~~"ROONE KI WAJAH"~~

by k.shael on December 05, 2008, 09:33:09 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2396 times)
k.shael
Guest
Reply with quote
AAJ JAANE KYUN AANSOO KO ROK NAHI PAAYI,
TOOT GAYI MEIN USKI BAAHOON ME KHUD KO
SAMBHAAL NA PAAYI,

AANKHEON NAMM THI, DIL ME THI RUSWAYI,
AAJ JAISE HOTHOON NE BHI CHUPP REHNE KI
THI KASAM KHAAYI,

PUCHKARA, SAMBHALA USNE, PAR PHIR BHI NA
USSE MAAN PAAYI, AAJ JAISE APNI HI KI HUI
MOHABBAT MUJHE NADANI SAMJH AAYI,

DEKHA KARO KABHI KHUD KI HALAT, KABHI USS
KI TARAF NAZAR UTHAYI, PAR JAANE KYUN U
BEHATASHA RONE KI WAJAH SAMJH NA AAYI,

                        PAR JAANE KYUN U AAJ BEHATASHA
                                 RONE KI WAJAH SAMAJH NA AAYI…

BY. K.SHAEL (SHALLY)
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
}"}"}AATE JAATE HUWE{"{"{ by Dr.Saira999 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
~~~~~~""'"nazar-e-ishq"""~~~~~~~ by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
"Be-Wajah Hum Kun Sehte" -SKY- by SkykiTears in Shayri for Khumar -e- Ishq
WAJAH BETAABEE....... "MohanN" by surindarn in Miscellaneous Shayri
diya786
Guest
«Reply #1 on: December 05, 2008, 10:10:44 AM »
Reply with quote
bahut khoob shally dear
accha likha hai aapne hamesha ki tarah
koshish kar rahi hoon aapki shayari ke jawaab mein kuch likhne ki......

Aansu na jaane kyun behte chale gaye
yaadein tumhari jaane kyun dil ko dukhati chali gayi
socha ki bhool jaayenge tumhe
par "kashish" tumhari aisi thi ki har baat dil mein bas gayi
Logged
k.shael
Guest
«Reply #2 on: December 05, 2008, 10:14:39 AM »
Reply with quote
bahut khoob shally dear
accha likha hai aapne hamesha ki tarah
koshish kar rahi hoon aapki shayari ke jawaab mein kuch likhne ki......

Aansu na jaane kyun behte chale gaye
yaadein tumhari jaane kyun dil ko dukhati chali gayi
socha ki bhool jaayenge tumhe
par "kashish" tumhari aisi thi ki har baat dil mein bas gayi


SHUKRIYA DIYA SIS,
& VERY NICE REPLY FROM UR SIDE,

MUJHE FIKAR THI KI MERE AANSOO USE BHIGO
NA DE KAHIIN, AUR WO HERAAN THA MERE GAMMO KO
DEKHKAR...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3 on: December 05, 2008, 10:25:36 AM »
Reply with quote
AAJ JAANE KYUN AANSOO KO ROK NAHI PAAYI,
TOOT GAYI MEIN USKI BAAHOON ME KHUD KO
SAMBHAAL NA PAAYI,

AANKHEON NAMM THI, DIL ME THI RUSWAYI,
AAJ JAISE HOTHOON NE BHI CHUPP REHNE KI
THI KASAM KHAAYI,

PUCHKARA, SAMBHALA USNE, PAR PHIR BHI NA
USSE MAAN PAAYI, AAJ JAISE APNI HI KI HUI
MOHABBAT MUJHE NADANI SAMJH AAYI,

DEKHA KARO KABHI KHUD KI HALAT, KABHI USS
KI TARAF NAZAR UTHAYI, PAR JAANE KYUN U
BEHATASHA RONE KI WAJAH SAMJH NA AAYI,

                        PAR JAANE KYUN U AAJ BEHATASHA
                                 RONE KI WAJAH SAMAJH NA AAYI…

BY. K.SHAEL (SHALLY)
 



SHALLY badi acchey tarah sey aap neh apna dil beyaan kia hai.

NADAAN DIL NEH NA JANEY KU YEH NADANI KI
EK BEWAFA SANAM SEY KU DIL KI KAHANI KI

AASOO BHI ABB TOH RUK NAHI PATEY
YEH KYA HUM NEH BE-MANI KI
NADAAN DIL NEH NA JANEY KU YEH NADANI KI

RANJOH GUM MEH ABB HUM NAHI SAMBHAL PATEY
ISS DIL NEH KU YEH DILLAGI KI
NADAAN DIL NEH NA JANEY KU YEH NADANI KI


JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #4 on: December 05, 2008, 10:31:42 AM »
Reply with quote
bahut khoob shally dear
accha likha hai aapne hamesha ki tarah
koshish kar rahi hoon aapki shayari ke jawaab mein kuch likhne ki......

Aansu na jaane kyun behte chale gaye
yaadein tumhari jaane kyun dil ko dukhati chali gayi
socha ki bhool jaayenge tumhe
par "kashish" tumhari aisi thi ki har baat dil mein bas gayi



DIYA aap neh bhi bahut hi sundar jawaab dia


ASHQOH KA BEHNA MANJOOR NA THA
UDASI HAMARI KABHI MANJOOR NA THA
AAJ WOH HI HAMEY RANJO GAM MEH DOOBA GAYE
JINHEY KABHI INHEY DEKHNE KOH BHI MANJOOR NA THA



JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com
Logged
k.shael
Guest
«Reply #5 on: December 05, 2008, 10:34:17 AM »
Reply with quote

SHALLY badi acchey tarah sey aap neh apna dil beyaan kia hai.

NADAAN DIL NEH NA JANEY KU YEH NADANI KI
EK BEWAFA SANAM SEY KU DIL KI KAHANI KI

AASOO BHI ABB TOH RUK NAHI PATEY
YEH KYA HUM NEH BE-MANI KI
NADAAN DIL NEH NA JANEY KU YEH NADANI KI

RANJOH GUM MEH ABB HUM NAHI SAMBHAL PATEY
ISS DIL NEH KU YEH DILLAGI KI
NADAAN DIL NEH NA JANEY KU YEH NADANI KI


JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com

SHUKRIYA JAS JI,
& GOOD REPLY FROM UR SIDE 2,
BY. K.SHAEL (SHALLY)

NADAANI DIL NE KI HI,AUR AANKHOON NE SAATH DIYA,
HAMNE KHUD HI APNE HAATHON KHUD KO BARBAAD KIYA,

LOG DARTE HAI KI JALA NA DE KOI UNKE SAPNO KE GHAR
KO, AUR HAMEN KHUD HI APNE HAATHON APNA GHAR AAG KE
HAWAALE KIYA
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #6 on: December 05, 2008, 10:42:56 AM »
Reply with quote
SHUKRIYA JAS JI,
& GOOD REPLY FROM UR SIDE 2,
BY. K.SHAEL (SHALLY)

NADAANI DIL NE KI HI,AUR AANKHOON NE SAATH DIYA,
HAMNE KHUD HI APNE HAATHON KHUD KO BARBAAD KIYA,

LOG DARTE HAI KI JALA NA DE KOI UNKE SAPNO KE GHAR
KO, AUR HAMEN KHUD HI APNE HAATHON APNA GHAR AAG KE
HAWAALE KIYA


bahut bahut sunder SHALLY and aap ney bahut hi dil sey apney armanoh ka bayaan kia


DIL KI NAGRI MEH SHALLY, DIL AKSAR TANHA REH JATEY HAI
CHODD JATEY HAI WOH SAYE, JISKI KASMEH HUM HAJAAR KHATEY HAI

ABB ISS NAGRI MEH DOBARA NA AAYEGEY
TOOTEY DIL KOH NA DOBARA RULAYENGEY
BITA DENGEY HUM YUHI BAKI KI JINDAGI
ABB FIR SEY NA SAPNEY SAJAYENGEY


JASBIR SINGH
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: December 08, 2008, 01:16:04 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Shally Ji
Equally good replies Jas Ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: December 08, 2008, 03:13:35 AM »
Reply with quote
good work shally and Jas
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #9 on: December 08, 2008, 08:20:13 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Shally Ji
Equally good replies Jas Ji


Thanks Rajesh

Jasbir Singh
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #10 on: December 08, 2008, 08:20:46 AM »
Reply with quote
good work shally and Jas


thanks JI

Jasbir Singh
Logged
k.shael
Guest
«Reply #11 on: December 08, 2008, 08:29:18 AM »
Reply with quote
bahut bahut sunder SHALLY and aap ney bahut hi dil sey apney armanoh ka bayaan kia


DIL KI NAGRI MEH SHALLY, DIL AKSAR TANHA REH JATEY HAI
CHODD JATEY HAI WOH SAYE, JISKI KASMEH HUM HAJAAR KHATEY HAI

ABB ISS NAGRI MEH DOBARA NA AAYEGEY
TOOTEY DIL KOH NA DOBARA RULAYENGEY
BITA DENGEY HUM YUHI BAKI KI JINDAGI
ABB FIR SEY NA SAPNEY SAJAYENGEY


JASBIR SINGH


SHUKRIYA JAS JI,

ISS ISHQ KI NAGRI NE HAME AABAD KIYA,
PHIR ISS KE REHNE WAALO NE HAME BARBAAD KIYA,
EHSAAN MAANE YA BEWAFAYI KA NAAM DE,
JO BHI KEH LO PAR SACH YAHA PAR HAMNE JAAN DEKAR
PYAAR LIYA...
Logged
k.shael
Guest
«Reply #12 on: December 08, 2008, 08:30:10 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Shally Ji
Equally good replies Jas Ji

SHUKRIYA RAJESH JI,
AAP BHI KUCH LIKHTE...
Logged
k.shael
Guest
«Reply #13 on: December 08, 2008, 08:31:01 AM »
Reply with quote
good work shally and Jas

SHUKRIYA POOJA DIDI,
AAP BHI LIKH JAATI DO ALFAAZ ISS THREAD PE
TO TASSALI MILTI...
BY. K.SHAEL
Logged
Sammual
Guest
«Reply #14 on: December 08, 2008, 02:11:10 PM »
Reply with quote
Har Baar Ki Tarah Is Baar Bhi Bahut Khoobsurat Likha Hai Aapne Shally Ji. Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:19:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer