke ghar mein toh tuta jaise pahad
jis ko paala tune moti ki tarah sahej kar
wahi ab aanhko se moti bahaaye hazaar
jaane kitne taano ki ab hum per padti hai maar
mujhko ab toh beri lagata hai yeh sara sansaar
ab na lu mein janam ladki ka.mujhko samjhe na paaye  yeh sansaar
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #42 on: June 27, 2006, 04:34:16 PM »
Reply with quote
thanx so much rajbir ji honsla badane ke liye..............aur haan mere khayal se maine aisa kuch nahi kiya hai rajbir ji ki mujhe shasbashi di jaye.............is shabashi ki asli hakdaar RANJANA  hai .........jinhone itne ache topic ko hamare darliyaan pesh kiya .........aur uske baad SAHID JI,pooja ji ,,,,,,aur woh sabhi YOINDIANS jinhone is chingari ko sabke man mai bhadkane mai yogdaan diya.
         thanx so much evry1.............
Quote from: "Rajbir"
Ranju, Fahi, Shahid

Bravo ! Superb ! Excellent ! Fantastic ! =D> =D> =D>

Ranju, you must be really feeling proud to have the company of
such good friends like Fahi and Shahid and the way they have
written.

A special word of appreciation for Fahi-->Shabash !
Keep writing meaningful stuff ! You have to go a long way =D>

Rajbir
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #43 on: June 27, 2006, 05:00:45 PM »
Reply with quote
bahut hi acha likha saheed ji & ranjana ji.........(maa ke liye to jitna kahe kam hi hai.)

dard ki raaton se nikle savere ke liye
woh khush hai aaj sirf mere liye...
 woh.... jo sudh-budh khoye leti hui hai
  aankhon mai dard ke aks samete hui hai

 woh dard jo usne saha
 sirf mujhe is duniya mai laane ke liye
 bina kisi swarth ke ansoo piye
 ek beej ko phool banane ke liye

ukhad rahi thi sansein uski,
 bekhauff si dhadkan thi
per phir bhi maathe pe uske
 na aah ki koi sikan thi

aankhon mai the ansoo beshak ,
per dil uska muskura raha tha
khili hai ek nayi umang uske aangan mai
man uska ye keh raha tha..........

 uski muskaan de rahi thi
mujhme khusiyo ki dasatk
aur mera nanha hradya ho gaya tha
us naari ke agey namastak....
paida hote hi jaise meri ruh ke saaye paawan hue
jab meri nanhi aankhon ko matra-roop us naari ke darshan hue.

...................@fahi@.....................
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #44 on: June 27, 2006, 05:07:54 PM »
Reply with quote
Ranju, Shahid, Fahi

Superb ! =D> =D> =D>

Bahut he umda padhne ko mil raha hai mujhe !

Ranju, Fahi, Shahid, aur sab Yoindians jinhone yahan likha---> Shabash ! Shabash ! Shabash ! =D>

Is chingari ko aag ki lapton mein badal do doston ![/color]

Rajbir
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:34:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer