Padosi Mulk,.

by Jaanasheen on April 29, 2009, 08:08:29 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2150 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Doston Maine Yahaan Pak Ke Haalat Ko Madde Nazar Rakhte Hue, Kuch Likhne Ki Koshish Ki, Umeed Hai Aap Is Koshish Ka Achcha Result Denge,.

Thank You,.



Kaisi Hawaayein, Aur Kaisa Yahaan Par Barbaadi Ka Saaya Hai,.
Bujhaa Rahe Hain Charaag Wohi, Jinhe Toofano Se Humne Bachaaya Hai,.

Swaat Parwat Tha Swarg Se Sundar, Jannat Jise Sab Kehte The,.
Banaa Diya Jahannam Use Bhi, Jin Bachchon Ko Humne Us Maidaan Mein Khilaaya Hai,.

Ab Pachtaawa Hota Hai, Ye Manzar Dekhakar Dil Rota Hai..
Humne Hi Hawaa Di Us Chingaari Ko, Jisne Aaj Apna Hi Ghar Jalaaya Hai,.

Kaash Ke Hum Kuchal Dete, Maar Dete Ya Masal Dete Un Saampon Ko,.
Jinhone Saare Mulk Mein Apne, Dehshat Ka Zehar Phailaaya Hai,.

Ab Kaun Hamaari Madad Kare, Kis Se Reham Ka Waasta Rakhein,.
Hamaari Galti Se Najaat Dilaane, Bas Hamaara Khudaaya Hai,

_________________________________________________ ______-Azeem-


May Allah Bless The World,.
India, Pakistan And Rest Of The World,.

Aameen,.



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~:-Meri Padosi-:~ by fakharenaveed in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 8 9 »
YE MULK JAL RAHAA HAI by NETRAPAL in Shairy-E-Watan
Mera Mulk by NETRAPAL in Shairy-E-Watan « 1 2 3  All »
MULK by @kaash in Shairy-E-Watan
hum pyare se mulk,hindustaan main rehte hain, by nazar ghouri in Shairy-E-Watan
Pooja
Guest
«Reply #1 on: April 29, 2009, 08:31:51 PM »
Reply with quote
good one lil bro
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: April 29, 2009, 08:34:08 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Azeem

Desh koi bhi hon, maasoom khoon jab bhi behta hai, takleef hoti hai !

Khuda is dahshatgardi ka khaatma kar ke aman-o-sukoon de duniya ko !
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: April 29, 2009, 08:36:59 PM »
Reply with quote
good one lil bro

Aameen,.

Shukriya Didiyon,.

Allah Har Jagaah Aman-o-Sukoon De, Bhale Wo Paak Ho Hind Ho, Arab Ho, Europe Ho, US Ho Ya Africa,.

Har Jagaah Aman Ho, Sab Insaaniyat Ki Kadar Karein, Dharm Se Zyada,.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: April 30, 2009, 05:38:00 AM »
Reply with quote
Hmm Very nice one Azeem bhaijan... Applause Dua toh meri bhi hai ke Pak yeh atangwadion se chutkara pale...Inshallah...
Logged
Kagaj_Kamal
Guest
«Reply #5 on: April 30, 2009, 06:11:11 AM »
Reply with quote
 Applause

Very-2 good
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #6 on: April 30, 2009, 09:29:41 AM »
Reply with quote
Doston Maine Yahaan Pak Ke Haalat Ko Madde Nazar Rakhte Hue, Kuch Likhne Ki Koshish Ki, Umeed Hai Aap Is Koshish Ka Achcha Result Denge,.

Thank You,.



Kaisi Hawaayein, Aur Kaisa Yahaan Par Barbaadi Ka Saaya Hai,.
Bujhaa Rahe Hain Charaag Wohi, Jinhe Toofano Se Humne Bachaaya Hai,.

Swaat Parwat Tha Swarg Se Sundar, Jannat Jise Sab Kehte The,.
Banaa Diya Jahannam Use Bhi, Jin Bachchon Ko Humne Us Maidaan Mein Khilaaya Hai,.

Ab Pachtaawa Hota Hai, Ye Manzar Dekhakar Dil Rota Hai..
Humne Hi Hawaa Di Us Chingaari Ko, Jisne Aaj Apna Hi Ghar Jalaaya Hai,.

Kaash Ke Hum Kuchal Dete, Maar Dete Ya Masal Dete Un Saampon Ko,.
Jinhone Saare Mulk Mein Apne, Dehshat Ka Zehar Phailaaya Hai,.

Ab Kaun Hamaari Madad Kare, Kis Se Reham Ka Waasta Rakhein,.
Hamaari Galti Se Najaat Dilaane, Bas Hamaara Khudaaya Hai,

_________________________________________________ ______-Azeem-


May Allah Bless The World,.
India, Pakistan And Rest Of The World,.

Aameen,.






AZEEM BHAI BAHAUT ACHCHEY JAZBEY KEY SAATH  AAPNEY LIKHAA HAI
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #7 on: April 30, 2009, 09:54:46 AM »
Reply with quote
bahoth qoob chute tarif kam hogi meri ghazal jo mumbai blast ke turant baad likhi thi uske khuch ashar nazar karta hon !!

Bharath maa ka qatal karana chahata hai !!
daheshath gardh mere mulk me ghar karna chahata hai !!
jab nahi de saka apni begunahi ka sabooth !!
to dekho ab jung karna chahata hai !!

apni parwaz se wo mutma-in- nahi shayad !!
isiliye mere par kaatna chahata hai !!

daheshat gardh mere mulk me ghar karna chahata hai !!

Qadeer

Poori ghazal fir kabhi inshallah
Logged
salma786
Guest
«Reply #8 on: April 30, 2009, 10:10:01 AM »
Reply with quote
Bahoot bahoot khoob Azeem ji... Thumbs UP
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #9 on: April 30, 2009, 11:59:36 AM »
Reply with quote
Waah! sahee kaha, Pakistan ho, HInd ho, US ho, Africa, ya dunya koi bhi mulq, Allah wahaan sukoon ata kare... Ameen! Bahot khushee huwee ye padr kar... Mere liye tho sub mulq barabar hain, I have been split between all cultures, mere kisi daesh ko tahumat pohnche deshat kee, dehkna ahchcha nahee lagta!

Very Nice Ji!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: April 30, 2009, 07:17:28 PM »
Reply with quote
Thank U,.

Rahim Bhai,.
Kagaj Ji,.
K A Bhai,.
Qadeer Bhai,.
Salma Ji,.
Sidraah Ji,.


Aur Mashallah Bohat Achcha Likha Hai Aapne, Qadeer Bhaijaan,.
Intezaar Hai Poori Nazm Ko Pardhne Ka,.
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #11 on: May 01, 2009, 05:57:23 AM »
Reply with quote
Thank U,.

Rahim Bhai,.
Kagaj Ji,.
K A Bhai,.
Qadeer Bhai,.
Salma Ji,.
Sidraah Ji,.


Aur Mashallah Bohat Achcha Likha Hai Aapne, Qadeer Bhaijaan,.
Intezaar Hai Poori Nazm Ko Pardhne Ka,.

shukriya azeem !! inshallah jald hi sun sakoge !!

Qadeer
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: May 01, 2009, 10:19:39 AM »
Reply with quote
shukriya azeem !! inshallah jald hi sun sakoge !!

Qadeer

Inshallah,.
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #13 on: May 03, 2009, 06:23:44 AM »
Reply with quote
Bahut achchha likha hai aapne Azeem Bhai.  Atankvad ka danav manavata ko kha jana chahta hai.  Isi silsile main mujhe apni ek Punjabi ghazal ke kuchh ashar yaad aa rahe hain:

AADMI HI AADMI NU KHAN LAG PAYE
GHAR DI EENT EENT TO BAJAAN LAG PAYE
BACHCHEAN DE HATH CHO BANDOOK WEKH LO
KANTAN NAAL PHOOL NU SAJAAN LAG PAYE
ARTHIAAN DE WASTE KANDHE NAHIN BACHE
APNI LASH AAP HI UTHAN LAG PAYE

SARVESH RASTOGI
Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: May 03, 2009, 06:31:32 AM »
Reply with quote
Bahut accha likha aapne Azeem and Rastogi sb..
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:06:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 1.234 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer