Safar Zindagi Ka Chalta Gaya........

by khwaish on June 08, 2009, 06:24:53 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4525 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Kuch Din pehle ek Aise Shaks Se Meri Mulakaat Hui thi,Jo Ek Waqt Par Bahut Khush Raha karta tha,Phir Kahin Woh Kuch Aise Bure Halaat Ka Shikaar hua Ke Aaj Muskurane Ke Liye Bhi Usse Himmat Jodni Padti Hai..Aaj Woh Apni Zindagi Sirf Jeene Ke Liye Jeeta Hai..Uske Lab par Yeh Shikayat Si rehti Hai Ke "khuda Ne Meri Dua(Ardaas) Kubool Hi Naa Ki",yeh Nazm Woh Shaks To Kabhi nahi padh paayega,Par Yeh nazm Ek Koshish Hai,Ke Chaahe Kuch Bhi Ho,Khuda Par Woh Vishwaas Hamesha Zaroori Hai Aur Safar Zindagi ka Kabhi Nahi thamta..Guzaarish Hai Aap Sab Se Ke Iss Nazm Ko Zaroor Padhe..Shukriya..

Safar Zindagi Ka Yuh Chalta Gaya,
Waqt Ke Haath Se Sarakta Gaya,
Abhi Door Hai Mujhse Saari Manzil-e-Mukaam,
Har Pehar Ke Saath main Ulajhta Gaya...

Safar Zindagi Ka Chalta Gaya....

Aaj Ke Daur Mein Gareebi Ek Saza Hai,
Aur Ameeri Ek Ada!!!
Duniya Ke Iss Jhoote Rasm-O-Riwaaz Mein,
Main Dhalta Gaya...

Safar Zindagi Ka Chalta Gaya....

Woh Baap Jiska Koi Sahara Naa Tha!!
Woh Maa Jiske Paas, Uski Aankh Ka Taara Naa Tha!!
Woh Bache Jiske Mooh Mein Ek Niwaala Naa Tha..
Uss Basti Mein Baashinde To Bahut The,
Par Koi Dilwala Na Tha!!

Zindagi Ke iss Kadwe Sach Ko Dekh Kar Main Darta Gaya..
Safar Zindagi ka Chalta Gaya...

Insaan Yaha Insaan Ka Hi Dushman Hai!!
To "Khwaish" Phir Dost Kaun Hai???
Dil Mein Apne Sawaalo Ka Ek Ghar Sa Banta Gaya..

Safar Zindagi Ka Chalta Gaya...

Eh Khuda,Mujhe Phool Naa De,Koi Gham Nahi, Par Khaar Bhi Naa De!!
Mujhe Jeet Naa De,Naa Sahi Par Haar Bhi Naa De!!
Apna Sar Tere Dar Par Main Malta Gaya..

Safar Zindagi Ka Chalta Gaya...

Khwaab Mere Bhi Toothte Hai Par Main Toothe Khwaab Ke Anjaam Par Rota Nahi!!
Kabhi Nahi Suuni Jaati Hai Fariyaad Meri Bhi Uske Darbaar Mein,
Par Main Apne Khuda Se To Door Hota Nahi!!

Phir Naye Sapne Ko Sanjokar,
Main Aage Badhta Gaya..

Safar Zindagi Ka Chalta Gaya...  

        ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mai to sahil tha chalta to bhi kaise chalta by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
zindagi ka safar chalta hai chalta jaayega by @kaash in Shairi - E - Zindagi
AKELA CHALTA GAYA by ANKIT RAO in Other Languages
raah-e safar me mehfilo ko gulzaar karna aa Gaya. by pawan16 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
SAFAR GAYA GOYA......................saru.......... by SURESH SANGWAN in Ghazals « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #1 on: June 08, 2009, 07:09:04 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause

Bohot Khoob Khwaish Dost...Aap Ki Ye Shayari padh ke ajeeb si kaifiyat ho gayi....Kitni bemaani si duniya aur uski duniyadaari hai....Khushi kitne pal ki hai aur dukh kitne hain....Zindagi ki kashmakash main ulajhti si jaa rahi hoon......!!

Khuda har bure waqt se bachaye aur apne amaan main rakhe hum sab ko, ameen.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: June 08, 2009, 10:14:44 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut khoob Khwahish jee...Hamesha ki tarha lajawab likha hai...Applause Applause Applause Applause
Yeh duniya beiman zarur hai par hum chahe toh isse badal sakte hai...Masla yeh nahin hai ke hum duniya main burai nahin dekte...galti yeh hai ke galti ko sudhar na nahin chahte hai...
Ek chotti si koshish ki hai...Aap jitni achi toh nahin par jo dil main aya padkar woh likh raha hoon...

Kaam ke bhoj main dabta gaya,
Apno se bahaut dhoor hota gaya,
Safar zindagi ka chalta gaya...

Paison ki khayi main ghirta gaya,
Sharab ki lehron main dhasta gaya,
Safar zindagi ka chalta gaya...

Waqt mere haathon se nikalta gaya,
Ander hi ander main toot ta gaya,
Safar zindagi ka chalta gaya...

Logged
pakichamp
Guest
«Reply #3 on: June 08, 2009, 10:24:12 PM »
Reply with quote
bohot khoob MASHA ALLAH very nice

thanks for sharing
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: June 09, 2009, 03:55:59 AM »
Reply with quote
Bohat bohat khoob mere Dost
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: June 09, 2009, 04:47:56 AM »
Reply with quote
very very nice Khwaish ji,bahut acha likha aapne. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: June 09, 2009, 04:59:16 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause

Bohot Khoob Khwaish Dost...Aap Ki Ye Shayari padh ke ajeeb si kaifiyat ho gayi....Kitni bemaani si duniya aur uski duniyadaari hai....Khushi kitne pal ki hai aur dukh kitne hain....Zindagi ki kashmakash main ulajhti si jaa rahi hoon......!!

Khuda har bure waqt se bachaye aur apne amaan main rakhe hum sab ko, ameen.

Bahut Bahut Shukriya Talat!!! Sach kahan Talat Aapne,Iss Duniya Mein Jeena Ek Ajeeb si Bemaani Lagti hai..Kabhi-Kabhi Ache Logo ke Saath bhi Itna Bura Ho jaata Hai ke Dekh kar Insaan Hairaan Sa Reh Jaata Hai...Par Jeena To Issi Duniya Mein Hai,Aur Yehi Duniyadari hai..Bas Waqt Par Kabhi Bharosa Nahi kiya Jaa Sakta..Jo Bhi hai Uss Khuda Ke Haath Mein hai..Dua To bas yehi hai Ke hum Sab Par woh Apni mehr Bhari Nazar banaye Rakhe...

Thankyou Sooooo Much Dost For Appreciating!!!! icon_salut
Logged
k.shael
Guest
«Reply #7 on: June 09, 2009, 05:39:07 AM »
Reply with quote
Wah Wah Kya Khoob aur dil ko choone wale alfaaz paroye hai dost!!!! aur iss kadar bhi koi dil-e-haal baya.n kare khuda se yaqeen nahi hota..!!! bahut bahut bhadiya rachna hai tumhari.. Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley  notworthy  Thumbs UP

Daad kabool kare.. Thumbs UP

Shally.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: June 09, 2009, 06:28:36 AM »
Reply with quote
Bahaut bahaut khoob Khwahish jee...Hamesha ki tarha lajawab likha hai...Applause Applause Applause Applause
Yeh duniya beiman zarur hai par hum chahe toh isse badal sakte hai...Masla yeh nahin hai ke hum duniya main burai nahin dekte...galti yeh hai ke galti ko sudhar na nahin chahte hai...
Ek chotti si koshish ki hai...Aap jitni achi toh nahin par jo dil main aya padkar woh likh raha hoon...

Kaam ke bhoj main dabta gaya,
Apno se bahaut dhoor hota gaya,
Safar zindagi ka chalta gaya...

Paison ki khayi main ghirta gaya,
Sharab ki lehron main dhasta gaya,
Safar zindagi ka chalta gaya...

Waqt mere haathon se nikalta gaya,
Ander hi ander main toot ta gaya,
Safar zindagi ka chalta gaya...



Bahut Bahut Shukriya Rahim...Aap Ne Hamesha Se Hausla Badhaya Hai.. Usual Smile

Aur Bahut Bahut Khoob Rahim..Aapne Alfaazo Se Sach Ko bayaan Kiya.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #9 on: June 09, 2009, 10:20:02 AM »
Reply with quote
bahut bahut bahuuuuuuuuuuuut khub...........khwaish ji
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

   Khuda us shaksh ko phr se dher sari khushiyaan de....har dukh k baad dher sari khushiyan jrur aati h...... uske ghar me der h andher nai.






Logged
poppoetry
Guest
«Reply #10 on: June 09, 2009, 10:22:10 AM »
Reply with quote
Bahaut bahaut khoob Khwahish jee...Hamesha ki tarha lajawab likha hai...Applause Applause Applause Applause
Yeh duniya beiman zarur hai par hum chahe toh isse badal sakte hai...Masla yeh nahin hai ke hum duniya main burai nahin dekte...galti yeh hai ke galti ko sudhar na nahin chahte hai...
Ek chotti si koshish ki hai...Aap jitni achi toh nahin par jo dil main aya padkar woh likh raha hoon...

Kaam ke bhoj main dabta gaya,
Apno se bahaut dhoor hota gaya,
Safar zindagi ka chalta gaya...

Paison ki khayi main ghirta gaya,
Sharab ki lehron main dhasta gaya,
Safar zindagi ka chalta gaya...

Waqt mere haathon se nikalta gaya,
Ander hi ander main toot ta gaya,
Safar zindagi ka chalta gaya...


bahut khub Rahim ji.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: June 09, 2009, 12:20:12 PM »
Reply with quote
bohot khoob MASHA ALLAH very nice

thanks for sharing

Bahut Bahut Shukriya PakiChamp Ji..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: June 09, 2009, 03:02:26 PM »
Reply with quote
Bohat bohat khoob mere Dost

Bahut Bahut Shukrya Sajid Bhai...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #13 on: June 09, 2009, 03:17:18 PM »
Reply with quote
bahut achcha likha hai khwahish bhai
ise padhkar sach mein os shakhs ka dard itne kareeb se mehsoos hua kii kya kahoon Hats off to you!


mere khayalon mein is kadar andhera shaamil hai
ujaalon kii taraf rookh karta hi nahin main
dum tod gayi hai hansi jo khilti thi kabhi hothon par
ghami k sehar se rukhsat kata hi nahin mein
khuda se har waqt ek shikayat hi rahi mujhko
shayad insaaf k din se darta hi nahin main
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: June 09, 2009, 03:26:03 PM »
Reply with quote
bahut achcha likha hai khwahish bhai
ise padhkar sach mein os shakhs ka dard itne kareeb se mehsoos hua kii kya kahoon Hats off to you!


mere khayalon mein is kadar andhera shaamil hai
ujaalon kii taraf rookh karta hi nahin main
dum tod gayi hai hansi jo khilti thi kabhi hothon par
ghami k sehar se rukhsat kata hi nahin mein
khuda se har waqt ek shikayat hi rahi mujhko
shayad insaaf k din se darta hi nahin main

Bahut Bhaut Shukriya Salil Bhai...

Aur Itna Khoobsurat Likha hai aapne,sach mein Dil Ko Chuu Gayi Hai Yeh Baatein.Bhaut Khoob Mere Dost!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 01:47:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer