doston vaishyavrati prostitution ek gambheer buraai hai jo sadiyun se samaaj me
vyaapt rahi hai,maine is par kuch likhne ki koshish ki hai koshish ki hai,prastut kavita me kavi ne tanz ke saath sandesh ki bhi koshish ki hai
vaishyavrati ek aisi burayi hai jo sadiyun se samaaj ko kha rahi hai
ye sirf vastuvadita aur vaasna se upaji ek buraayi jo badhti hi jaa rahi hai
vaishyavrati ko hatane ke lie samaaj ko inhe bharpoor mauka dena hoga
ye ghalat hai isme lipt sabhi praaniyun ko samajhna hoga
aaj ye jaise ek fashion ka pryaay ban chuka hai
college ki ladkiyun se leke schooli ladkiyun ka bhi ek tabka isse jud chuka hai
aaj har taraf dhonghi Nityanand tatha kai rasookhdaar is dhandhe ko khoob chala rahe hain
inke pakade jaane ko hi hum police aur samaaj ki jeet maan rahe hain
nahi aisa nahi hume is maansikta ko jad se ukhaadna hoga
kin kin vajahon se ye badhta hai unpe kutharaghaat karna hoga
varna aise racket chalane vale roz hi naye ban rahe hain
inke taar kahin bade adhikaari kahin naamcheen neta se mil rahe hain
jane aise kitne racket desh ke shaharon me aur vishwa bhar me chalte hain
jane kitne log mar mar ke bhi isme jeete rahte hain
ye kahan kahan vyaapt hain ye kaise hatenge
ab to ye ek kaam karne ka zaria hai badi mushkil se hatenge
koi kisi adhikari se kaam nikaalne ke lie koi kisi neta ko khush karne ke lie
koi kisi director koi producer koi cameraman tak ke lie
sex-workers ki sahayta leta ya khud hi aisa banta hai
kya milega aisi tarakki aisa paisa kamake
bhooke koi nahi marta phir jeena kyun imaan ko maar ke
aisa jeena bhi kya jeena jo imaan maarke jeena pade
aise paap se niklo jisme munh chhupa chhupake jeena pade
Article 6: States Parties shall take all appropriate measures, including legislation, to suppress all forms of traffic in women and exploitation of prostitution of women in India. According to a 1994 report in Asian Age there are at least 70,000 women sex workers in Delhi, Madras, Calcutta, Bangalore and Hyderbad. 30% of these women are under 20 years of age. 40% are 20-30 years of age, and approximately 15% of them became prostitutes as children under the age of 12.
hume apni indriyun par aapni vaasna par kaabu rakhna hoga
vastuvadita me bahkar kisi paise power ke chakkar se bachna hoga
aakhir kyun kisi school ki ya college ki ladki isme lipt hoti hai
aakhir kyun koi aurat isme aakar majboori ka rona roti hai
kya milta hai aise haar haar ke jeene se
jeevan me har mod par khud ko bebas maanne se
jane kitne ghar inki vajah se barbaad ho jate hain
jane kitne bachhe apne ma-baap se door ho jate hain
jane kitno ko isme lipt kharaab kar deti hain
kitni hi achi ladkiyun ki zindagani kharaab ho jati hain
ye aisa daldal hai jo hamesha badhta hi rahta
ye aisa andhera hai jo khud ki haar maan chuka hota
inhe lagta hai samaaj me ye ek zarurat si hain
koi inka saath nahi de sakta inhe lagta yehi ek hakeekat si hai
parantu saath khud ka sabse bada aur asardaar hota hai
niklo aise andhkaar se ki sach ko suraj tumhare lie bhi ugta hai
khud ko mauka do sambhalo jago har taraf savera hai
samaaj me khul ke jio ise tyaag kar tum sanmaarg par chalo
chalo jahan guru hai jahan adhyaatm hai jahan satya hai
antakaran me khud ko palo bhagwaan har ghat me hai
upar wale ne haath die hain ye kamane ke lie hi to hain
inse hi kamao inse mili sookhi roti me bhi Rab ke sile hain
khud ke jeevan ko apna aatmik star upar karke uthao
mat dekho kaun badal raha khud ko sachhe path par badhaate jao